Usne jaldi se paigham mitaaya aur cell phone wapas takiye par ulta kar ke rakh diya. Ek lamhe mein usay sab samajh mein aagaya tha. Aram... Taya Abbu ki scarf wali, sar dhakne wali beti. Ek adad boyfriend ki maalik thi jise logon se chhupane ke liye usne Haya Salman ka naam de rakha tha. Tab hi woh is rishte par khush nahi thi, Haya ko yaad aaya.
Woh mazeed baithe bina wahan se nikal aayi. Evo usne Taya Furqan se maang liya, magar jaate jaate ek tanz-o-istihza bhari muskurahat ke saath unko dekha tha. Kaash! Woh Aram ke hijab ka pol khol sakti to Taya ki shakal dekhne wali hoti. Hijab odhna ya naqab karna kirdar ki pukhtagi ki alamat nahi hoti, usne be ikhtiyar socha tha aur tab woh aisa hi sochti thi.
Sabanci University ne usay uske hostel ke mutaliq tarjihaat jaanne ke liye sawaal nama bheja tha. Laptop god mein rakhe, woh bed par neem daraaz dilchasp se sawaalaat parhti, sirf apna mood behtar karne ke liye muzahka khiz jawab bhejne lagi.
Kya aap apni kisi hum watan exchange student ke saath kamra share karna chahengi?
"Bilkul bhi nahi!" Uski ungliyan tezi se laptop ki kunjiyon par harkat kar rahi theen.
Kya aap smoking karti hain?
"Bilkul karti hoon."
Drink karti hain?
"Woh bhi karti hoon."
Aap kisi qisam ki tabiyat ki malik hain?
"Sakht jhagdalu aur khoonkhaar."
Woh muskurahat dabaaye jawab likh rahi thi. Jab safha khatam hua to usne "Next" ko dabaya. Woh soch rahi thi ke agle safhe ke jawabat parh kar is form ko mansookh kar degi. Is form ko jama karane ka uska qata'an koi iraada nahi tha. Magar jab Next dabane par agle safhe ki bajaye,
"Form fill karne ka shukriya... Hum aap ka dorm allot karte waqt aap ki di gayi tarjihaat ka khayal rakhenge."
Lika aya to uski muskurahat ghaib ho gayi. "Lanat ho tum sab par!" Woh jhunjhla kar uthi aur laptop ek taraf rakha, form Sabanci ko ja chuka tha aur uska pehla hi ta'assur kitna bura para hoga, woh jaanti thi. Uski packing abhi mukammal nahi hui thi. Usne ek nigah khule suitcases aur bikhri ashiya par daali, phir kuch soch kar bahar aayi.
Lounge khaali tha. Haya ne telephone stand par rakhi diary uthayi aur safhay palatne lagi. "S" ke safhe par chaar sutoon mein Sabin Phupho ke ghar ka pata aur ek phone number likha tha. Usne woh safha phaadha aur teh kar ke muthi mein dabaa liya.
Ek dafa Jihan Sikandar usay mil jaye, phir woh un beetay maah-o-saal ka hisaab zaroor legi. Woh wapas bed par aakar baith gayi aur samnay laptop par khule pare mail box ko dekha. Wahan ab ek nayi email ka nishan jagmagara raha tha.
"National Response Center for Cyber Crime."
Usne qadray uljh kar is mail ko dekha aur khola. Bhala ab cyber crime walay usse kyun raabta kar rahe the?
Safha khul gaya aur woh jaise jaise parhti gayi, uski aankhein hairat se phailti gayin. Ye email cyber crime cell se Haya ki us mail ke jawab mein aayi thi jo chand roz qabl usne batoor shikayat bheji thi aur jisme usne video ka zikar kiya tha. Ab is ke jawab mein help desk officer ne us ko ek baqaida complaint form bheja tha, jis ko bharne ke saath saath usse apna phone number, ghar ka pata, shanakhti card waghera likh kar bhejne the. Ye form FIR ke mutradif tha, so tamam tafseelat zaroori theen.
Woh yak tuk is form ko dekhe gayi. Agar cyber crime cell ne usse ab jawab diya tha to woh private number se aane wali call, woh Major Ahmed ka office, woh sab kya tha? Kya usse bewakoof banaya gaya tha? Kya waqai woh asli Major tha ya...? Magar phir uske paas is video ko mukammal tor par internet se hatwane ki taqat aur asar wa rasookh kaise aaya?
Woh uljhte zehan ke saath jaldi jaldi jawab type karne lagi. Usse cyber crime cell ko mukhtasir alfaaz mein ye yaqeen dahani karwani thi ke woh video ab hat chuki hai, aur woh apni shikayat wapas le rahi hai. Usse ab fori tor par in khufiya walon se peecha chhurana tha.
Mail likh kar usne "Send" ko dabaya, aur par soch nigahon se screen dekhe gayi. Major Ahmed ka ta'alluq cyber crime cell se nahi tha, is baat ka usko yaqeen ho chala tha.
☆☆☆Airport par DJ buri tarah ro rahi thi. Uske walidain uske saath khare usay tasalli de rahe the. Haya kuch dair to usay chup karwane ki koshish karti rahi, phir se ho kar qadray faaslay par ja khari hui aur jacket ki jibon mein haath dalay baray sukoon se DJ ko rote dekh rahi thi.
Aaj usne shalwar kameez par siyaah jacket pehn rakhi thi. Aur dupatta mazloom ki tarah gardan se lipta tha, bas aaj aakhri roz tha. Phir Turkey mein apni marzi ka libas pehne gi aur apni marzi se akeli har jagah ghoome gi, bina rok tok, bina taya Furqan ya abba ki daant ke khauf ke.
Us waqt raat ke saadhay gyarah baje the aur unki flight agli subah chaar baje ki thi.
"Kitna roti hai ye, tum khayal rakhna iska!"
Sulaiman sahab ko DJ ke musalsal rone par koft hone lagi thi. Jab tak woh wapas hui, DJ roye ja rahi thi. Uske aansu tab the jab Etihad Airways ki woh Pakistani nasal officer unke paas aayi aur bohot shaaistagi se unko mukhatib kiya.
"Madam! Aap log please apne documents aur laptops suitcase se nikal kar hand carry mein rakh lein, ta ke agar aapka samaan gum bhi ho jaye to kam az kam documents mehfooz rahen."
"Eiween hi samaan gum ho jaye?" Hathaili ki pusht se aansu saaf kar ke DJ gusse se boli. Woh saara rona bhool gayi thi. "Humne hand carry mein itna bojh nahi uthana."
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomansaJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved