Part 15

878 25 0
                                    

"Kyun? Kyun inkaar kar diya?" Usko apna saans rukta hua mehsoos hua.

"Koi wajah nahi batayi. Bas ek dum hi peeche hat gaye. Saima bhabhi bhi bohat upset thi."

"Magar kuch to kaha hoga?"

"Bas yehi kaha hai ke humne kisi azad khayal aur be-pardah ladki ko bahu bana kar apni aqibat kharab nahi karni."

Woh mutahayyir reh gayi. Chand roz qabl suna Tai ka fiqra samaat mein goonja tha.

"Jab Furqan ne sakhti ki ke bhala aisi be-pardah aur azad khayal ladki ko bahu bana kar humne apni aakhirat bigaarni hai kya, tab kahin ja kar woh mana."

Kya isko mukafat-e-amal kehte hain?

Kya doosron ki betiyon par ungliyaan uthane walon ke gharon par wohi uthi ungliyaan laut kar aati hain?

Magar woh khush nahi ho pai. Agar baat khul jati to asal badnami to ussi ke hisse mein aati. Aram ko to shayad uski maan "Haya ne usay bigaara hai" keh kar darmiyan se nikal leti aur baat to ab bhi khul sakti thi. Woh video to ab bhi internet par mojood thi. TV screen par ab bhi ishtihar ruka hua tha. Woh bas khaali khaali nazron se usay dekhti rahi.

"Ghair tasdeeq shuda sim ka istemal qanunan jurm hai. PTA."

"Ghair tasdeeq shuda sim ka istemal qanunan jurm hai. PTA."

Woh be-khayali mein takti, sochon ki uljhan se nikal kar ek dum chonki.

"Baghair tasdeeq shuda sim ka istemal qanoonan jurm hai. PTA."

Bijli ka aik kond sa uske zehan mein laga tha. Oh Khudaya! Yeh khayal usse pehle kyun nahi aya tha?

Woh ek jhatke se uthi aur bahar ki taraf lapki.

"Aram... Aram..." bohot josh se chilate hue Haya ne uske kamre ka darwaza khola.

Aram mobile pakde bed par baithi thi, darwaza khulne par ghabra kar mobile side par rakha.

"Kya hua?" Sath hi Aram ne apna mobile ulta kar diya taake screen chhup jaye.

Tab hi rishte wali baat yaad aayi. "Oh I am sorry, un logon ne rishte se to inkaar kar diya."

"Woh to video dekh kar karna hi tha, khair jane do achha hi hua." Woh mutmain thi.

"Aram, tumne kabhi mobile connections ke advertisements mein woh ibarat padhi hai ke ghair tasdeeq shuda sim ka istemal jurm hai?"

"Haan to?"

"To kya tumhein maloom hai ke sim register karwana kyun zaroori hota hai?"

"Kyun?"

"Ta ke koi kisi sim ka ghalat istemal na kar sake, chahe woh dehshat gardi ki wardat ho ya kisi ko wrong calls karna, yeh sab cyber crime ke tehat aata hai."

"Cyber crime?" Aram ne palkein jhapkain.

"Aram... Aram, hamari personal video internet par daal dena bhi to ek sangeen jurm hai, hum iski report kar sakte hain."

"Magar hum kisay report karenge?" Woh neem razaamand hui to Haya ne jhat apna mobile nikala.

"PTA ko, darwaza band karo, main helpline se number leti hoon."

PTA ki helpline ka number aasani se mil gaya, magar operator ne nihayat shaistagi se yeh keh kar maazrat kar li ke is tarah ke case ki cyber crime ya kisi intelligence ke cyber cell ko report karna hoga. Haya ne unse mulk ki sabse badi sarkaari, civilian agency ke cyber crime cell ka email address to le liya lekin ab woh mutazabzab baithi thi.

"Yeh intelligence walay baray khatarnak log hotay hain Aram!"

"Magar ab yeh karna to hai na!"

"Aur waqai karna to tha."

Aram ne laptop khola aur phir bohot behas o tamhees ke baad unhone ek complaint likhi aur us pate par bhej di jo PTA se unko mila tha.

Bimuskil das minute guzray thay ke Haya ka mobile baja. Chamakti screen par "private number calling" likha aa raha tha.

"Yeh kaun ho sakta hai?" Usne achambhay se mobile kaan se lagaya.

"Hello!" Doosri janib zara khamoshi ke baad ek bhaari gambheer awaaz sunayi di.

"Assalam-o-Alaikum, Miss Haya Suleman?"

"Haan... Ji... Aap kaun?"

"Main Major Ahmed baat kar raha hoon, Cyber Crime Cell se. Aap ne hamari agency mein report ki hai, humein abhi aapki complaint moosool hui hai."

Woh jo koi bhi tha, bohot khubsurat bolta tha. Gehri, gambheer, magar narm lehja jis mein zarasi chaashni bhari tapish thi. Garam aur sard ka imtizaj.

"Magar... Major Ahmed... maine complaint mein apna number to nahi likha tha." Woh dhak dhak karte dil ke saath keh rahi thi. Aram bhi herat bhare khauf se usko dekh rahi thi. Woh ab dheere se hans diya.

"Namber to bohot aam si cheez hai Miss Suleman! Main to aapke baare mein bohot kuch jaanta hoon."

"Kya?"

"Yehi ke aap Suleman Asghar ki beti hain. Aapke walid ki ek construction company hai. Aapka bhai Raheel George Mason University mein zair taleem hai. Khud aap International Islamic University mein LLB Honors Sharia and Law ke paanchwein saal mein hain. February mein aap exchange program ke tehat Istanbul ja rahi hain, ghaliban Sabancı University mein, aur pichle hafte apne cousin Dawar Furqan ki mehndi ke function par bani wali video ki internet par uploading ko aapne report kiya hai. Is that right, ma'am?"

Woh jo dum-bakhud sunti ja rahi thi, bimushkil bol payi.

"Ji... ji, wohi video."

"Ab aap kya chahti hain?"

"Yehi ke aap usay website se hata dein." Uski awaaz mein bohot maan, bohot minnat bhari aayi thi.

"Okay, aur kuch?"

"Aur... aur jin logon ke paas uski CD hai woh bhi..." Aagay uska gala randh gaya, ehsaas-e-toheen se kuch bola hi nahi gaya.

"Main shehar ke ek ek bande se woh video nikalwa lunga, aap befikar rahiye." Aur usay laga manho boojh uske ooper se utar gaya ho.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now