Suleiman sahib aage badhe aur uske munh par thappar de maara."Be-haya... be-haya," usay thapparon se maarte huye Suleiman sahib keh rahe the. Unke lab hil rahe the magar unse awaz Dolly ki nikal rahi thi. Woh Suleiman sahib nahi, Dolly bol rahi thi.
Thi... Dolly... Dolly... Pinky... be-haya... Pinky ki ungliyan... phone ki ghanti...
Woh ek jhatke se uth baithi.
Kamre mein andhera tha. Usne haath badha kar table lamp on kiya. Zard si roshni har taraf phel gayi.
Usne be-ikhtiyar dono haathon se apna chehra chuwa. Sab theek tha. Kisi ko kuch ilm nahi hua tha. Woh sab ek khwab tha... oh Khudaya... uska saans tez tez chal raha tha... dil waise hi dhadak raha tha... poora jism paseene se bheega tha...
Phone ki mukhsoos tone usi tarah baj rahi thi. Haan bas woh ghanti khwab nahi thi. Usne side table se mobile uthaya aur chamakti screen ko dekha... "Private number calling" aur phir usne phone kaan se lagaya...
"Major Ahmed, main aapke office aakar report darj karwane ke liye tayyar hoon... kal subah 9 baje mere ghar ki back side par maujood ground ke entrance par gaari bhej dein. Sharp."
"Okay!" Use fatah ka lehja sunayi diya tha. Usne aahista se phone band kar diya.
Kabhi bhi woh kisi ladke se tanha nahi mili thi. Magar na milne ki soorat mein woh video kabhi na kabhi ek...
Us khaufnaak khwab ne usay yeh sab karne par majboor kiya tha. Use laga ab uske paas aur koi chara nahi raha. Major Ahmed se to woh nipat legi...
♡♡♡
Playground ke gate ke sath toot ka tanawar darakht tha. Woh us se tek lagaye muntazir khadi thi. Surkh A-line kameez, chooridar pajama. Upar stylish sa surkh sweater jiske lambi aasteen hathailiyon ko dhandh kar ungliyon tak aati thi aur kandhon par brown chhoti si stool numa shaal. Lambe baal peeche kamar pe gir rahe the, sardi aur dhund mein woh muztrab si khadi thi.
Aram ya Zara, usne kisi ko nahi bataya tha. Yeh khatra usko akelay mol lena tha.
Dafatan usne bechaini se ghari dekhi. 9 bajne mein ek minute tha.
Isi pal ek car zan se uske samne aake ruki... siah purani Mercedes aur kisi butt ki tarah samne dekhta driver.
Woh khamoshi se sar jhukae aage barhi aur pichla darwaza khol kar andar baith gayi. Uske darwaza band karte hi driver ne gaari aage bhaga di.
Taqreeban ek ghante baad woh safe house thi.
Safaid deewaron wala khaali kamra, darmiyan mein lakdi ki kursi aur maiz, jis par use bithaya gaya. Maiz par sirf telephone rakha tha. Baqi poora kamra khaali tha.
Woh muztrab si gardan ghuma kar idhar udhar dekhne lagi. Teen taraf safed deewaren thin. Un mein se ek deewar mein woh darwaza tha, jahan se woh aayi thi. Albata chauthi simt uske bilmuqabil deewar sheeshe ki bani thi. Darasal woh sheeshe ki screen thi, jo zameen se lekar chhat tak thi.
Usne ghour se screen ko dekha. Uska sheesha dhundhla kar diya gaya tha. Jaise machine pher kar frosted kiya jata hai. Har cheez itni mumb (mahoom) aur dhundhli thi ke woh mushkil se ek khaka bana pa rahi thi. Yaqeenan woh sheesha ek kamre ko do hison mein taqseem karne ke liye darmiyan mein lagaya tha aur uske paar kamre ka baqi hissa tha.
Sheeshe ke us paar koi bara, pur-tashash sa office tha aur office table ke peechay revolving chair pe koi baitha tha. Uska rukh Haya ki jaanib hi tha. Uska chehra wazeh na tha. Khaki uniform, sar par cap, tek laga kar kursi par baitha, maiz par rakhi koi cheez ungliyon par ghumata hua. Shayad dekh bhi usi ko raha tha magar uski aankhen wazeh na thin, wazeh thi to bas ek cheez, us officer ke gandumi chehre ke dayein taraf wale aadhe pe ek badnma si kalak, jaise aadha chehra jala ho.
Daftan woh shakhs aage ko jhuka aur maiz se kuch utha kar kaan se lagaya. Ghaliban phone ka receiver.
Yakdam Haya ke samne maiz par rakha phone bajne laga. Woh chonki. Phone musalsal baj raha tha kya woh shakhs usay call kar raha tha? Usne dhadakte dil se receiver uthaya aur kaan se lagaya.
"Assalam-o-Alaikum Miss Haya Suleman! This is Major Ahmed," wahi bhari, narm garm sa khubsoorat lehja.
"Wa Alaikum Assalam!" Woh phone haath mein pakar kar kaan par rakhe, yaktak saamne screen ko dekh rahi thi, jiske paar aadhe jale chehre wala officer phone thamay baitha tha. Kya wahi Major Ahmed tha?
"Main umeed karta hoon ke humne aapko zyada takleef nahi di."
"Ji." Usko ghutan mehsoos hone lagi thi.
"Mere samne laptop par system khula hua hai. Mujhe ek click karna hai aur aapki video safha-e-hasti se aise mit jayegi jaise kabhi banayi hi nahi gayi thi."
Deewar ke us paar dhundlay manzar mein baithay officer ke samne bhi laptop khula para tha. Toh woh Major Ahmed tha? Woh samne kyun nahi aata tha?
"Aur sheher ke ek ek bande se main yeh video nikalwa chuka hoon. Bolain Haya! Main click kar doon?"
"Aur... woh report?"
"Samjhein, woh darj ho gayi." Usay laga woh muskuraya tha.
"Magar... aapne kaha tha ke mujhe report ke liye..."
"Ghalat kaha tha, excuse banaya tha. Baaz auqat bahanay banane parte hain, tab jab mazeed sabr nahi hota, samjhein?"
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomanceJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved