"Ap ki phuphi ka khandan jo zillat aur sharmindagi ke maare ab shayad idhar ka rukh kabhi nahi karega. Aakhir kar kaarnama bhi to bohat sharmnak anjaam diya hai."
Kyun kahi thi usne yeh baat? Kaisi zillat o sharmindagi? Kaisa sharmnaak kaarnama?
Phuphi ka khandan waqeetan palat kar nahi aaya tha, to kya is ki wajah un ki apne mulk aur khandan se bezaari nahi thi jaisa ke woh qiyas karti thi, balke koi aur baat thi? Koi zillat aamiz kaam jo unhone sar anjaam diya tha? Aur unhone, kisne? Phuphi? Unke shauhar? Ya Jehan Sikandar ne? Kya guthi thi bhala? Magar Major Ahmed se woh istifsar kar nahi sakti thi, na hi us ka dobara koi phone aaya tha... phir?
Aur woh khutoot... woh guldastay... woh bhi usne bheje the. Usay us ke spain jaane ka kaise ilm hua? Yaqeenan woh uski call tap kar raha tha jab Zara ne usko bataya tha. Aur woh us waqt yaqeenan us ke ghar ke bahar hi hoga, magar guldasta to kitchen ki table par rakha tha. To kya woh unke ghar bhi daakhil ho sakta tha?
Aur us ke kamre mein bhi?
Khauf ki lehr ne usay apne hisaar mein le liya. Woh uth kar darwaza band karne hi lagi thi ke Fatima Begum darwaza khol kar andar aayin.
"Ya... tumhare itna tumhein bula rahe hain."
"Okay, aa rahi hoon." Usne takiya par rakha dupatta uthakar gale mein dala, slipper pehney aur bahar aayi
"Aya?" Usne ungli ki pusht se kamre ka darwaza khatkhataya."Aajao, Haya."
Usne darwaza khola. Samne bed par Suleman sahab baithe the. Soch mein gum, mutafakkir, uske muntazir... Saath ek taraf sofa par Fatima Begum mojood theen. Unki khoobsurat aankhen sughwar theen aur ba-waqar sarapa pe afsurdgi chhayi hui thi.
"Aap ne bulaya tha, Aba?"
"Haan, aao baitho."
"Maine ek faisla kiya hai."
Usne gardan uthai. Woh bohot sanjeeda dikhayi de rahe the.
"Ab tumhein court ke zariye Saeen ke bete se khula le leni chahiye."
Koi uske munh par chaabak de marta, to shayad tab bhi use itna dukh na hota jitna ab hua tha.
"Maine wakeel se baat kar li hai. Adalat ki ek peshi mein alag ho jayegi aur jitne bezaar woh log hum se hain, yaqeenan unhein is baat se bohot khushi hogi."
Usne shaki nazron se maan ko dekha to unhon ne be-basi se shane uchka diye.
"Abba, kya yeh waahid hal hai?" bohot dair baad woh boli. Unke rawaye se saaf andaza lagaya ja sakta tha ke woh is rishte ko rakhna hi nahi chahte the.
"Kya is ke ilawa bhi koi hal hai? Haya duniya ka koi baap apni beti ka ghar nahi todna chahta aur main kabhi tumhein yeh na kehta, lekin kis qeemat par? Kis qeemat par hum yeh rishta nibhanay ki koshish karein jab woh koi umeed hi nahi dilate."
"Agar aapko waqai lagta hai ke aap mera ghar basa hua dekhna chahte hain to mujhe Turkey jane dein, wahan main us ko zaroor dhoondhungi aur poochungi ke agar woh ghar banana chahta hai to theek hai, warna mujhe talaaq de de. Agar nahi deta to wahin court chali jaungi. Magar mujhe ek aakhri koshish kar lene dein, please!"
Woh khamosh ho gaye, shayad qail ho gaye the.
"Abba, aap mujhe paanch mah ka waqt dein. Agar is ke aakhir mein bhi aapko lage ke mujhe khula le leni chahiye to main aapke faisle mein aapke saath hoongi." Woh uthi aur phir bina kuch kahe kamre se nikal gayi.
Woh khabti ladki use class ke bahar hi mil gayi. Woh filein sambhalte bahar ja rahi thi jab usne Haya ko rok liya.
"Sunain, Miss Suleman!" Woh jaise majbooran use mukhatib kar rahi thi. Haya ne kofat se palat kar dekha. Wahan Khadija Rana khadi thi. DJ. Jise D.J sirf us ke friends kaha karte the. Woh uski friend na thi aur na hi banna chahti thi.
"Ji Khadija?" Badal nawakhasta usne zara murawwat se jawab diya.
"Aap ne visa ke liye apply kar diya? Dar asal Madam Farakhanda ne kaha hai hum dono ko jald az jald visa ke liye apply karna chahiye. Kyunki February ke pehle haftay humne Spain jaana hai aur aaj teerha tareekh hai. Hamare paas bas pandrah din hain aur Turkey ka visa 15 din mein kabhi nahi lagata karta."
"Woh tez tez bol rahi thi. Uski baat kuch aisi thi ke Haya ko sanjeeda hona pada. Warna abhi tak to woh Abba ki kahi gayi baatein soch rahi thi."
"Oh... toh tab humein kya karna chahiye?"
"Kal Turkish Embassy ja kar visa ke liye apply karna hai. Unka ajeeb saaroof hai ke har roz sab se pehle aane waale 15 umeedwaaron ka hi interview hota hai. Embassy subah saat baje hi khul jaati hai aur logon ki line lagi hoti hai. Agar hum ek minute bhi late ho gaye toh woh humein agle din par daal denge. Sun rahi hain na aap?"
"Hoon... ji! Usne ghaib dimaaghi se sar hilaya. Pata nahi woh kya bol rahi thi."
"Aap mujhe apna number likhwa dein, taake hum ko ardainate kar sakein."
"Usne be dil se apna number likhwa diya. Khadija ne usay apne phone mein note karte gayi."
"Theek hai, kal subah saade chhay baje tak aap Diplomatic Enclave tak pohanch jaayega, main wahi hoon gi."
"Usne achha keh kar jaan chhurane waale andaaz mein sar hilaaya."
"Aur please der mat keejiye ga, yeh nah ho ke aap ki wajah se mera visa bhi reh jaaye, Miss Suleiman!" Woh naak charha kar yeh jatayi gayi ke aakhir woh bhi Khadija Rana hai.
"Kya company mili hai mujhe, F...," woh peer panch kar aage barh gayi. Abba ki baaton ne use itna disturb kiya tha ke us waqt visa woh aakhri cheez thi jis ke bare mein woh soch sakti thi.
●●●
Raat ki tareeki ko dukaanon ki deewaron se jhalkti roshniyan roshan kiye hue thein. Zard roshniyon ka aks samne lambi seedhi sarak par bhi para tha. Jis ki ek taraf parking ki gaarion ki lambi qataar thi. Dusri taraf ek chhota sa chabutra bana hua tha. Chabutre par din ke waqt bike fir kar stall lagate thay. Yeh Jinnah Square tha.
Siyaah jacket ki jebon mein haath daale, shaanon par phelte siyah lambe baal liye, woh sir jhukaaye khud faramoshi ke aalam mein chal rahi thi. Amma aur abba ki kee gayi baatein dil o dimaagh mein goonj rahi thi. Yeh Jahan Sikandar kaun tha? Uska munkoh, kazan, shohar... woh shakhs jis ke khwab usne saari umar dekhe thay? Kya abba amma nahi jaante thay ke khwab agar apne haathon se tode jaayein to ungliyan bhi zakhmi ho jaati hain, phir kaise woh khud ko zakhm de?
Woh sheher ki tez awaaz thi, jis ne use khayalon ke hujoom se nikaala. Usne chonk kar sar uthaya.
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomanceJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved