Part 23

891 13 0
                                    

"Pinaki, Dolly kahan hai?" Woh seene par baazu lete teekhe andaaz mein boli aur chonke woh us naujawan ki aankhon mein dekh kar boli thi is liye toh woh zara ulajh sa gaya.

"Sori?"

"Maine poocha hai, Dolly kahan hai?"

"Koun? Main samjha nahin!" Woh dheeme magar uljhe hue lehje mein bola.

"Agar aapke dimaag par chot aane ki wajah se aapki yaadasht kho gayi hai toh befikar rahiye, main aapko yaad kara deti hoon. Dolly aapka woh khwaja sara dost hai jiske sath mil kar aap roz khwaja sara ban ke sadak par bheek maang rahe the. Pinaki naam bataya tha aapne apna, nahin?"

Uski peshaani shikan alood ho gayi. Aankhon mein gussa dar aya, taham woh zara bardasht kar ke bola.

"Madam! Aap ko koi ghalat fehmi hui hai, main aap ko jaanta tak nahi hoon."

"Magar main aap ko bohot achay se jaanti hoon. Yeh aapki ungliyon pe nishan meri gaari ke sheeshe mein phansne ke bais hi aaye the. Mujhe yaad hai, Mister."

"Aap kaun hain aur pr ahm kya hai aapko?" Woh ladki mazeed bardasht nahi kar saki thi. "Main woh hoon jisne aapke in bhai sahib ko khwaja sara banay dekha tha."

"That's enough!" Us naujawan ne gusse se kharka. "Main sharafat se aap ki bakwas sun raha hoon aur aap be-lagam hoti ja rahi hain. Iss se aage aap ne koi fazool goi ki toh acha nahi hoga."

"Utni hi sharafat hai aap mein toh khwaja sara kyun bane hue the?" Kisi ne uske aqab mein kaha toh woh chonki. Khadija bohot aitmaad se kehti uske barabar aa khadi hui thi. Haya ko ek dum hi jaise dharas si mili.

"Aapka dimagh kharab hai, apni behen ko samjhaen! Mere bhai se ta'aruf ka acha bahana dhonda hai inhone." Ladki bharak kar boli. Shop mein bohot se log sab kuch chhod kar unko dekh rahe the.

"Ta'aruf, my foot! Jo hai woh hai." Khadija bhi unchi awaaz mein boli. "Aapke bhai ko maine khud khwaja sara banaye dekha tha. Main abhi das aur log la sakti hoon jo is baat ki gawahi denge."

"Ajeeb khatoon hain aap, khamkha tang kiye ja rahi hain. Yeh ta'aruf ke bahane kisi aur ke saamne ja kar batayiye." "Sorry madam!" Shop manager tezi se unki taraf aya tha. "Please aap idhar tamasha na karen. Doosre customers disturb..."

"Oh, Major sahib..." Ab usne us naujawan ka chehra dekha toh shanasai bhari herat se bola! "Bohat ma'azrat sir! Aap mohtarma," woh Haya ki taraf mura, "aap please shor na karen. Agar aap khareedari nahi karni toh aap ja sakti hain."

"Aap hote kaun hain mujhe shop se nikaalne wale?"

"Ahmed bhai! Chalen hum hi chalte hain. Inka toh dimagh kharab hai." Ladki ne khafgi se use dekhte hue kapra phenka aur palti. Woh naujawan ek tanfur bhari nigah us par daal kar, apni maan ka shana thame darwaze ki taraf barh gaya. Haya ne chonk kar use dekha. Ahmed bhai... Major sahib... Toh kya woh... Toba hai, in aaj kal ki ladkiyon ki." Walida sahiba musalsal na-pasandedgi se bur burati nikal gayin. Woh lab bhinche khadi unhein jaate dekhti rahi. Use is shakhs ke Major Ahmed hone mein koi shuba nahi reh gaya tha.

"Haya! Is se pehle ke yeh manager humein dhakke de kar nikaale, hum bhi khisak jaen." DJ ne uske qareeb sar goshi ki toh woh chonki, phir sar jhatak kar aage barh gayi.

Bahar khuli fiza mein aakar usne be-ikhtiyar kaha tha.

"Thank you, DJ! Aur yeh pehli baar tha jab usne Khadija ko uske maruf naam se pukara tha."

DJ be-sakhta hans di. "Mujhe pata tha aap jhoot nahi boltin. Aapne waqai wohi dekha hoga jo keh rahi thin."

"Magr DJ! Maine usse waqai khwaja sara bane dekha tha."

"Haya, aapne usse bas khwaja sara bane dekha tha na? Toh ho sakta hai woh sirf adventure ke liye aisa bana ho."

"Pata nahi," usne be-zari se shane uchkaye.

"Chalo chalte hain." Woh aage barh gayi. Uska dil har shay se achhat ho gaya tha.

○○○

"Athaais January ko use Etihad Airways ka ticket email kar diya gaya jiska usko printout nikalwana tha. Phir isi ticket par usay paanch February ki subah Istanbul ke liye rawana hona tha.

Shaam mein woh Aram se uska Evo mangne taya Furqan ke ghar aayi thi. Uska net kaam nahi kar raha tha, aur Abba abhi office se nahi aaye the warna unka use kar leti. Khadija ka paigham aaya tha ke Sabanci University ne hostel ka electric form par karne ke liye bheja hai, so woh mail check kar le. Taya Furqan lawn mein baithe akhbar parh rahe the. Use aata dekh kar muskuraye. "Aagayi taya ki yaad?" Unhone safha palat te hue narmi se poocha. "Ji," woh bazahir muskurate hue unke paas chali aayi. Warna us roz ki Saima Tai ki batein nashtar ki tarah chubhti thi.

"Flight kab hai?" Woh akhbar par nigahen markooz kiye pooch rahe the.

"Paanch February ko."

"Apna khayal rakhna. Waise betiyon ko tanha itna door bhejna nahi chahiye. Sulaiman ka hosla hai bhai! Khair tum Turkey mein apne labas aur aqdar ka khayal rakhna, sar se dupatta na utaarna, jaise Aram nahi utaarti."

Aakhri jumla kehte hue unke lehje mein fakhr dar aaya tha. Haya ke halq tak karwahat ghul gayi.

"Ji behtar," main zara Aram se mil loon. Woh jaan chhuda kar andar aa gayi. Kaash ke woh Taya Furqan ko bata sakti ke maghribi libaas jo woh yahan unki wajah se nahi pehenti, wahan zaroor pehne gi. Us ne bohot se tops aur jeans khareed kar apne samaan mein rakh liye the, aur rahi sar dhakne ki baat to woh khair se Sabanci mein sakhti se "haraam" tha... Shukar!

Aram kamre mein nahi thi. Bathroom ka darwaza band tha aur andar se paani girne ki awaaz aa rahi thi. Woh bedili se uske bed par baith gayi. Aram shower lene mein bohot dair lagati thi. So majbooran usay intezar karna tha.

Daftan cell phone ki ghanti baji. Haya chonki.

Aram ka cell phone uske saath hi takiye pe rakha tha. Usne gardan jhuka kar dekha. Cell phone ki roshan screen par ek naya paigham "jagmagar raha tha. Saath hi bhejne wale ka naam likha aa raha tha: "Haya Salman."

Woh beyaqeeni se phone ki screen ko dekhti rahi.

Kya kisi ne Aram ko uske number se paigham bheja tha ya Aram ne kisi ka number uske naam ke saath mehfooz kar rakha tha?

Haya ne mohtaat nigahon se bathroom ke band darwaze ko dekha, aur phone par ek do button dabaye. Paigham lamhe bhar baad khul gaya.

"Main call kar loon? Subah se baat nahi hui, ab mazeed intezar nahi kar sakta. Yeh dil itna mazboot nahi hai jaan! Supply!"

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now