"Un ke passport check kar do, ya to yeh Israeli nahi hai, ya woh Falasteeni nahi hain. Itna ittehad aur dosti? Touba, hai bhi bari hai!" Jab bhi unko saath dekh kar aati, yunhi karhti rehti. Haya ne abhi un ladkon ko nahi dekha tha, na hi usay shauq tha. Tamam mulkon ke exchange students peer tak pohanch gaye thay. Wahan kisi ko kisi exchange student ka naam maloom nahi hota tha. Bas yeh Falasteeni hain, yeh Chinese hain, yeh Norwegian hain, yeh Dutch hain, aur yeh dono Pakistani hain.
Unko aik se chaar mazameen lene ka ikhtiyar tha. DJ ne do liye jabke Haya ne chaar liye. Chauthe maheenay ke ikhtitaam par imtihan dene ki pabandi thi, aur yeh paanch mahine laazman Turkey mein guzarne ki pabandi thi, chahe hostel mein raho, chahe na raho, chahe saari raat bahar guzaaro, koi poochhne wala nahi tha. Khoob maze thay.
Sabanci mein class ke andar larkiyon ke scarf pe pabandi thi.
"To yeh Hale Noor kya karti hogi?" Haya ne DJ se tab poocha, jab woh dono namaz ke bahaane class mein dikhayi jane wali Turkey ki taarufi presentation se khisak kar agayi thein aur ab prayer hall mein baithi chips khaa rahi thein.
"Woh class mein scarf utaar kar hi jati hai," DJ chips khatam karte hue bata rahi thi. Woh dono chaukri maar kar carpet par baithi thein. Aik taraf almari mein Quran aur Islami kutub ke nuskhe sajay thay. Doosri taraf bohot se scarf aur skirts tangay hue thay. Jeans wali Turk larkiyan skirt pehn kar namaz parh letin aur phir baad mein woh skirt wahan latka kar chali jatin. Istanbul ke har zanana prayer hall mein aisay scarf aur skirts latkay hote thay.
"Maze ki hai yeh Bale Noor bhi," woh ungli se baal peechay karte hue keh rahi thi. Usne bhi blue jeans ke upar gulaabi sweater pehna rakha tha. Pakistan mein taya Furqan ki daant ke dar se woh jeans nahi pehn sakti thi, lekin shukar hai ke yahan woh log nahi thay aur woh zindagi ko apni marzi se lutf andoz ho kar guzaar rahi thi.
"Parson tum apni phupho ke ghar gayi thi. Kaisa raha wahan?"
"Acha raha, phupho ne pulao banaya tha, woh waqai apna bad maza pakwaan nahi hai jitna hum samjhe thay."
"Main to pehle hi keh rahi thi."
Jab prayer hall mein bhi khoob bore ho gayin to bahar nikal aayin. Sard hawa dheemi lay mein beh rahi thi. Hari ghaas pe Sabanci ki gol si imarat poore waqar ke sath khadi thi, jaise aik golayi ki shakl mein bane ghar ko hat pehna diya jaye. Sheeshe ke oonche dakhli darwazon ke samne seedhiyan bani thi. Seedhiyon ke dono aatraaf sabza phaila tha. Woh dono files thamay zainay utar rahi thin, jab DJ ne uska shana hilaya.
"Yeh jo aakhri zine pe teen ladke kharay hain, yeh wahi Falasteeni ladke hain. Dekho, Natalia bhi in ke sath hai." Usne hosh se chehre par aatay baal peechay hataye aur dekha. Woh handsome aur khush shakal se ladke seedhiyon ke kinare kharay baaton mein masroof thay.
"Aao, in se milte hain."
"Mujhe dilchaspi nahi hai. Tum jao, mujhe zara kaam hai."
Woh khat khat zena utarti aagay barh gayi. DJ ne usay nahi pukara, woh un Falasteeniyon ki jaanib chali gayi. Aur woh yahi chahti thi, DJ se dosti apni jagah, filhaal woh khoob azaadi se Istanbul ko khojna chahti thi. Akeli aur tanha...
Qareeban ghantay bhar baad woh apne kamray se khoob tayar ho kar nikli aur pathreeli sarrak par chalne lagi.
Usne blue jeans ke upar ek tang, stylish sa ghutnon tak aata coat pehna rakha tha. Shadeed sardi ke bawajood nange paon mein paanch inch oonchi heel pehni thi. Reshmi baal uske shanon par ud rahe thay aur gehrey kajal ke sath ras bhari ki tarah surkh lipstick. Usay surkh lipstick hamesha se purkashish lagti thi aur aaj usay maloom tha ke woh bohat haseen lag rahi hai.
Bus stop aa chuka tha, jab badal zor se garjay. Yeh bus stop university ke andar hi tha. Sabanci ki heroine Gursel thi. Gursel bus service. Woh Sabanci ke talba ke liye hi chalti thi aur unhein Istanbul sheher tak le jati thi. Hale ne usay Gursel ka schedule ratwa diya tha.
"Jis din tumhari Gursel chhuti, tumhe Bale Noor bohot yaad aayegi." Usne sakhti se takeed karte hue kaha tha. Gursel apne muqarrar waqt se aik lamha ki takheer nahi karti thi, aur agar aap chand second bhi takheer se aaye to...
"Gursel gayi." Ab do ghantay baith kar agli Gursel ka intezaar karen.
Jab woh Gursel mein baithi to aasman pe siyaah badal ikathay ho rahe thay. Jab Gursel ne Bosphorus ka azeem-ush-shan pul paar kiya to moti moti boonden pani mein gir rahi thi, aur jab woh Taksim Square par utri to Istanbul bheeg raha tha. Taksim Square Istanbul ka aik markazi chowk tha. Wahan ain wast mein Ataturk samait tareekhi shakhsiyaat ke mujassamay nasb thay. "Mujassama-e-Azadi" ke aik taraf Harbiye Park tha, aur doosri taraf Metro train ka zameen ke neeche waqya station.
Woh bus se utri to barish taratar baras rahi thi. Moti moti qatrey us par gir rahe thay. Woh seenay par baazu lapaytay tez tez sarrak paar karne lagi. Geeli sarrak par oonchi heel se chalna dushwaar tha. Chand hi lamhon mein woh poori tarah bheeg chuki thi.
Zameen ke neeche metro station tak jati woh chori seerhiyan samnay hi thin. Woh qareeban daur kar seerhiyon ke dehanay tak pohnchi hi thi ke cheekh ki awaaz aayi. Woh ladkharai aur girte girte bachi. Uski daayeen sandal ki heel darmiyan se toot gayi thi. Toota hua do inch ka tukra aise atka hua saath latak raha tha.
Usne khift se idhar udhar dekha. Log masroof andaaz mein chatriyan taaney guzar rahe thay. Shukr ke kisi ne dekha nahi tha.
Barish usi tarah baras rahi thi. Uske baal moti geeli laton ki soorat chehray ke atraf mein chipak gaye thay. Usne kofat se toote joote ke saath seerhiyan utarna chaha, magar yeh namumkin tha. Jhanjhla kar woh jhuki, dono jooton ke straps kholey, paon un mein se nikale aur joote straps se pakar kar seedhi hui.
Neeche train ke pohnchnay ka shor mach gaya tha. Woh bhagtay huay nangay paon zameen utarne lagi. Metro ka ticket dedh lira ka tha, chahe jis bhi station par utro. Woh ticket le kar jaldi se train mein daakhil hui taake kisi ke mehsoos karne se pehle hi mo'atabar ban kar jootay pehan kar baith jaye. Metro mein nishistain dono diwaaron ke saath seedhi qataar mein thin. Khare honay walon ke liye upar rod se handles latak rahe thay. Woh aik handle ko pakray bheed mein se rasta bananay lagi. Uski nazar konay ki aik khaali nishist par thi magar agay chaltay shakhs ne goya rasta rok rakha tha. Jab tak woh konay wali nishist par baitha nahi, woh agay nahi barh saki, phir uske baithtay hi dham se uske barabar ki jagah par a baithi.
Woh siyah suit mein malboos shakhs shanasa sa laga. Lamhay bhar ko uska saans ruk sa gaya.
Woh Jihan Sikandar tha.
Bohat qeemti aur nafees siyah suit mein malboos, gel se baal peechay kiye, woh chehray par dheeron sanjeedgi liye akhbar khol raha tha. Briefcase usne qadamoon mein rakh diya tha. Woh mutahayar si baithi, samnay dekhti rahi. Kin akhiyon se usay woh chehray ke agay akhbar phelaye nazar aa raha tha. Samnay wali qataar aur unki qataar ke darmiyan jagah upar lagay handle pakar kar kharay logon se bharne lagi thi.
Woh is ajeeb ittefaq par itni shashdar baithi thi ke haath se latakte jootay bhool hi gayi. Yaad raha to bas yehi ke woh kitna qareeb... magar kitna door tha. Woh usay kaise mukhatib kare? Aur agar woh usay dekhe baghair train se utar gaya to...? Uska dil doobne laga.
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomanceJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved