"Main bas laga rahi hoon." Phopho ab sanbhal kar dobara se hashaash bashaash ho gayi thein. Haya jawab diye bina tahir se fridge ke upar oondhay munh gire frame ko dekhti rahi. Uske aik sawal ke jawab mein jis bad mizaji se Jihan ne frame giraya tha, wo ab tak us par gang thi.
"Mummy, aap ka cabinet ready hai." Wo ab cabinet ka darwaza khol band kar ke check kar raha tha. "Thank you, Jihan! Aur bathroom ka naal bhi?" Phopho ne gol table par pulao ka bara sa pyaala rakhte hue use yaad dilaya.
"Ay haye... phir wahi bad maza pulao?" Wo khafeef sa sar jhatak kar reh gayi.
"Rehnay dein, phopho... main!"
"Koi agar magar nahi. Main tumhare liye kuch khaas nahi bana saki, so mujhe inkaar karke ab sharminda na karna." Jihan ab drawer se dabba nikal kar andar rakhi cheezein ulat pulat kar raha tha. Dafatan door bell baji. Jihan ne ruk kar raahdaari ki simt dekha. Phir dabba waheen chhoda aur bahar nikal gaya."Shuru kar, Haya!" Phopho ne muskurati aankhon se dekhte hue use plate thamayi. Usne shukriya keh kar chawal aur thoda sa lobia ka masala nikala.
Raahdaari ke us paar Jihan kisi mard se Turk mein kuch bol raha tha.
Dono ki madham si awaazain sunayi de rahi thein. Dosray hi lamhay mein pulao usay maze daar lagne laga. DJ sahi kehti thi, unko khana sirf safar ki matli ke baais bad maza laga tha. "Phopho, aap ke haath mein bohat zaiqa hai..."
Uska chamcha pakray munh tak jaata haath aur baat dono rukh gaye. Be-yaqeeni se us ne gardan mori, Jahan raahdaari se usay pukarta aa raha tha. Kya is maghroor aur bad-dimaagh aadmi ko uska naam yaad reh gaya tha? Wo dheere dheere sarak kinare chalne lagi. Receipt abhi tak uske haath mein thi. Wo ghanta bhar pehle tak khud is baat se nawaqif thi ke Jahangeer ja rahi hai. Phir is AR ko kaise ilm hua? Kya wo uska peecha kar raha tha? Kya uska ta'aqub kiya ja raha tha? Lekin ek Pakistani officer ke ek ghair mulk mein itnay zariye kaise ho sakte the? Sirf usay tang karne ke liye itni lambi chori mansoobabandi kaun kare ga?
Wo colony ke siray par nasb bench par baith gayi. Uski nigahain barf se dhaki ghaas par jami thein.
"Aanay tak yahin baithna tha.""Us ne agle din hi dorm officer Haqan se baat kar ke apna kamra badal liya tha. Ab wo DJ ke kamray mein muntakil ho chuki thi. Kamray mein teesri ladki ek Cheeni-nizaad Ling Ling thi. Us ka poora naam itna lamba aur paicheeda tha ke Europe ke liye apna naam Cherry rakh liya tha. Wo exchange student thi aur PhD kar rahi thi."
"Chouthi ladki ek Israeli Yahoodi Tali thi. Waqi'an naakli ke darakht ki tarah lambi chori aur ghunghriyalay baalon wali. Wo bhi exchange student thi aur uski saath walay kamray ke Filistini exchange students (wo handsom larka jiska zikr DJ ne pehlay roz kiya tha) se gaari chunti thi. Wo Filistini larka aur wo Israeli ladki har jagah sath sath nazar aatay thay. Campus ki seerhiyan hoon ya hostel ka common room, wo chaaron sath hi hotay. Un ke passports check kar lo, ya to ye Israeli nahi hai, ya wo Filistini nahi hai. Itna ittehad aur dosti? Toba hai bhai! DJ jab bhi unko sath dekh kar aati, yuhin karhti rehti. Haya ne abhi un larkon ko nahi dekha tha, na hi usay shauq tha. Tamam mumalik ke exchange students peer tak pohanch gaye thay. Wahan kisi ko kisi exchange student ka naam maaloom nahi hota tha. Bas ye Filistini hain, ye Chinese hai, ye Norwegian hai, ye Dutch hai, aur ye donon Pakistani hain."
"Un ko aik se chaar mazameen lene ka ikhtiyar tha. DJ ne do liye jabke Haya ne chaar liye. Chauthe mahine ke ikhtitam par imtehaan dene ki pabandi thi, aur yeh paanch mahine laazman Turkey mein guzarnay ki pabandi thi, chahe hostel mein raho, chahe na raho, chahe saari raat bahar guzaro, koi poochne wala na tha. Khoob maze thay.
Sabanci mein class ke andar larkiyon ke scarf pe pabandi thi.
To yeh Haale Noor kya karti hogi? Haya ne DJ se tab poocha, jab woh dono namaz ke bahaane class mein dikhai jaane wali Turkey ki taarufi presentation se khisk kar agayi thi aur ab prayer hall mein baithi chips khaa rahi thi.
Woh class mein scarf utaar kar hi jaati hai. DJ chips katrate hue bata rahi thi. Woh dono chaukri maar kar carpet par baithi thi. Aik taraf almari mein Quran aur Islami kutub ke nuskhay sajay thay. Doosri taraf bohat se scarves aur skirts tangay hue thay. Jeans wali Turkish larkiyan skirt pehan kar namaz parh leti aur phir baad mein woh skirt wahan latka kar chali jaati. Istanbul ke har zanaanah prayer hall mein aisay scarves aur skirts latkay hotay thay."
"Maze ki hai yeh Haale Noor bhi," woh ungli se baal peeche karte hue keh rahi thi. Usne bhi blue jeans ke upar gulaabi sweater pehna hua tha. Pakistan mein taya Furqan ki daant ke dar se woh jeans nahi pehan sakti thi, lekin shukar ke yahan woh log nahi thay aur woh zindagi ko apni marzi se lutf andoz ho kar guzar rahi thi.
"Parso tum apni phupho ke ghar gayi thi. Kaisa raha trip?"
"Acha raha, phuphonay pulao banaya tha, woh waqai apna bad maza pakwan nahi hai jitna hum samjhe thay."
"Main to pehle hi keh rahi thi."
Jab prayer hall mein bhi khoob bore ho gayi to bahar nikal aayi.
Saro nam hawa dheemi leh mein beh rahi thi. Hari ghaas par Sabanci ki gol si imarat poore waqar ke saath khari thi, jaise aik golai ki shakal mein bane ghar ko hat pehna diya jaye. Sheeshe ke oonchay dakhli darwazay ke samne seediyan bani thi. Seediyaan ke dono taraf sabza phela tha. Woh dono failein thamay zainay utar rahi thi, jab DJ ne uska shaana hilaya.
"Yeh jo aakhri zainay par teen ladkay kharay hain, yeh wahi Filistini ladkay hain. Dekho, Atahli bhi unke saath hai."
Usne hawa se chehre pe aate baal peeche hataye aur dekha. Woh handsome aur khush shakal se ladkay seediyaan ke kinare kharay baaton mein masroof thay.
"Aao unse miltay hain."
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomanceJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved