"Mujhe dilchaspi nahi hai. Tum jao, mujhe zara kaam hai."
Woh khat khat zaina utarti aagay barh gayi. DJ ne usay nahi pukara, woh un Filistiniyon ki janib chali gayi. Aur woh yahi chahti thi, DJ se dosti apni jagah, filhaal woh khoob azadi se Istanbul ko khojna chahti thi. Akeli aur tanha...
Qareeban ghantay bhar baad woh apne kamray se khoob tayar ho kar nikli aur pathreeli sadak par chalne lagi. Usne blue jeans ke upar aik tang, stylish sa ghutnon tak aata coat pehna hua tha. Shadeed sardi ke bawajood nange paon mein paanch inch oonchi heel pehni thi. Reshmi baal uske shanon pe urh rahe thay aur gehre kajal ke sath ras bhari ki tarah surkh lipstick. Usay surkh lipstick hamesha se par kashish lagti thi aur aaj usay maaloom tha ke woh bohot haseen lag rahi hai.
Bus stop aa chuka tha, jab baadal zor se garjay. Yeh bus stop university ke andar hi tha. Sabanci ki heroine Gorcel thi. Gorcel bus service. Woh Sabanci ke talaba ke liye hi chalti thi aur unhein Istanbul shehar tak le jati thi. Haale ne usay Gorcel ka schedule ratuwa diya tha.
"Jis din tumhari Gorcel chhut gayi, tumhein Haale Noor bohot yaad aayegi," usne sakhti se taakeed karte hue kaha tha. Gorcel apne muqarrar waqt se ek lamha ki taakhir nahi karti thi, aur agar aap chand second bhi dair se aaye to Gorcel gayi. Ab do ghantay baith kar agli Gorcel ka intezar karein.
Jab woh Gorcel mein baithi toh aasmaan par siyaah baadal ikhatte ho rahe thay. Jab Gorcel ne Bosphorus ka azeem ushshan pul paar kiya toh moti moti boondain paani mein gir rahi thi aur jab woh Taksim Square par utri toh Istanbul bheeg raha tha. Taksim Square Istanbul ka aik markazi chowk tha. Wahan ain wasat mein Ataturk samait tareekhi shakhsiyat ke mujassamay nasb thay. "Mujassama-e-Azadi" ke aik taraf hara-bhara park tha, aur doosri taraf metro train ka zameen ke neechay station.
Woh bus se utri toh barish tarr tarr baras rahi thi. Moti moti qatray us par gir rahe thay. Woh seene pe baazu laitay tez tez sadak paar karne lagi. Geeli sadak par oonchi heel se chalna dushwaar tha. Chand hi lamhon mein woh poori tarah bheeg chuki thi.
Zameen ke neechay metro station tak jaati woh chori seerhiyan samnay hi thi. Woh qareeban daud kar seerhiyon ke dehane tak pohanchi hi thi ke cheekh ki awaaz aayi. Woh ladkharaai aur girte girte bachi. Uski dayeen sandal ki heel darmiyan se toot gayi thi. Toota hua do inch ka tukra aisa atka hua saath latak raha tha.
Usne khift se idhar udhar dekha. Log masroof andaaz mein chatriyaan taanay guzar rahe thay. Shukar ke kisi ne dekha nahi tha.
Barish usi tarah baras rahi thi. Uske baal moti geeli laton ki soorat chehre ke ird gird chipak gaye thay. Usne kofat se toote jootay ke saath zaina utarna chaha, magar yeh na mumkin tha. Jhinjhla kar woh jhuki, dono jooton ke straps kholay, paon un mein se nikale aur jootay straps se pakar kar seedhi hui.
Neeche train ke pohanchne ka shor mach gaya tha. Woh bhaagte hue nange paon zeena utarne lagi.
Metro ka ticket deirh lira ka tha, chahe jis bhi station par utri. Woh ticket le kar jaldi se train mein daakhil hui taake kisi ke mehsoos karne se pehle hi motabar ban kar jootay pehan kar baith jaye. Metro mein seats dono deewaron ke saath seedhi qatar mein thi. Khade hone walon ke liye ooper rod se handle latke hue the. Woh ek handle ko pakray bhitar se raasta banane lagi. Uski nazar kone ki ek khaali seat par thi magar aage chalte shakhs ne goya raasta rok rakha tha. Jab tak woh kone wali seat par baitha nahi, woh aage nahi barh saki, phir uske baithte hi dhum se uske barabar ki jagah par aa baithi. Woh siyah suit mein malbos shakhs shanasa sa laga. Lamhe bhar ko uska saans ruk sa gaya.
Woh Jihan Sikandar Ahmed
Bohat qeemti aur nafees siyah suit mein malbos, jail se baal peeche kiye woh chehre par dheron sanjeedgi liye akhbaar khol raha tha. Briefcase usne qadamoun mein rakh diya tha. Woh mutahhir behit, samne dekhe gayi. Kin akhiyon se use woh chehre ke aage akhbaar phailaye nazar aa raha tha. Samne wali qatar aur unki qatar ke darmiyan jagah ooper lage handles pakad kar khade logon se bharne lagi thi.
Woh is ajeeb ittefaq par itni shashdar behit thi ke haath se latakte jootay bhool hi gayi. Yaad raha toh bas yahi ke woh kitna qareeb... magar kitna door tha. Woh use kaise mukhatib kare? Aur agar woh use dekhe bina train se utar gaya
to...? Uska dil doobne laga.
Magar woh toh shayad use pehchane bhi na. Is sard mehr, kam go shakhs se use yehi tawaqqo thi. Chand pal sir ke the ke Jihan ne safha palatne ki "Raz" se akhbaar neeche kiya aur anguthay se aglay safhay ka kinara modte hue ek sarsari nazar pehlu mein baithi larki par daali, phir safha palat kar akhbaar ki taraf mutaajeh ho gaya. Magar aglay hi pal woh jaise ruka aur gardan mod kar dobarah use dekha. Uski bheegi moti latain rukhsaron se chipak gayi thi. Pani ke qatre thodi se neeche gardan par gir rahe the. Woh uske mutaajeh hone par bhi sans rok ke samne dekhe gayi.
" O... Haya..." Woh hairat bhari awaz kahin door se aayi thi. Haya ne dheere se palkain uski taraf uthain. Kajal ki lakeer mit kar neeche beh gayi thi, tab bhi un udas aankhon mein ajab sehr dikhta tha.
"Jihan Sikandar!" Woh badqat risma muskurai. "Haya! Kaisi ho? Akeli ho?" Kehne ke saath Jihan ne arda gird nazar daurai. Wahan koi musafir Haya ka humsafar nahi lag raha tha.
"Ji akeli hoon."
"Main ne ye bhi poocha hai ke kaisi ho?" Muskurate hue apnaiyat se kehte hue woh akhbaar theh karne laga. Woh jo uske liye hathori aur meekh nahi rakh sakta tha, ab akhbaar rakh raha tha? Ya Khuda! Ye wohi Jihan Sikandar tha? "Main tumhe yaad kar rahi thi. Tum phir kab aaogi ghar?" Aakhbaar ek taraf rakh kar ab woh poori tarah Haya ki taraf mutaajeh tha. Woh ik tak use dekhe gayi.
"Bas... shayad kuch din... shayad kuch din...
Kuch kehne ki koshish mein usay mehsoos hua, Jihaan ki nazrein uske haath pe phaili thi, aur pehle iske ke woh chhupa paati, woh dekh chuka tha. "Jootay ko kya hua hai? Itni sardi mein nange paon baithi ho. Lao khawo joota." Woh khafa hua tha ya fikar mand, usay sochne ka mauqa hi nahi mil saka. Jihaan joota lene ke liye jhuk gaya to usne bechayni se tooti heel wali sandal samne ki. "Yeh to alag hone wala hai." Uske haath se joota le kar ab woh ise ulat palat kar dekhne laga. Haya ne bechaini se pehlu badla.
"Jihaan! rehne do."
"Theher jao, shayad yeh jadh jaaye..." Woh jhuk kar doosre haath se briefcase mein se kuch nikaalne laga.
"Jihaan! log dekh rahe hain!"
"Yeh pakro zara." Woh seedha hua aur joota Haya ko thmaaya, phir haath mein pakra tape khola. Kaafi lamba sa strap khol kar daant se kaata. Haya ne joota samne kiya. Usne ehtiyaat se heel ke niche latakte huye hisse ko upar ke saath joda aur iske gird chakron mein tape lagata gaya.
"Ab pehno." Marham shuda sandal ko usne jhuk kar Haya ke qadamoun mein rakha. Haya ne ismein paaon daala aur strap band karne jhuki hi thi ke zor padne se cheekh hui aur heel ka toota hissa sare se hi alag ho gaya.
"Oh!" Woh mutaasif hua.
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomanceJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved