Part 6

1K 18 0
                                    

Ladkiyan carpet par daira bana kar baithi thin. Aram dholak baja rahi thi. Us ka dupatta sar se dhalak kar kandhay par aa gaya tha. (Agar abhi taya yahan ajate to woh foran dupatta sar par le leti) Woh Mehwish, Sehrish ke sath sur mila rahi thi aur ladke upar sofa par baithe un par fiqray uchal rahe the.

"Hello everyone!" Woh sine par hath bandhay chalti hui un ke qareeb aa kar ruki. Sab ki nazrein us par tik gayin. Safed chehre ke ird gird kale baal aur kajal se labraiz aankhein, woh thi hi itni haseen ke har uthi nigah mein sataish ubhar aati.

"Haya kaisi ho?"

"Ao in ladkon ko harate hain."

"Baitho na."

Bohat si awazen us se takrain. Us ne kandhay uchkaye aur kaha, "Pehle main Saima tai ki kitchen mein madad karun gi." Us ne Aram ki ami ka naam liya tha, jinhon ne us ko aata dekh kar foran kitchen ka rukh kiya tha. Saima tai ne yaqeenan us ko nahi dekha tha, warna foran bulwa letein. Aram se zyada samajhdar to baqoul un ke Haya thi. Saima tai ke peeche Zahid chacha ki begum Abida bhi kitchen mein chali gayin. Ab sofa par Haya ki ami Fatima begum akeli baithi thin.

"Amaan! Main zara tai ki madad karwadun." Un ko apni taraf dekhta pa kar us ne kaha to unho ne itminan se sar hila diya. Woh mutmain si aage badh gayi. Woh rahdari se guzar kar kitchen ke darwaze ki taraf badhi. Tabhi Saima tai ki...

Tez awaaz uski samaat se takrai "Jaise main jaanti nahi na, yeh saare rang dhang kis liye hain, ek mere hi bete mile hain is ko pagal banane ke liye."

Woh be ikhtiyar do qadam peechay ho kar deewar se ja lagi. Yeh Saima tai kis ki baat kar rahi hain?

"Tab hi main kahun bhabhi, yeh Raza kyun har waqt Haya Haya karta rehta hai." Yeh Abida baji thin. Woh us ke baare mein keh rahi thin.

"Pichhli dafa jab hum Salman bhai ki taraf khane par gaye to kis tarah se sbuk si tayar phir rahi thi tab se Raza mere peechay pada hai ke Haya ka rishta maangen."

"Is ladki ko ladkon ka dil jeetne ka fun aata tha. Kitni mushkil se Daud ke dil se us ka khayal nikala tha maine aur Furqan ne. Woh to ad gaya tha ke shaadi karunga to Haya se. Magar jab Furqan ne sakhti ki ke aisi be parda aur azad khayal ladki ko apni bahu bana kar hum ne apni aakhirat kharab karni hai? Tab kahin ja kar woh mana. Aur ab yeh Farrukh ko pata nahi kya ho gaya hai. Kya karun is ladke ka, ab woh phir keel kaanton se lais ho kar aa jayegi aur uske jaate hi Farrukh zid laga kar baith jayega. Ab meri Aram bhi hai, majaal hai ghar se bahar sar par dupatta liye baghair nikle."

Saima tai bohot fakhar se keh rahi thin aur woh dhuwaan dhuwaan hotay chehre ke saath deewar se tek lagaye khadi thi. Usay laga ke usne mazeed kuch suna to us ke asaab jawab de jayenge. Badqast apne wujood ko sambhalte woh wapas muri.

Kisi baat par hanste hue Farrukh ki nigah us par pari to us ko rahdari se aata dekh kar us ki hansi ruk gayi. Woh muskuraya. Bohat munasib si shakal o surat ka tha Farrukh aur tough routine ki wajah se us ka rang mazeed sanwla ho gaya tha. Magar masla uski wajibisurat aur Haya ki be pardagi ka nahi tha. Asal baat sab jaante the to phir Raza aur Farrukh ne aisa socha bhi kaise? Woh ek sapt nigah Farrukh par daal kar sofa par Fatima Begum ke saath a baithi.

"Tumhein kya hua?"

"Kuch nahi amma," woh badqast khud ko normal kar payi. Woh mutma'in ho gayeen, to woh Saima tai ke baare mein sochne lageen. Jin ka "Haya meri jaan" kehte munh na thakta tha aur Furqan taya ki to woh badi beti thi. Magar unke dil mein aise khayalat the yeh woh gumaan bhi nahi kar sakti thi.

Aur woh phool! Woh bhi Farrukh ya Raza ne bheje the?? Magar jab pehli baar us ko phool aaye the, to Farrukh shehar se bahar tha aur Raza to Islamabad mein hi tha. Magar in mein se kisi ko uski Sabanci selection ka pata nahi tha. Shayad jab woh Zara ko phone par bata rahi thi tab khidki ke bahar kuch khadaka tha. Woh jo koi bhi tha usne khidki ke bahar se saari baat sun li thi aur usne phoolon ke sath khat likh kar rakh diya hoga magar courier par to ek din pehle ki mohar lagi hui thi. Shayad usne koi jaali mohar istemal ki hogi. Magar is tarah ke jhameleon mein Farrukh aur Raza jaise job wale masroof bande kyun parenge bhala? Uska dil keh raha tha ke phool bhejne wala koi aur hi hai. Khair, dafa karo, jo bhi ho. In dono ka dimaag to main abhi theek karti hoon. Woh tezi se uth kar ladke ladkiyon ke group ki taraf chali aayi.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now