Erm
Us ne apne makhsoos andaaz mein seene par haath baandhe hue Erm ko mukhatib kiya. Tou sab ruk kar usko dekhne lage.
"Kya?"
" Tum logon ne Seen Phopho ko shaadi ka card bheja tha Turkey?"
Kankhiyon se usne Farrukh aur Raza ke chehron ko mand padta dekha.
"Salmam Chacha ko card diya tha unhone bhijwa diya hoga aur Seen Phopho ko Abbu ne phone karke keh diya tha. Kya Sabin Phopho aayengi?"
"Aana to chahiye, qareebi rishta hai tumse na sahi, humse to hai." Usne qareebi rishte par zor dalte hue Farrukh aur Raza par ek nazar daali. Unke chehre pheeke padhe the aur dono hi soch mein gum the. Phir khane ke waqt Saima Taayi ne sabse pehle usko bulaya.
" Haya! Meri jaan! Tum to samajhdar ho, yeh Erm to bas, tumne table par khayal rakhna hai. Jaise hi koi dish khaali ho ya aadhi ho jaye to foran Zafar (cook) ko awaaz de dena. Theek?"
"Sure! Taayi mein khayal rakhungi."
Woh badqat muskurati hui serve karne lagi. Chand minute baad sab khade apni apni plateon mein khana nikaal rahe the.
"Taya Jaan aapne salad nahi liya?"
Woh Russian salad ka pyala haath mein liye Abbu aur Taya Furqan ki taraf aayi, jo apne dhun mein baatein kar rahe the. Is ke pukarne par chonke.
"Thank you beta!"
Taya Furqan ne muskurate hue salad apni plate mein nikala. Woh shalwar kameez mein malboos the aur shaal li thi, baar aab chehre par moochhein. Salman sahab unke bar'aks clean shave, dinner suit mein bohot smart lag rahe the. Dono ki sochain unke halyon jaisi thi.
"Aya aap bhi lain na."
"Salman tumne Sabin ko card post kar diya tha?"
Taya ko achanak shayad uski shakal dekh kar yaad aaya tha. Salman sahab ka chamcha se salad bharta haath zarasa rukha aur chehre par karwaahat phel gayi. Bohot aahista aahista unhone cheecha plate mein daala.
"Kar diya tha."
Unke lehje mein kaat thi jo Haya ke liye nayi thi. "Abba! Sabin phopho shaadi par aayengi?"
Woh pooche bina reh na saki.
"Kal mehndi hai. Aana hota to aaj aa chuki hoti. Tees saalon mein jo aurat sirf kuch dafa milne aayi ho, woh ab bhi na aaye to behtar hai."
Furqan taya bhi dang reh gaye. "Salman! Kya hua hai?"
"Thank you beta!"
Salman sahib ne Haya ko kaha. Is ka matlab tha ke ab tum yahan se jao. Aur woh ishaara samajh kar sar jhukate wahan se chali gayi. Bohat aahista se salad ka pyala mez par rakha aur apni aadhi bhari plate uthali magar ab kuch khane ko jee nahi chah raha tha. "Yeh abba ko kya ho gaya tha, woh phopho ke bare mein aisi baatein kyun kar rahe the?" Phir us se raha nahi gaya, woh apni plate utha kar sutoon ke saath khadi ho gayi, jiske doosri taraf abba aur taya khade the. Bazahir apni plate par nazar jhukaye kaan un dono ki baaton ki taraf the.
"Haya ke liye Laghari ne apne bete ka proposal diya hai." Salman sahib ne apne dost ka naam liya to Haya ke haath mein pakri hui plate laraz gayi.
"Yeh kya keh rahe ho?" Furqan taya shashdar reh gaye.
"Bhai! Is mein hairat ki kya baat hai? Waleed acha ladka hai. Kal mehndi par aayega to milwaoonga. Soch raha hoon Haya se pooch kar haan kar doon."
"Magar... magar Salman yeh kaise ho sakta hai?"
"Kyun nahin ho sakta bhai?"
"Tum yeh shaadi kaise kar sakte ho?"
"Baap hoon uska, kar sakta hoon. Fatima bhi raazi hai aur mujhe yaqeen hai, Haya ko koi aitraaz nahin hoga."
"Aur Jihan! Jihan ka kya hoga?"
"Kaun Jihan?" Salman sahib yak-sar anjaan ban gaye. "Tumhara bhanja! Sabin ka beta, jis se tumne Haya ka nikkah kiya tha. Tum kaise bhool gaye ho?"
"Woh ikkis saal purani baat hai aur Haya ab baees saal ki ho gayi hai. Bewakoofi ki thi maine, Seen par aitbaar karke apni bachi ka nikkah kar diya. Ikkis barson mein kabhi Sabin ne mud kar poocha ke nikkah ka kya hoga? Chhe mahine mein ek baar phone kar leti hai aur teen minute baat karke rakh deti hai. Aur aapko waqai lagta hai ke woh log rishta qaim rakhna chahte hain?
"Magar Sabin to Sikandar ki wajah se, tum to jaante ho ulte dimaag ka insaan hai. Main kaise maan loon ke apne maghroor aur bad dimaag shauhar ki wajah se nikkah ko bhool gayi. Itne baras beet gaye, usne ek baar bhi is shaadi ki baat munh se nahin nikali. Main us se kya umeed rakhoon?"
"Magar Jihan to acha ladka hai. Tum us se mile to the jab pichle saal tum Istanbul gaye the."
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomanceJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved