Part 5

1.1K 20 1
                                    

"Hellomai beauty!" koi ek dum se us ke bilkul qareeb aakar bola tha. Woh dar kar uchhli. Zara sa juice bhi kapron par gira.

Khuli khidki par ek khubsurat aurat jhuki hui thi. Makeup se bhara chehra, eye shadow se chamakti aankhen, bhadakti hui surkhi, balon ka joda aur cham cham karte kapre. Woh aurat nahi thi magar mard bhi nahi tha.

"Darro nahi sohniyo! Main tumhari dost hoon, Dolly kehte hain mujhe."

"Hato, hato jao!"

Woh ghabra gayi. Khwaja sara ke wujood se saste perfume ki khushboo uth rahi thi. Usay karahiyat si aayi.

"Acha sohniyo! Zara baat to suno."

Usne apna chehra aur jhuka ya is se pehle ke woh aage barhta, Haya ne slush ka bhara glass uske munh par ulat diya.

Thandi thaar baraf munh par giri to woh bilbila kar peeche hua. Usne phurti se sheesha upar kar liya.

"Sunoji!"

Woh muskara kar chehra saaf karte hue sheesha bajane laga. Band sheeshe ki wajah se uski awaaz kam aa rahi thi. Ab woh koi gana gaa raha tha.

Kapkapate hathon se usne ignition mein chabi ghumai, aur gaari wahan se nikal lai. Gaari bakery ke dakhli darwaze ke samne roki aur peeche mur kar dekha. Door darakhton ke paas Dolly nami khwaja sara abhi tak wahi tha.

Khara tha. Woh uske peeche nahi aaya tha. Ab woh gaa bhi nahi raha tha. Bas khamosh gehri nazron se usay dekh raha tha. Usay be ikhtiyar jhar jhari si aayi.

"Kahan reh gayi hain donon?"

Usne jhanjhla kar horn par haath rakh diya. Phir gardan mor kar dekha, woh abhi tak usko dekh raha tha.

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

Aram aur Zara ko drop kar ke woh apne kamre mein aayi. Dinner ka waqt hone wala tha. Usne kapde bhi dinner ki munasibat se pehne thay. Magar juice chilakne ki wajah se zara daagh par gaya tha. Usne jaldi se utna dupatta dho kar istri kiya. Usay reh reh kar woh khwaja sara yaad aa raha tha. Us baradri ke log aksar aakar paise maangte thay magar aisi harkat to kabhi kisi ne nahi ki. Us khwaja sara ki nigahen aur andaaz usko phir se jhar jhari aa gayi. Phir jab woh apni tayyari se mutmain ho kar bahar aayi to darwaze ke bahar paaon kisi cheez se takraya. Woh chonk gayi. Darwaze ke saath farsh par woh safed adh khule gulabon ka bukay pada tha. Saath mein ek band lifafa bhi tha. Woh donon cheezen utha kar seedhi hui. Lifafa khola jis par "Haya Salman" likha hua tha. Andar woh hi safed bey satar chookor kaghaz tha. Uske wast mein Urdu mein likha tha:

"Umeed karta hoon aap ka aaj ka dinner acha guzray ga."

Us ne lifafa palat kar dekha. Us par aur kuch nahi likha tha bas lifafe par guzishta roz ki mohar lagi thi. "Yeh kaun tha aur kyun usay phool bhej raha tha?" Woh khat aur bukay kamray mein rakh kar naye siray se maamlay se uljhti bahar aa gayi.

Taya Furqan ke ghar khoob chehal pehal thi. Sab cousins lounge mein baithe the. Ek taraf khawateen khush gupion mein masroof thin. Mard hazraat yaqeen drawing room mein the. Us ke khandan mein cousins ki be takallufi ko buri nazar se nahi dekha jata tha. Taya Furqan tamam behan bhaiyon mein bohot sakht the aur unki sakhti sirf Aram ke scarf lene aur ghar se bahar ladkon se baat karne tak thi. Aram aur baqi cousins bhi ghar ke cousins ke ilawa ladkon se baat nahi karti thin. Haya aur Aram to parhti bhi women university mein thin. Haan doosre cha aur khud Salman sahab apne bachon ki shaadiyan mix gathering mein karenge. Un ka khandan zyada bara nahi tha. Woh log teen bhai aur ek behan the. Taya Furqan sab se bare the. Daud, Farrukh, Aram aur Sami un ke bachay the. Farrukh medical kar chuka tha aur aaj kal polyclinic mein house job kar raha tha, aur Haya se teen saal bara tha aur Sami Farrukh se saal bhar chhota tha aur MBA kar ke job kar raha tha. Sab se bare Daud ki shaadi ho rahi thi.

Furqan sahab ke baad Salman the. Un ki ek hi beti Haya aur beta Roheel tha. Roheel parhai ke silsile mein America mein hota tha. Phir Zahid chacha the. Un ki bari do judwaan betiyan Mehwish aur Sehrish thin. Phir beta Raza engineer tha. Sab se chhoti beti Shah A level kar rahi thi. Is waqt Roheel ke ilawa, jo ke America mein tha aur Daud ke, jo drawing room mein tha baqi sab cousins lounge mein baithe the.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now