Part 27

954 13 9
                                    

"Assalam-o-Alaikum!" Woh bohot garmjoshi aur ehtram se mile. Chughtai ne unse bags le liye. "Aaiye! Bahar gaari intezaar kar rahi hai."

"Chughtai Brothers! Please paani pila dein. Bohot pyaas lagi hai." Haya ki tarah DJ bhi pyaas se behaal thi. Chughtai ne sir asbaat mein hilaya aur Ahmet ke saath samaan uthane laga. Phir woh dono unse aage chalte hue bahar ki taraf badh gaye.

Be had mehman nawaz qaum ke iss sapoot ne unko paani kyun nahi pilaya, yeh ma’ma woh saari zindagi nahi hal kar saki. Qawi imkan yeh tha ke Chughtai ki angrezi kamzor thi, jis ke baais woh unka mad’ua samajh nahi paaya tha. Bahar nikalne se qabl unhone apni raqam Turkish Lira aur Euros mein tabdeel kar wali thi. Ek Lira Pakistani pachis rupay ka tha aur ek Euro ek sau pachis rupay ka...

"Fifty Five... One Twenty Five... Fifty Five... One Twenty Five..." DJ zair lab currency ki maliyat ka hisaab lagati aur unki qeemat yaad karti bahar aayi thi.

Airport ka darwaza khulte hi yakh basta, hadiyon mein ghusti, khoon munjamid karti lehr ne unka istaqbaal kiya ke chand lamho mein Haya ke hont neele parhne lage. Yahan Murree aur Ayubia ki sard tareen hawa se bhi kai guna sard hawa chal rahi thi. Haya ne be ikhtiyar bazu seene par lapait liye. Woh thatharne lagi thi.

Unka samaan khaasa wazni aur be tahasha tha. Dono ladke surmayi rang ki Hiace mein bags rakhte rakhte haanp gaye the.

"Aap waqai sirf paanch maah ke liye aayi hain?" Chughtai ne saadgi se poocha, to Ahmet ne mawzoo badal diya. "Hamari rawayat hai ke jo bhi Ataturk Airport se Istanbul aata hai, hum usay sab se pehle Sultan Abu Ayyub Ansari ke mazaar par le kar jaate hain. Is se us ka Turkey mein iqama acha guzarta hai." Ahmet keh kar bag gaadi mein rakhne laga to DJ ne sargoshi ki.

"Magar Haya yeh to tum parasti aur shirk..."

Usne zor se kehni maar kar DJ ko khamosh karwaya, phir andar baithte hue dabi awaaz mein kaha.

"Mizbano se is sardi mein behes ki to woh tumhein yahin chor kar chale jayenge pagal! Subha tak munjamid ho kar pari ho gi aur ainda Turkey aanay walay sab se pehle tumhare munjamid mujasme ki ziarat kya karenge."

Ahmet ko tooti phooti angrezi aati thi, so woh saara rasta gardo paish ke mutaliq batata raha. Haya ko is safar nama se dilchaspi na thi so rukh pheray khidki ke bahar dekhti gayi.

Woh jo amreeki filmon wali buland o balatar imaaraton ki aas lagaaye baithi thi, qadre mayoos hui, kyunke Istanbul shuru mein to yun laga jaise Islamabad ho magar ahista ahista ghaur karne par maloom hua ke nahi... woh waqai Europe tha. Dukaanein ke chamakte sheeshe, saaf safaid sarrakein, maghribi libas mein phirte log, dukaanein ki chaton aur darakhton ke upar pari baraf aur sarrak kinare bichi baraf ki tehain, goya safaid ghaas ho. Ajeeb baat yeh thi ke is kuhr aur sardi mein bhi Turk larkiyan baday maze se mini skirts mein malboos idhar udhar ghoom rahi thin.

"Khuda kare aaj raat baraf na pade." Chughtai ne morr kaat'tay hue aik pur tashweesh nigah bahar phailay barf zar par daali.

"Haan! Khuda kare raat waqai baraf na pade." Ahmet ne taa'id ki.

Haya aur DJ ne aik doosre ko dekha aur phir DJ aahista se Urdu mein badbadaai, "Aivain na pade... khud to baraf bari dekh dekh kar ukta chuke hain, humein to dekhne dein. Allah kare, raat baraf zarur pade, Ameen thumma Ameen." Aur Haya ne dil mein iski taa'id ki.

Windscreen ke us paar European shehar ka ikhtitaam dikhai de raha tha. Aagay neela samandar beh raha tha aur uske doosri taraf Istanbul ka Asian hissa abad tha. Dono hissoon ko aik azeem ush shaan pull ne jor rakha tha. Do khitton ka mulaqaat, do tahzibon ka sangam...

Marmara ke samandar ka jo hissa Istanbul ke darmiyan se guzarta hai, usay Bosphorus ka samandar kaha jata hai. Is pull ka naam bhi Bosphorus Bridge hai." Ahmet batane laga.

"Magar hum to mazaar par ja rahe the jo ke European hissa mein hi hai, phir pull uboor karne ka maqsad?" Qareeb aatay pull ko dekh kar Haya ne hairat se poocha, kyunki pull ke us taraf Anatolian shehar tha.

"Hamne pull uboor nahi karna, uske qareeb se kisi ko uthana hai. Hum dono yahan se chalay jayenge, aagay mazaar tak aap ko usi ne le kar jana hai."

Chughtai ne gaari ek taraf rok di. Ahmet belock khol kar bahar nikal raha tha.

Haya ne is khubsurat, oonchay pull ko dekha aur socha ke kitne baras wo is pull par se guzra ho ga. Kitni hi dafa usne Bosphorus ke neelay pani par chaand ki pariyon ka raqs dekha ho ga. Jab wo us se milegi to kya uski aankhon mein Istanbul ki safed ghaas ki baraf jami ho gi ya Marmara ke paniyon ka josh ho ga? Aur kya wo kabhi us se mil payegi? Is khayal par uska dil jaise Marmara ke samandar mein doob kar kisi lati piti kashti ki tarah hole se ubhar utha.

Khirki ke us paar se ek daraaz qad ladki car ki taraf chali aa rahi thi. Chehre ke gird scarf lapete, blue jeans ke ooper ghutnon tak aata safed coat pehne, wo coat ki jeebon mein haath daale sar jhukaye chalti aa rahi thi. Uski rangat Istanbul ke sooraj ki sunahri aur aankhein nojhal badalon ki tarah surmai thi.

Wo ladki un dono Turk ladkon ke paas pohnchi aur muskurate hue Chughtai ke haath se chabi li. Ahmet peeche khadi HiAce ki taraf ishaara kar ke kuch kehne laga. Wo ladki apni narm muskurahat ke saath sar hilaati sunti gayi. Phir wo dono ladke chale gaye aur wo ladki car ki taraf aayi. Darwaza khola aur driving seat par baith kar gardan peeche ghumai.

"Salamun Alaikum... Aur Turkey mein khush aamdeed." Uski English shishta aur andaaz be had narm tha. Haya ne mehsoos kiya ke Turk "As-salam Alaikum" ke bajaye "Salamun Alaikum" kehte the.

"Wa Alaikum Salam." Haya ne uska barhawa haath thama to usay laga, usne itna narm haath kabhi nahi chhua. Wo haath nahi goya tawaat makhan ka tukda tha.

"Mera naam Hale Nur hai, mera talluq Rumi Forum se hai. Main Sabanci se Material Science aur Engineering mein MS kar rahi hoon. Airport par aapko lene ke liye bhi mujhe hi aana tha, magar main kahin phans gayi thi, isliye nahi aa saki, bohat maazrat." Usne car wapas mod di thi.

"Haya Suleman..."

"Khadeeja Rana..."

Un ke ta'aruf ko Hale Nur ne apni makhsoos muskurahat ke saath suna aur sar asbaat mein hilaya. Wo waqai Noor ka hala thi, dhuli hui chaandni.

"Ab hum Ansari Mohalla ja rahe hain." Wo steering ghumate hue boli.

"Mohalla? Urdu wala Mohalla, Haya!" DJ ne dheere se sarghoshi ki.

"Shaayad... Tab hi to kehte hain ke Urdu Turk se nikli hai. Tumne metric mein Urdu zaban ke mazmoon mein is faqre ka ratta nahi lagaya tha kya ke, 'lafz Urdu Turk zaban se nikla hai jiske maani...'"

"Lashkar ke hain!" DJ ne chehk kar faqar mukammal kiya.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now