Part 18

888 22 3
                                    

Phone ko jhakra, uska haath paseene mein bheeg chuka tha. Yeh shakhs itni ajeeb baatein kyun kar raha tha?

"Aap... click kar dein." Mushkil se woh keh paayi. Woh shakhs jhuka, shayad button dabane, aur phir wapas peechay ho kar baith gaya.

"Kar diya!"

"Oh, thank you Major Ahmed!" Uska gala randhne laga tha.

"Ek baat poochun?"

"Ji?"

"Kya yeh video jaali thi?"

"Nahi, thi to asli."

"To aap itni dar kyun rahi thin?"

"Zahir hai yeh hamari family video thi aur shaadiyon par dance ki video hum nahi banvate."

"Kyun?" Woh pay dar pay sawal kar raha tha.

"Kya matlab kyun? Shaadiyon ki videos har jagah circulate hoti hain, kya accha lagta hai hamare dance ki video paraye log dekhein?"

"Magar paraye log live to dekh sakte hain, ghaliban is video mein mujhe waiters, movie maker aur DJ nazar aa rahe thay, woh bhi to paraye mard hain na? Main samajh nahi paaya ke agar aap is tarah raqs karne ko sahi samajhti hain to video ke baahir nikalne par pareshaan kyun thin."

"Main aap ke saamne jawab deh nahi hoon," woh drushti se boli.

"Theek kaha aap ne, khair! Ek aur baat poochun?"

"Poochiye..." Ab ke us ki awaaz mein ajnabiyat dar aayi thi.

"Kabhi koi aap ke liye jannat ke patte tod kar laya hai?"

"Ham duniya walon ne jannatein kahan dekhi hain Major Ahmed!" Us ke chehre par talkhi raqam thi.

"Tab hi to ham duniya wale jaante hi nahi ke jannat ke patte kaise dikhte hain. Kabhi koi aap ko laade to unhein thaam lijiye ga. Woh aap ko ruswa nahi hone denge."

Us ke chehre ki talkhi sakoot mein dhalti gayi. Kaun tha us paar?

"Ji... Ji." Woh chonk kar sambhali. "Main chalti hoon." Woh receiver kaan se...

"Aap sun rahi hain?"

"Hataane hi lagi thi ke woh keh utha."

"Ek minute, ek aakhri sawal karna hai mujhe."

Woh uthte uthte wapas baith gayi, "Ji poochiye."

"Aap mujh se shaadi karengi?"

Usay zor ka dhakka laga. Woh gung si phatti phatti nigahon se dhundhli deewar ko dekhti rahi.

"Batayiye Miss Haya."

Us ke lab bheench gaye. Hairat aur shock pe ghussa ghalib aagaya.

"Main Haya nahi, Mrs. Haya!" Ek ek lafz chaba chaba kar bolti woh purse thaam kar uthi. Phone ka receiver abhi tak pakad rakha tha.

"Kya matlab..." Woh waazeh chonka tha.

"Afsos ke mere baare mein itni maloomat rakhne ke bawajood aap mere bachpan mein hone wale nikah se be-khabar hain. Woh nikah jo mere cousin Jihan Sikandar se mere bachpan mein hi padha diya gaya tha. Main shaadi shuda hoon aur mera shauhar Turkey mein rehta hai."

"Oh, aap ki woh rishtedar family jo kabhi Pakistan aayi hi nahi? Janta hoon, aap ki phuphi ka khandan jo zillat aur sharmindagi ke mare ab shayad kabhi idhar ka rukh nahi karega. Aakhir kar unka anjaam bhi to bohot sharmnaak tha na."

"Unka intezar kar rahi hain aap? Arey bachpan ka nikah to court ki ek hi peshi mein khatam ho jata hai."

"Shut up, just shut up, Major Ahmed!" Woh chillai. "Aap ki himmat bhi kaise hui yeh baat karne ki? Arrey bhaad mein jayein aap aur aap ki woh video, aap bhale usay TV par chalwa dein, mujhe parwah nahi. Mera ek kaam karne ki itni badi qeemat vasoolna chahte hain aap. Raha Jihan Sikandar to woh mera shauhar hai aur mujhe bohot mohabbat hai us se. Us ke ilawa meri zindagi mein koi nahi aa sakta, samjhe aap?"

Receiver wapas patakhne se qabl usne sogwariat bhara qehqaha suna tha. Pair piech kar woh darwaze ki janib badhi. Usi lamhe darwaza khol kar ek sipahi andar aaya. Jo usay andar bitha kar gaya tha? Usay foran ishaara kar diya gaya tha. Mulaqat khatam ho chuki thi aur Haya ke liye woh be-had talakh saabit hui thi.

"Gaari aap ka intezar kar rahi hai, ma'am! Aaiye." Woh rasta chhod kar ek taraf ho gaya. Haya ne gardan mor kar dekha.

Dhund ke us paar woh shakhs mez par jhuka kuch likh raha tha. Usay laga usne uski mez par kisi surkh shay ki jhalak dekhi hai. Shayad surkh gulaabon ke guldaste ki ya shayad yeh uska wahm tha.

Jis lamhe woh us purani car ki pichhli seat par baithi to khule darwaze se us sipahi ne usay ek surkh gulaabon ka bouquet thamaya. Go ke us ke sath koi khat na tha aur woh phool bhi un safed phoolon se qat'an mukhtalif the, phir bhi usay yaqeen ho gaya ke woh gumnaam khat bhejne wala bhi Major Ahmed hi tha. Aur woh usay bohot pehle se jaanta tha.

"Yeh ja kar apne Major Ahmed ke mooh par de maaro." Usne bouquet sipahi ke baazon mein phenka aur darwaza khatak se band kiya. Gaari zan se aage badh gayi.

○○○

"Diya... Diya..."

Shaam mein Aram bhagti hui aayi. Khushi us ke ang ang se phoot rahi thi.

"Woh video us website se remove ho gayi hai!" Us ne farat-e-jazbaat se taqreeban bed crown se tek laga kar baithi Haya ko jhanjhode hi diya tha.

"Magar kaise hua yeh sab?"

"Woh website wale ko khauf-e-Khuda aa gaya hoga, mujhe kya pata," woh la parwahi se anjaan ban gayi.

"Hoon shayad  magar acha hi hua. Aur haan tumhari Turkey ki flight kab hai?"

"Pata nahi pehle passport to mile, phir hi visa milega..." Us ko Aram ki maujoodgi se kofat hone lagi thi. Kuch us ke taasuraat se wazeh ho raha tha is liye Aram jald hi uth kar chali gayi. Woh phir se sochon mein gum gayi.

Major Ahmed... Us ka aadha jhalsa chehra... samne na aana... parde ke peeche se baat karna... aur us ki woh ajeeb falsafiyana baatein... Jannat ka tazkira... baaz purs karna... aur phir mujh se shaadi ka sawal... Oh

Mere Khudaya...! kaisa ajeeb aadmi tha woh... aur... aur us ki ek baat jis ke baare mein woh us waqt shadeed taish mein hone ke baais sawal nahi kar saki thi.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now