Woh tez tez qadam uthatay aagay barh rahi thi, jab usne Doli ko yeh kehte suna, magar nahi, woh Doli ki awaaz nahi thi, woh kisi mard ki awaaz thi. Bharpoor, khoobsurat aur udaas, aisi awaaz jo usne pehle kabhi nahi suni thi. Woh Major Ahmed ki awaaz se zyada khoobsurat thi aur us mein Jihan Sikander ki ajnabi awaaz jaisi be rukh bhi na thi.
Uske qadam zanjeer ho gaye. Tezi se usne gardan mori.
Door andhere mein chabutra khaali tha. Wahan door door tak kisi ka naam-o-nishan bhi nahi tha.
Zindagi mein pehli baar uske andar Doli se dobarah milne ki khwahish ne janam liya tha. Usay jaan’na tha ke Doli kaun hai,
kya hai, kyun hai.
Us raat woh mushkil se do, teen ghante so saki thi. Phir fajr ki azaan se bhi pehle tayar ho kar woh Diplomatic Enclave pohanch gayi ke Khadija ki baar baar call aa rahi thi.
"Shukar hai aap aa gayi." Khadija usay bahar hi mil gayi. Uski ainak ke peechay chhupi aankhein fikar mand lag rahi thi. Haya saadi shalwar aur siyaah jacket mein malboos thi. Lambe khulay baal kanon ke peeche udtay hue woh Khadija tak aayi.
"Ab kidhar jana hai?"
"Andar... yeh shuttle le lete hain. Yeh Turkish Embassy tak pohancha de gi."
Jab hi ek umar raseeda sahab aur khatoon tezi se shuttle ki taraf barhte dikhayi diye.
"Meri chhatti hiss keh rahi hai ke yeh uncle aunty bhi Turkish Embassy ja rahe hain. Haya! Jaldi karein, humein pehle pandrah mein se hona hai."
Woh Haya ka haath pakad kar jaldi se aage barhi, phir khayal aane par pooch liya, "Andar ID card se entry hogi. Aap ID card aur passport layi hain na?"
Aur Haya ka dimaag bhak se ur gaya. Woh raat itni disturb thi ke bhool hi gayi ke...
"Passport... passport to mujhe aaj milna tha. Woh to abhi bana hi nahi."
"Haya!" Khadija munh kholay harbada kar usay dekh rahi thi.
"Nahi... I am sorry... main... aur Khadija... I am really sorry, mere paas passport nahi hai." Uska sar ghoomne laga tha. Woh itni badi ghalti kaise kar sakti thi?
"Aap... aap ke paas passport nahi hai to aap khud kyun aayi hain, haan? Aap ki wajah se mera scholarship bhi reh jayega, itna ehsaas hai aap ko?"
Woh phat pari thi aur Haya, jo itni maghroor aur khud pasand ladki thi, jis ki shakhsiyat usay libas tak har cheez par fakhiyat hoti thi aur jis ki misaalen us ki class fellows diya karti thi, woh ek dam ro pari.
"I am sorry, Khadija... mere kuch problems thay. Meri life... meri life bohot disturb ho gayi hai, main..." Woh jaldi se beikhtiyar umad aane wale aansu saaf karne lagi.
"It's okay, Khadija! I am sorry, magar aap jaayen, main kal try kar lungi."
Khadija kuch lamhe khamosh khadi rahi, phir aahista se boli.
"Layein apna ID card mujhe dein."
"Ji?"
"Apna ID card mujhe dein aur aap wapas ja kar passport office se passport utha lain. Umeed hai ID card se entry ho jaayegi aur hamari baari aane tak aap wapas pohanch jaayengi."
"Magar... magar passport office to Pindi mein hai aur mujhe to jatay hue bhi ek ghanta lag jaayega aur passport office to khulta bhi 9 baje hai, jab ke embassy 7 baje khul jaayegi." Usne fikarmandi se kalayi par bandhi hui ghadi ko dekhte hue kaha.
"Yeh namumkin hai. Main kabhi bhi itni jaldi wapas nahi pohanch paungi ke pehle pandrah mein se ho sakoon."
"Haya! Main ne zindagi mein ek baat seekhi hai ke insaan ko koi cheez nahi hara sakti jab tak woh khud na haar maan le. Aap abhi se haar maan lena chahti hain? Layein, ID card dein, mujhe aunty uncle se pehle pohanchna hai." Woh uske haath se card jhapak kar shuttle ki taraf dorhti chali gayi.
Us ne aankhon ke kinare saaf karte hue ghadi ko dekha. Kya uska visa lag jayega? Ya Doli ki dua poori ho jayegi aur woh kabhi Turkey nahi ja sakegi? Use kabhi Jihan Sikander nahi mil sakega?
Magar Khadija ne kaha tha, insaan ko koi cheez nahi hara sakti jab tak ke khud haar maan na le. Aur usne socha, woh itni aasani se haar nahi maane gi.
Be dardi se aankhein ragad kar woh gaadi ki taraf lapki thi.
Bohat rash drive karke woh Pindi aayi thi. Taqreeban ek ghanta usko band passport office ke bahar baithna pada, khuda khuda karke nau baje office khula to woh andar bhagi. Shayad uski himmat dikhane ka sila tha. Dus minute baad woh apna passport liye office ki bairooni seedhiyan utar rahi thi. Tab hi kisi ghair shinaasa number se use call aayi. Usne kisi khayal ke tehat phone utha liya.
"Hello?"
"Hello Haya, main Khadija bol rahi hoon. Mera phone to bahar bhai ke paas hai, kyunki embassy ke andar phone ki permission nahi hai. Embassy ke guard se phone le kar sau minnatain karke call kar rahi hoon." Woh ek hi saans mein tez tez bol gayi. "Aap kidhar hain?"
"Bas mujhe passport mil gaya hai, main aa rahi hoon. Meri entry hui?" Usne gaadi mein baith kar chaabi ignition mein ghumai.
"Shukar hai main ne tez bhag kar un uncle aunty ko cross kar liya. Main chaudah number par thi aur aapki bhi entry kara di hai, aap ka pandarhawan number hai."
"Uff shukar!"
"Lekin unhon ne un uncle aunty ko rok rakha hai ke agar aap na aayein to unka interview ho jayega aur woh aunty musalsal tasbeeh parh rahi hain. Haya! Aap jaldi aa jayein."
"Main aa rahi hoon, bas abhi office time hai na to traffic bohot heavy hai."
"Bas jaldi se aa jayein, yeh baar baar pooch rahe hain ke meri doosri saathi kidhar hain."
"Bas thodi der aur." Usne accelerator par dabao barha diya.
Traffic hasb-e-mamool phansa hua tha. Be panah rush, horns ka shor, band signal, phansi hui gaadiyan. Woh baar baar fikar mand se kalayi par bandhi ghadi dekhti aur phir slow se chalti traffic ko. Mushkil se Murree Road se nikal payi to sukoon ka saans liya.
Mamool ki checking ke baad woh gyarah baje tak us open air lounge mein pohanch payi jahan Khadija thi. Turk rugs, makhsoos Turkish blue eye (evil eye) aur Turkey ke naqshon se woh lounge sajaya gaya tha.
Khadija ek sofa par muntazir, pareshan si baithi thi. Use dekhte hi uth khadi hui.
"Shukar hai aap aa gayi Haya! Unhon ne sab ke interview rok rakhe hain. Pehle hamara hoga."
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomantiekJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved