Part 28

542 18 2
                                    

Eyup Sultan Jamia ke bairuni bazaar ka naam hai Ansari Mohalla. Be had rush, bohat se log aur har so udhte, chakte kabootar, wo teenon logon ke darmiyan mushkil se rasta banate hue masjid ke ehate tak pohnchi thi. Namaz se farigh ho kar Haya ne dekha, wahan Jamia Masjid ka naam **"Eyup Sultan Cammi"** likha tha. Usne socha ke **Jamia mein** ki jagah **C** likha hai, jo ke ghalat lag raha tha.

Hamari zaban mein **C** ko Arabi ke Jeem ki awaaz se parha jata hai. Ansari Mohalla ke rush se guzarte hue iski hairat par Haya ne bataya. Wo muskurai hui baray aitmad se apnay safed coat ki jeebon mein haath daalay chal rahi thi. Uski baat par Haya be ikhtiyar chonki.

"Hairan kyun ho?" Haya ne ruk kar shopper se apne jootay nikalte hue usay dekha. Wahan masjid mein dakhle ke waqt jootay bahar rakhne ke bajaye shopper mein rakhne aur sath shopper hamesha uthaye rakhne ka rivaaj tha.

"Yani agar kisi ka naam Jihan ho to wo Turk hjon mein ise kaise likhay ga?" Bina irada uske labon se nikla. Phir foran garbara kar DJ ko dekha. Wo zara faaslay par kabootron ki tasveerain kheench rahi thi. Usne nahi suna tha. Haya dustbin mein shopper phenkar seedhi hui aur muskara kar mujhe kar ke bataya **(Cihan)**.

"Oh!" Usne khafeef sa sar jhatka. Tab hi wo usay Facebook par nahi mila tha. Wo isay **jihan** likh kar dhoondti rahi, magar wo to apnay naam ko **Cihan** likhta ho ga.

Gali saaf suthri aur kashada thi. Dono taraf mein dukanon ke darwazay khulay thay. Aagay kursiyan mazein bichi thi, aur idhar udhar bohat se stall lagay thay. Sarak ke kinaaron par khulay aam kutay tehal rahay thay, magar wo bhonktay nahi thay.

Haya ko bhook lag rahi thi aur wo ab is safar name se bore honay lagi thi. Mushkil se wo teenon is rush bharay muhallay se nikalin.

Ek exchange students ko unka pehla khana ek Turk mezban khandan diya karta hai. Aur abhi hum isi mezban khandan ke ghar ja rahay hain.

Jab wo car mein Bosphorus pul par se guzar rahi thi to Hale ne bataya. Khana ka sun kar us par chayi bezariyat zara kam hui.

Mezban khandan ka ghar Istanbul ke ek posh ilaqay mein waqia tha. Kashada sarak, khubsurat banglon ki qataar, aur banglon ke samnay sabzay pe jami baraf.

Unkay scholarship coordinator ne chand baatein inhein zehan nasheen karwadi thi:

Turkey mein jootay ghar se bahar utarne hain... ghass pe nahi chalna... aur mulaqat ke waqt Turk khandan ke baray ka haath choomna hai.

Is ki zaroorat nahi thi. Is takalluf ko rehne do. Un dono ne ghar ke dakhli darwazay ke bahar bichay huay mat par jootay utaaray to andar se aati woh mushfiq aur mo'ammar khatoon pyar bhari khafgi se boli thi. Pehlay din koi asool nahi hotay, Salam Alaikum aur Turkey mein khush aamdeed.

Aap ke asoolon ki paasdari mein hamaray liye fakhar hai. Haya ne muskuratay huay unka haath thaama aur sar jhuka kar unke haath ki pusht ko labon se lagaya.

Mo'ammar khatoon, Mrs. Abdullah ka chehra khushi se damak utha. "Andar aajao," woh rasta dene ke liye ek taraf hatin. Unki surkh baalon wali beti aagay barhi aur carpet shoes Haya aur DJ ke qadmon mein rakhe. Woh reshmi kapray se banay coat shoes ki shakal ke jootay thay. Dono ne jhukh kar woh jootay pehnay aur andar dakhil huin. Is Turk ghar ka farsh lakri ka bana tha. Living room ke farsh pe bohat khubsurat qaleen biche thay. Jab wo bathroom mein haath dhone gayi to dekha, wahan alag totni waghera nahi thi. Balke ek taraf qataar mein nal lagay thay. Albata, bathroom ke farsh par bhi rugs aur couch bichay thay, hairat angez!

Woh wapas aayi to dining hall mein khana lagaya ja raha tha. DJ jhukh kar pyar se Mrs. Abdullah ki nawasi Urwah se kuch keh rahi thi. Woh teen khawateen par mushtamil chhota sa kunba tha aur chunanchay woh dono larkiyan thi, so Hale ne aise Turk khandan ka chunaav kiya tha, jismein koi mard na ho. Usi pal Mrs. Abdullah soup ka bara sa pyala uthaye aayin. Hale mustaidi se unki help karwa rahi thi.

" Tum kya keh rahi thi, tumhara koi rishtedar bhi hai idhar?" Unhon ne soup ka pyala mez par rakha. Haya ne aik nazar us malghoobay ko dekha.

"Ji... meri phuppo hain idhar," woh soup ko dazada nigahon se dekhte hue boli.

"Kidhar rehti hain?"

"Idhar!" Usne purse se muda toda kagaz nikal kar Hale ko thamaya. Hale ne aik nazar us kagaz ko dekha aur phir isbat mein sar hila diya.

"Kal mein milwa doon gi tumhein unse, khana shuru karo." Usne kagaz wapas Haya ki taraf barha diya.

"DJ! Hum waqai Turkey mein bhookhon marain ge. Is malghoobay ki shakal dekho, mujhe to phir se matli ho rahi hai." Haya jabran muskurate hue holay se Urdu mein boli. Mrs. Abdullah ne nasamjhi se usay dekha.

"Yeh keh rahi hai ke in khawateen ka khuloos usay sharminda kar raha hai." DJ ne jaldi se tarjuma karte hue mez ke neeche se uska pair zor se kuchla.

"Oh, shukriya." Mrs. Abdullah muskara kar khana pesh karne lagein.

Soup dar asal masoor ki daal ka shorba tha aur Daal jaise Turkish mein usay "chorba" kehte thay. Woh zaiqay mein shakal se barh kar bad maza tha. Chand lamhon baad hi dono Pakistani exchange students ki bardasht jawab dene lagi.

"Haya, mujhe ulti aanay wali hai."

" Aur main marne ke qareeb hoon."

Woh badqut chehron par muskurahat sajaye chamcha bhar rahi thein. Turkish khawateen bohot marghoobiat se soup pee rahi thein.

Chorba khatam hua to khana agaya. Woh is se bhi barh kar bad maza tha. Ek chawalon ka pulao tha, pulao shakal mein uble chawalon se mukhtalif na tha. Saath chane ka salan aur murghi ki gravy thi jo ke Manchurian ki tarah dikhti thi.

Woh dedh din ki bhooki thein aur upar se yeh bad maza khana mazeed haalat kharab kar raha tha. Wohin Turkish khawateen hi kha rahi thein. Pulao ka pyala bhi khatam ho gaya tha aur hum Pakistani mezbaanon ke baraks woh isay dobara barhne ke liye dodi nahi thein. Wajah un ke khuloos ki kami na thi, balkay shayad yahi un ka tareeqa tha ke pyala ek hi dafa bhar kar rakha jata tha.

"Khadeeja, tumhari dost mujhe kuch pareshaan si lag rahi hai, khairiyat?" Mrs. Abdullah ne pooch hi liya.

DJ ne gar bara kar usay dekha. Sab khane se haath rok kar usay dekhne lage the.

☆☆☆
"Lagta hai aap log parh kar hi thak jatay ho... comment karne ki himmat hi nahi hoti..."

"Theek keh rahi hoon na, girls?"

Haya ne mez talay aahista se apna paon DJ ke paon pe rakha.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now