part - 30

812 35 12
                                    

Hey guys .. moving on with my story. .

Taxi driver reached to abhi ..
Abhi sits in the car and reached where his friend was ..

Gunny ne kal se na to  kuch khaya tha peeya tha .. khana peena to dur ki baat hai usne to kal se ek shabd bhi nai bola tha.. jaise vo is duniya mein hokar bhi na ho ..

Pehle ki baat kuch aur thi tab vidya use chodh kar gayi thi .. udas, mayus, vo tab bhi tha lekin us waqt uske pass ek jeene ki vajah thi. . Use vidya ke katilon ka pta lagana  tha, unko saza deni thi. . Vidya jis maksad se kma mein ayi thi, vansh ke katilon ka pta lagane, us maksad ko bhi to usko anzam tak pahunchana tha. . Lekin vidya aur vansh ke katil to ek hi insan tha aur use gunny ne khudh apne hathon saza di thi. .

Lekin ab. . Ab uske pass kya hai. . Jo ek as jo vishvas uske mann mein jaga  tha vidya ke zinda hone ka vo ab nai hai. . Vidya jisse usne bepanah pyaar kia tha, jiske pyaar ki vajah se usne itni badi jung jeeti thi, jis jung mein uske jinda hone ki khabar mili thi, jisse gunny sab kuch bhula kar dhundne nikala tha aj use pta chalta hai ki vo 2 mahine Pehle hi mari gai thi. . Vo jinda hokar bhi jinda nai hai. . Vo khushi, vidya se milne ki tadap vo sab usse cheenli gai. .

Gunny zinda laash bankar reh gaya tha.. na to us mein ab jeene ki umang hai na koi tarang. .
Use zindagi ne itni badi saza di hai. .

Abhimanyu jab vahan pahunchta jahan par gunny hota hai to vo hairan reh jata hai unhe dekh kar. .

Gunny kya ye vahi captain gunraj Singh randhawa hai. . Indian army ke one of the best soldier, best officer jo kabhi kisi se nahi darta tha.. vo aj aise halat mein hai. .

Par Abhimanyu samajh sakta hai ki is waqt us par kya beet rahi hogi..
Vo vahan jate hai ..

Gunny ke kandhe par hath rakhta hai .  Par gunny koi response nai deta. . Jaise use kuch pta hi nai hai ki uske as pass kya ho raha hai .. kaun hai kya kar rahe hai .. He doesn't know anything. .

Abhimanyu called him by his name but there was no reaction. .

Abhimanyu use samjhane ki koshish karte hai ..

Abhimanyu : ye kya hal bna rakha hai gunny apne .. hum jante hai ki ap par kya beet rahi hai .. hum samjh sakte hai  .. hum mehsus kar sakte hai gunny .. itna asaan nai in sab se bahar ana hai ..

Apne kisi kareebi ko khona kya hota hai hum jante hai .. lekin apko apne ap ko sambhalna hoga gunny .. apne liye na  sahi hamare liye .. apne maa baap ke liye apne us chote bhai ke liye jo apko barson baad mila hai ..

Aur hum Sab ke liye bhi na sahi , us insan ke liye jisse ap bhut pyaar karte the ya karte hai .. jiske yaad mein jiske jaane ke ghum mein ap is halat mein hai .. vo jahan bhi hogi gunny .. vidya jahan bhi hogi apko is halat mein dekh kar bhut dukhi hogi. .

Vo apse behadh pyaar karti thi apko hamesha muskurate huye dekhna chahti thi gunny .. lekin muskurana to dur ki baat ap to kuch bol bhi nai rahe hai ..

Hamain afsos hai apke loss ka gunny .. hum jante unki kami koi bhi puri nai kar sakta .. but life has to move on . 
Zindagi age badhne ka naam hai gunny ..
Please vidya ke liye ..

Itna sabh kehne ke baad bhi gunny kuch bhi react nai krta ..

Abhimanyu ko kuch samajh nai ata ki vo gunny ko is shock se kaise bahar lekar aye .. gunny ko isse bahar nikalna hoga varna unki tabiyat par asar hoga. . Inke dil aur dimaag par bhi .. kuch to karna hi hoga...
 
Suddenly he remembers naina .. jab vo raj ke Jane ke baad aisi halat mein thi tab usne jo kia tha vo vaisa hi krta hai ..

Abhimanyu gunny ke pass ata hai ..
You know wat gunny ab tak hum vidya ki bare mein kuch nai keh rahe the because I respect her ..

But she doesn't deserve it. .

Vidya kaise ladki thi jisne ap jaise bahadur sipahi ko kamzor bna dia .. vo ek matalabi ladki thi jise sirf aur sirf apni padi thi .. vansh ke alava usne kisi se pyar kia hi nai tha .. usne sirf aur sirf apka istemal kia tha..

Har time vansh vansh vansh karti rehti thi .. ek bhut hi makkar ladki thi , ghamandi ladki ..

Abhimanyu closed his eyes and saw above as if he was asking sorry for being this rude towards you vidya .. I'm sorry cadet vidya but i have to say all these words  for the sake of gunny ..

Gunny who was sitting quite now reacts .. vo sapne mein bhi vidya ke bare mein aisa nai soch sakta tha to ye Abhimanyu to uske samne hi uski vidya ke bare mein bole ja rahe the. .

Vo Abhimanyu ki taraf gusse mein dekhne lagta hai ..

Abhimanyu kuch na kuch bol kar unhe aur poke karne ki koshish karte hai as he knw he is reacting .. 

Finally gunny reacts fully ..

Gunny : ap hote kaun hai vidya ke bare mein kuch bhi bone Vale .. kaun hai ap .. apko koi haq nai pahunchta meri  vidya ke bare mein kuch bhi bolne ka .. samajhe ap ..
He said all these words in anger. . His eyes were red ..

Abhimanyu who was standing saw him reacting like this was nt shocked but he was happy. . At least he said something. .

Abhimanyu : thek hai hum kuch nai bole gaye. . Lekin apko samjhna hoga ki jis vidya ke liye ap kuch sun nai sakte vo vidya ab hamare beech nai rahi gunny ..

Gunny ye sunkar Abhimanyu ko dekhne lagta hai .. uski ankhon mein ab anso the dard tha apni vidya ke liye ..

Abhimanyu saw him and hold him .. gunny immediately hugged him and starts crying. .

He was crying very badly. . He started screaming her name loudly  vidyaaaaaaa ....

He started crying her name ..
Nahi vidya tum mujhe chodh kar nai ja sakti. . Nai ja sakti .. Please vapis aa jao vidya .. mujhe itni badi saza mat do .. 

Abhimanyu also didn't stopped him. . Vo janta hai jitna gunny abhi ro lega utna unke liye acha hoga. . Unka sara dard bahar aa jayega ..

Gunny who was now somewat stable abhi decided to take him away from here. .

So Abhimanyu thanking taxi driver and his wife for taking care of him ..
And they both moved out ..

Abhimanyu and gunny flied back to ambala. . I know there is no airport in ambala. . They fly back to Delhi and after that they took taxi from there to reach kma ..

Abhimanyu : gunny hum jante hai apko in sabh se bahar ane mein waqt lagega. . Apko jitna time lena hai lijiye lekin ek baat yaad rakhna hum apke sath hai hamesha .. aur ap ek army officer bhi hai. .

Ek army officer  ko apni personal feelings ko side par rakhna padhta hai apne desh ke liye ..

Gunny just nodded his head into yes ..

But he was in stress, depression and emotionally weak. . He needs some time to get out of this ..

Abhimanyu : bc ko in sabh ke baare mein pta hai gunny aur ab shayad mgg aur major sharma ko bhi pta chal gaya Ho ..

Gunny looked at him ..

Abhimanyu : vo  general malhotra ne bc ko sabh bta dia tha as he is a principal  of kma ..

Gunny : okk ..

To be continued. ...

Please guys give me your suggestions or comments.... 

KISMAT ... Kabhi Bhi Badal Sakte Hai...Where stories live. Discover now