part -33

786 37 22
                                    

Hey guys .. I'm happy that you guys are enjoying my story and even now you guys are giving me suggestions too .. that's a best feeling when you find someone who help you in ur story line ..

Moving on with my story. .

After lunch , brigadier chandok calls everyone for a meeting. .

Everyone gathered in the hall ..

Cadets mein halchal thi ki ab bc kya announce karne vale  hai ..

Itne mein major general gaur bhi pahunch jate hai bc ke sath  ..

Suriji : cadets attention. .

All the faculty members and cadets stand in the attention positions ..

Bc : at ease all of u ..

Hum jante hai ki ap log soch rahe ho gaye ki humne ap sabh ko yahan kyun bulaya hai ..

I want to introduce all of you a new faculty member here who will teach you strategy and communications from today .. So please welcome kma ki best cadet pass out lt. Naina Singh ahluwalia ..

Naina comes forward and salutes major general gaur and bc ..

Bc : lt. Singh ek best cadet pass out hi nai balki hamari army mein one of the best and bravest soldier bhi hai aur inki jo strategy and communications mein  command hai vo bhi best hai bilkul apne mentor capt rajveer singh shikhawat ki tarah ..
He said these words with a cute smile on his face and with a proud of having her in his academy. .

Everyone who were present there start clapping for her and welcome her ..

Naina : good afternoon to all of you. . Thanku so much for the warm welcome. . And I hope and I will try my best ki jitne ache se  mere mentor ne mujhe sikhaya tha utne hi ache se main ap sabh ko bhi sikha paun. .

Bc and mgg left from there and one by one all left from there. .

Naina also left from there as she has to take her class from today only ..

Sabh apne apne duties puri kar rahe hote hai ..

Cadets apne final exams ke liye apne apko tyar kar rahe hai . 

Faculties unhe tyar karne ke liye apne notes dekh rahe hai ..

Dinner ke baad sabh log apne 2 rooms chale jate hai . 

Naina jab se yahan laut kar ayi hai usne tabse kuch jyada react nai kara. . Aisa nai hai ki uska dard ya ghauv bhar gaya tha ya kum ho gaya tha lekin usne waqt ke sath samjhota kar liya tha ..
kehte hai waqt sabse badi dawa hai kisi bhi jakham ke liye fir chahe vo jakham dil par laga ho ya sharer par ..   

Lekin hamare capt gunraj singh randhawa ka kya .. unke liye to jaise waqt baar baar har baar ek naya jakham de jata hai ..

Subah se lekar light out hone tak vo captain gunraj singh randhawa bankar rehte hai, ghumte hai, baatein karte hai, padhate hai lekin uske baad vo sirf aur sirf ek apne pyaar ko kho chukka ek mamuli premi hai jo uski yaadon mein duba rehta hai ..

US chot ke dard ko kam karne ke liye vo ab sharabh ka sahara lene lage the. .
Jo insaan khudh sabko sahara deta aya hai, jo sabka sahara banta aya hai aj use khudh kisi ke sahare ke jarurat hai ..
Gunny roz apni duty hours ke baad sharabh ke nashe mein dhust rehne laga tha ..

Din beette gaye.. gunny ka routine tha apne cadets ki classes lena aur vidya ke parents ko call karna  aur unka halchal janna aur uske baad apne apko sharabh ke nashe mein duba dena..  Vo apne past ko bhulna to  dur bhulane ki koshish bhi nai karta tha ..

KISMAT ... Kabhi Bhi Badal Sakte Hai...Where stories live. Discover now