Chapter 19
Avocab ne apni mom ko rote hue dekha toe kahaa Aap rote hue achhi nahi lagti aapke chahre par smile achhi lagti hai.
Markelex ne Avocab se kahaa Avocab ab tum apni energies nahi use kar sakte ho. Ab saara superhero waale kaam sab ab bund. Ab mai sab kuchh karunga aur tum aaram.
Avocab ne Markelex se kahaa Pino Jobarkar naam ka saaya abhi talaa nahi; jabtak Pino Jobarkar nahi haarega tabtak waise hi mai rahunga.
Avocab ki mom ne kahaa Nahi, bilkul bhi nahi! Ab tu ek normal insaan hai. Ab tujhe superhero giri chhodkar apni shaadi ki sochna hoga.
Avocab ne Yesu se kahaa Mai aur shaadi, impossible. Mai shaadi bilkul bhi nahi karunga.
Yesu ne Avocab se kahaaAchha toe mujhse baat bhi mat karna.
Markelex ne Avocab se kahaa Yeh low phone, doctor hai call par.
Avocab ne phone liya. Doctor ne kahaa Hello Avocab, suono tumhe jo yeh sab ho raha hai usko sirf aur sirf tumhi khatma kar sakte ho.
Avocab ne doctor se puchha Wo kaise aur kiss baare me baat kar rahe hai?
Doctor ne Avocab se kahaa Yeh tumhe brain disease jissme tumhaare brain me dreams create hote hai tum isse lad sakte ho.
Avocab ne doctor se kahaa Mujhe toe yeh tabse ho raha hai, jabse maine energy to radiation convertion kiya hu.
Doctor ne Avocab se kahaa Ha mai samajh gaya. Ab tum suono tum isse kaise thik ho sakte ho.
Avocab ne doctor se kahaa Bataaye ki mai kaise ho sakta hu thik.
Doctor ne Avocab se kahaa Tum apni energies use mat karna.
Avocab ne doctor se puchha Koi aur rasta nahi hai kya doctor?
Doctor ne Avocab se kahaa Ek rasta hai. Magar ussme bahut khatra hai. Aur usme pataa nahi tumhara body aur brain deserve bhi karega ya nahi.
Avocab ne doctor se kahaa Aap bas tareeqa bataye.
Doctor ne kahaa Mai tumhe last time warn karta hu. Magar ab mai bataata hu. Suono tum jab energies use karoge toe tum dreams me chale jaoge uss waqt tumhe apne brain me puri energies use karni hogi ya phir uss time jiss time tum thodi si energies use brain tak ke liye karoge uss waqt koi tumhe energies thodi si bhi de toe kaam bun jaayega. Aur result hoga ki tum hamesha ke liye dreams ko khatam kar doge aur uss radiation ki energies bhi use kar sakoge.
Avocab ne doctor se kahaa Magar mai jab dreams dekhta hu toe mujhe itna samajh hi nahi paata hu.
Doctor ne Avocab se kahaa Yahi toe baat hai. Ki tum dreams me rahoge toe tum energies kaise use karoge. Tumhe radiation ko power banana hai.
Avocab ne doctor se kahaa Thik hai doctor, ab jo hoga mai aapko update deta rahunga; okay bye.
Idhar Pino ne Avocab ka CCTV photage hack karke dekh liya. Pino Jobarkar sab samajh gayaa aur usne Daniel scientist ko bhi dikhaya.
Pino Jobarkar ne Daniel ke help se diamond asteroid ko bechkar $20 billion leliya. Ab Pino Jobarkar ne apna ek nayaa profile banaaya. Aur badaa sa company khola magar uss company ke 500 meter ke duri par ek under tunnel banaaya.
Aur uss undertunnel me Pino Jobarkar ne 1 lakh insects par alag alag radiations aur chemical ki help se insects ka size badaa bana diya. Aur Pino Jobarkar ne Daniel scientist ko bhi ek radiation therapy se ek dangerous animal banaa diya. Aur khud sabka king bungaya.
Pino Jobarkar ne ab 100 insects ko robbery kar waaya. Markelex waha pahucha aur dekha ki insects itne bade-bade monsters jaise bane hue the. Toe Markelex ne electricity attack kiya. Aur Avocab ka shuit ko waapas se reset karke A.I. shuit ke saath banaa kar attack karne lagaa. Kyuki, insects ke paas koi power nahi tha issliye saare insects paise lekar bhag likle.
![](https://img.wattpad.com/cover/296526192-288-k852633.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
The Great Genius Man
Science FictionThere are two superheroes in this book. The name of the first is Avocab and the name of the second is Markelex, which is used by the power of electricity. And in this book, one such business named Pino Jobarkar, who put his whole life to the end of...