Chapter 20: First War With Signe

8 4 0
                                    

Chapter 20

Sign planet par Signe king ne sab kuch pataa lagaa chuka tha, ki kaun aakhir attack kiya tha.

Signe King ne jab yeh dekha ki Genius Man itna powerful hai, toe sabse pahle Signe ne apni puri aarmi tayaar ki; phir Signe spaceship se Earth ki taraf aane lagaa.

Avocab ko in sab ka andaaja bhi nahi tha. Aisa kuchh hone waala hai. Avocab ki mom toe Avocab ko shaadi ke liye ladkiya dikhaane lagi.

Avocab ne apni mom se kahaa Mom, mai shaadi bilkul bhi nahi karunga, kuchh bhi ho jaye.

Avocab ki mom ne kahaa Thik hai, mai jabarjasti toe nahi teri shaadi karwaasakti na. Chal ab mere ghar me jhaadu aur pochha maar chal.

Avocab ne kahaa Mai paise ke maamle me 3rd rank par hu. Issliye, yeh sab kaam servants karte hai.

Avocab ki mom ne kahaa Achha yeh tu nahi karega. Saanti se jaisa kahti hu waisa kar, warna..

Tabhi waha Markelex aagaya aur kahaa Mr. Avocab the great business man ya Genius man jhhaadu pochha maarte hue kaise lagenge, hume aap ek pose denge..

Avocab ne Markelex se kahaa Markelex ke bachche! Tujhe toe mai abhi bataata hu. itna kahte Saanti se tu kaam kar samjha. Avocab ki mom ne Avocab ka kaan jorse madote hue kahaa Chup Chaap se suonle samjha warna mere paas aur bhi bahut se tareeqe hai, Samjha..

Pahle mera kaan toe chhodo. Avocab ne kahaa. Avocab ki mom ne kaan chhoda. Avocab ne kahaa Pahle mujhe pakad ke toe dikhao tab mai kuchh karunga. itna kahte hi Avocab bhaagne lagaa, magar Avocab ki mom ne apni chhadi phekkar Avocab ko giraa diya. Phir Avocab ki mom Avocab ke paas gayi aur kahaa Kyu bachchu, kaisa laga? Meri yeh chhadi!.

Yeh toe cheating hai mom. Avocab ne kahaa. Tabhi Markelex ne kahaa Souna nahi hai Every thing is fair in love and war, toe yeh toe aakhir pyaar hai..

Avocab ne kahaa Aisa pyaar hai toe dushmani ya jung mujhe jyaada achha lagta hai..

Tabhi yaha Signe Ozone layer cross kar chuka tha. Aur saare spaceship bhi. Signe Ozone layer cross karte hi apne spaceship se missile aur special gel attack ( Special Chemical attack ) karne lagaa.

Avocab ko jab yeh pataa chalaa ki itna sab kuchh ho raha hai, toe Avocab ne G.M. shuit ke jaise kapdaa pahna aur udkar chalaa gaya. Aur Markelex bhi apna shuit pahan raha tha.

Avocab ne Genius Man bankar gaya. Signe ne jab Avocab ko dekha toe firing rok diya aur Avocab se baat karne ke liye baahar aaya.

Signe ne ek converter lagaaya aur kahaa Genius Man tumhaari wajah se mere planet par bahut tabaahi hua hai..

Genius Man ne puchha Signe se Maine, maine kyaa kiya? Jisse tumhaare planet par tabaahi hua hai?.

Signe ne Genius Man se kahaa Mai Sign planet se hu..

Genius Man ne kahaa Yeh kahaa hai? Mujhe nahi pataa..

Signe ne Genius Man se kahaa Tab toe tumhe yeh bhi yaad nahi hoga, ki tumne 1 years pahle tumhaare Sun ki nikalte gole se tumne apne energies se direction change kar diya tha..

Genius Man ne Signe se kahaa Ha mujhe yaad hai aajse ek saal pahle maine aisa kiyaa tha. Magar usse tumhe kya hua?.

Pataa hai wah aag ke gole kahaa jaakar gire hai. Mere Sign planet par, jahaa par 107 arab peoples rahte the magar bache kitne sirf aur sirf 97 arab.Signe ne kahaa.

Genius Man ne kahaa Achha, tumne ginti kiyaa hai, magar kaise?.

Ginti nahi magar andaaje se bataa raha hu. Magar tum kyu jaanana chahte ho ki maine kaise ginti kiya.Signe ne kahaa.

Genius Man ne kahaa Kuchh nahi aise hi thoda time pass kar raha tha..

Yaha mai tumhe khatam karne aaya hu aur tumho ki majaak kar rahe ho. Signe ne kahaa.

Genius Man ne kahaa Tumhaara jo kuchh nuksaan hua hai mere wajah se; toe tum jo sajaa dena chahte ho. Dedo..

Mai tumhe aur iss puri Earth planet ko saaf kardunga. Kyuki, mere planet ke mukaable tumhaari planet ka population kuchh bhi nahi. Signe ne kahaa.

Genius Man ne ( chillate hue ) kahaa Hey Signe, tum mujhe khatam kardo toe mai nahi kuchh kahunga, magar meri duniyaa ko khatam karne waale ko mai nahi rahne dunga..

Signe ne Avocab par firing suru kar waadiya. Avocab ne energies se ek shield tayaar kiya. Tabhi Markelex pahucha aur Markelex electricity bankar saare spaceship ka wire me short-circuit se destroy kar diya.

Ab Signe ne radiation aur energies ko ek saath me attack kiya. Avocab ne energies se bach gaya, aur phir Avocab ne energies se attack kiya. Signe bhi shield se bach gaya.

Tabhi Markelex ne electricity attack kiya aur Signe ko electricity se giraa diya. Signe ne ab saare gadgets se attack karne laga. Magar har baar Avocab aur Markelex ne attack ka jawaab dete rahe.

Signe ne ab direct sun se energies ko use karke Avocab par attack kiya. Magar Avocab ne aur Markelex ne meelkar, ek saath me ek powerful energy aur electricity ke sath me shield development kiya, wah shield itna powerfull tha ki koi bhi energy ho; wah waapas reflect hokar apne pahle waale direction me reflect ho ga.

Aur waisa hi hua, Signe ko uski power waapas ussi par lagi. Signe jakhmi hokar spaceship me invicible hokar, waapas chala gaya. Signe light ki speed se travel karte Sign planet waapas pahuch gaya.

Avocab aur Markelex dono Signe ko dekhkar hairaan the.

Avocab aur Markelex jab ghar pahucha toe Avocab ne apni mom se puchha Mom aaj tak apne Sign planet ka naam suona hai?.

Avocab ki mom ne kahaa Quantum Physics me sirf aur sirf puri duniya aur puri universe ke baare me bataya hai. Aur usme yeh bhi bataaya hai, ki har ek galaxy me saikado portal type ke hote hai. Wah dikhne me portals hote hai magar portal ke jagah wah second ya third dimensional ka root hota hai. Toe mujhe issbare me nahi pata. Magar mujhe yeh pataa hai ki uss root ko agar hum, kaise bhi blast kar de toe; Wah dimension ka door bund ho jayega. Isse jyaada mujhe nahi pata..

Avocab ne Yesu se kahaa Thanks mom..

Markelex ne Avocab se alone me kahaa Avocab mujhe Signe ki, direct to direct sun se energies using power dekhkar hairaani ho rahi hai. Iske pahle toe Pino Jobarkar tha. Jo ki normal tha. Tab hamaare itna power use ho gaya..

Avocab ne Markelex se kahaa Ab Signe waapas chala gaya hai, ab hume tense hone ki nahi hasne ki jaroorat hai..

The Great Genius Manजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें