Chapter 21: Bleam Clear Like Signe Style

5 4 0
                                    

Chapter 21

Signe ke planet par pahuchne ke baad. Signe ek-ke baad ek kar apna Mahal ka samaan phekna laga! ( Gusse me )

Tabhi waha Signe ka Vazeer aaya. Aur Vazeer ne kahaa Wah hamaara kya raja hai. Aisa raja hone lage toe puri planet kaise secure rahega?.

Signe ne Vazeer se puchha Kya matlab tumhaara?.

Vazeer ne Signe se kahaa Tum apne planet ke uon mare hue logo ka badla lene gaye the. Magar kiya kya ha? Sirf aur sirf tum uon do logo se maar khakar aagaye..

Signe ne Vazeer se kahaa Mai chahu toe mai tumhe, iss gustakhi ke liye phasi de sakta hu. Magar mai tumhe pahle answer dunga. Mai waha se haar maankar nahi aaya hu..

Toe kissliye aaye ho? Vazeer ne puchha.

Signe ne kahaa Mai jo sochta hu wah sabke samajh se baahar hai. Maine sirf aur sirf uss Genius Man ka power dekhne gaya tha. Jaisa socha tha, waisa hi paaya. Magar wah electric boy isska mujhe pataa bhi nahi tha.Ab mai, sirf apne brain se ladunga. Understand..

Earth par.

Avocab ne Markelex ka shuit aur bhi update kar diya. Markelex ke life me ek baar phir Zohn Zelle aaya, magar Avocab ne Zohn Zelle ko Markelex ke sath meelkar haraa diya.

Signe ne apne powerful energies waale animal se energies ko use karke ek way banaya. Jisse chal kar Sign se Earth sirf 20 minutes ka ho jaata hai. Signe ne Earth par waapas ayaa, magar issbaar, Signe ne face ka lookup change kar diya. Aur khud human beng jaisa dikhne laga.

Pahle toe Signe ne ek-ke baad ek-ek karte, Earth ke peoples ko samjha aur khud bhi ek business open kiya. Signe ne Sign planet se dher saare sone lekar aaya. Aur Earth par bechne lagaa. Ab Signe ne apna naam badla aur sabko apna naam Syruce bataya. Aur puri Earth par Signe ko Syruce Jewellers ke naam se jaanane lage.

Signe ne Avocab ki nuzoriya company of technology me 100 billion dollar ka investment kiya. Ab Avocab ke bunglow ke baaju me Syruce ne apna bunglow banaaya. Har 1 week par. Signe apne planet Sign par jaata tha. Aur 1 day me waapas bhi aajata tha.

Ab Avocab ne Signe se friendship kiya, magar Avocab ko nahi pataa tha, ki Syruce aur koi nahi Signe hi tha.

Avocab ne apna bunglow me Signe ko bulwaaya, aur wahi rahne ke liye kahaa; Magar Signe ne Avocab se kahaa Mai tumhaare ghar me kaise rah sakta hu? Mere paas toe khudka bunglow hai..

Avocab ne kahaa Ab tum mere liye Mark Robin aur Markelex ke jaise ho..

Avocab ki mom ne Signe se kahaa Beta Syruce, dekho tum mere liye mere Avocab ke jaise ho. Tum please ab hamaare ghar me hi raho..

Signe ne Avocab se kahaa Jab Syruce ko itne pyaar se rahne ke liye kah rahe ho, toe mai bhi aaj se yahi ghar me rah jaata hu.. Signe ne mun me kahaa Yahi toe mai chahta tha. Ki mai nuzoriya bunglow me rahu, aur apna kaam kar saku. Phir tabhi Avocab ne Signe ko huge kiya.

Aur Markelex ne kahaa Ab hamare ghar me aur achhe insaan aagaye.

Tabhi Signe ne vazeer ko plan execute karne ko kahaa. Vazeer ne Signe ka face ka ketup banaaya, aur Sign planet ke animals ko lekar aaya. Aur Signe ke Vazeer ne animals ke energies se attack karne lagaa. Aur puri Earth me tabaahi machane lagaa.

Magar Avocab ne dher saare apne robots se attack karne lagaa. Hazaaro robots khatam ho gaye aur Signe ke animals bhi; itne dher saare lifes khatam ho rahe the. Magar Signe apne bunglow se heela bhi nahi. Signe apne hi bunglow me baitha tha. Tabhi Signe ne apne vazeer ko message diya, ki saare log waapas Sign planet par chale jaao.

Saare animals Sign planet par chale gaye, aur vazeer bhi. Jaate dekhte Avocab aur Markelex ko bahut hairaani hua. Ki bina kuchh kiye yeh saare ke saare Aliens chale gaye.

Magar tabahi itni hui ki uska andaaja koi nahi lagaa sakta tha. Avocab aur Markelex waapas ghar aaye. Ghar aane ke baad Mark Robin bhi aagaya aur Avocab se kahaa Avocab yeh sab kyaa ho raha hai. Kabhi aliens aate hai, tumse haar kar chale jaate hai. Phir aliens par bina kuchh kiye chale jaaate hai, yeh sab ho kyaa raha hai?.

Avocab ne Mark Robin se kahaa Mark Robin mujhe bhi kuchh samajh nahi aaraha hai. Ki aakhir yeh sab ho kyaa raha hai..

Markelex ne tabhi Avocab aur Mark Robin se kahaa Mujhe toe yeh bahut badaa koi sajish lag raha hai..

Avocab ne kahaa Kuchh bhi hoga wah tabtak koi kuchh nahi kar paayega, jabtak Avocab jinda hai.

The Great Genius Manजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें