Chapter 23
Signe waapas planet Earth aaya. Earth par aane ke baad Signe ne Pino Jobarkar ko dhundane lagaa.
Pino Jobarkar paralyse tha. Signe ne puri planet Earth par Pino Jobarkar ke liye, scanner lagaa diya. Signe ko dhundane me 3 days lagaa. Magar Signe ne Pino Jobarkar ka paralyse body dhud liya. Pino Jobarkar ko ek Sonata naam ki aurat ne apne hospital me rakha tha.
Signe jab hospital gaya, tab jo koi bhi Signe ke saamne aaraha tha; Signe usko turant khatam karde raha tha. Signe ne register liya, aur Pino Jobarkar ka ward ka number dekha; aur chal pada.
Signe Pino Jobarkar ke ward me jab pahucha toe, Pino Jobarkar ko aise haal me dekhkar, usse uthakar le gaya. Signe ne Pino Jobarkar ko planet Sign par laaya. Aur waha ki advance technology se 10 seconds me thik kar diya.
Pino Jobarkar utha aur sab kuchh itna alag dekhkar hairaan tha. Pino Jobarkar ne kahaa Mai kahaa hu, aur yeh sab itna alag kyu lag raha hai. Jaise mai Earth par nahi kissi dusre planet par hu.
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Ha Pino Jobarkar, tum dusre planet par hi ho.
Pino Jobarkar ne kahaa Mai ya toe paralyse ho kar mar gaya; ya toe mai pakka sapna dekh raha hu.
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Nahi Pino Jobarkar, tum jinda ho. Aur koi sapna nahi real life me ho.
Pino Jobarkar ne puchha Toe mujhe yaha kissne layaa.
Signe ne kahaa Maine, mai Sign planet ka king hu. Mera naam Signe hai. Aur mujhe tumhaari jaroorat hai.
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Signe tum saayad yaha ke king hoge. Magar tumhaari madad mai kaise karunga?
Signe ne kahaa Tumhaare baare me sab jaanta hu mai, ki kiss tarah tumne uss Genius Man ko uske ghhutno par laadiya tha. Mai yeh bhi jaanta hu, ki wah Nuclear Atomic bomb tumhaare chhote bhai par kissne giraaya tha.
Pino Jobarkar ne puchha Kissne?.
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Wah aur koi nahi. Tumhaara dost Mark Robin tha. Jo tumhe har baar paisa deta tha. Uss Avocab ko maarne ke liye.
Pino Jobarkar ne puchha Magar wo kyu?
Signe ne kahaa Tumhaare mun me Genius Man ke liye gussa bharna chahta tha. Taaki wah tumse apna hisaab pura kar sake.
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Ab mai sabse pahle uss Mark Robin ko khatam karunga, phir uss Avocab ko.
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Mai bhi uss Genius Man ko khatam karna chahta hu.
Pino Jobarkar ne Signe se puchha Tumhaari usse kyaa dushmani hai? Mere paas toe reason hai. Issliye uss Avocab ko mai khatam karna chahta hu. Magar tum kyu?
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Aaj se ek saal pahle tumhaare sun me toofaan aaya tha. Uss toofaan se 160 fire-rocks mere planet par aakar gire. Aur meri planet me kani kitne log maare gaye. Issliye mai uss Genius Man ko khatam karna chahta hu.
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Agar aisi baat hai toe, mai tumhaare saath hu. Magar tumhe mujhse kaisi help meelegi.
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Ek tumhi toe ho. Jissne Genius Man se do guna chaal chali thi. Genius Man hamesha apni energies se, har ek badi taaqat ko haraa deta hai. Magar tumne toe sidha uski energies ka tod nikaal liya.
Pino Jobarkar ne kahaa Sahi baat toe kah rahe ho. Magar tumne yeh sab kaise pataa lagaaya.
Signe ne kahaa Maine aur mere special intelligent force ke saath meelkar, maine Genius Man ka history dekha. Phir maine apne Special past machine me report kiya. Phir mere past machine ne pichhle 2 years ka record diya.
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Kyaa technology hai, tumhaare iss Sign planet par; Aisa technology toe mere Earth par bhi nahi hai.
Signe ne kahaa Pataa hai, toe bhi maine uss Genius Man ko haraa nahi payaa.
Pino Jobarkar ne kahaa Avocab ko haraane ke tareeqa mere pass hai.
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Pataa tha. Issliye maine tumhe apne planet par layaa hu.
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Tumhe jaisa help chahiye, waisi help mai karunga.
Signe ne Pino Jobarkar se puchha Toe mujhe bataao ki tumne wah 1000 robots kaise banaye the?
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Wo, usse maine copper, aluminum, nickel, cobalt, silicon, iron aur elements se make kiya tha. Jisse Avocab ki energy uss par kaam nahi kar rahi thi.
Signe ne Pino Jobarkar se puchha Mera agla sawaal yah hai, ki Pino Jobarkar tumne water aur air controlling man kaise banaya?
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Uss time mere paas puri meri team thi. Issliye, maine uon dono ko create kar payaa tha. Warna mere akele ki baat nahi hai.
Signe ne Pino Jobarkar se puchha Agar tumhe wah puri team ka mind ke jaisa worker meeljaye toe?
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa So, mai easily dono ko create kar lunga.
Signe ne Pino Jobarkar se puchha Achha toe Pino Jobarkar tum yah batao Speed of Znifo kyaa tumne theory create kiya tha?
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Nahi, wah Speed of Znifo ki theory Dr. Martino Jiera ne create kiya tha.
Signe ne Pino Jobarkar se puchha Tumne wah 3star shuit kaise create kiya tha, jisse tum bhi Genius Man ke jitne powerful bun gaye the?
Pino Jobarkar ne kahaa Maine sabse pahle Avocab ka database par attack kiya, aur hacking se maine pura database nikaal liya. Aur jiss tareeqe se Genius Man ne create kiya tha. Uss hi tarah se maine bhi create kiya tha. Magar mere paas energies ko store karne ka package nahi tha. Issliye, maine direct to satellite connect kiya tha.
Signe ne puchha Tumne Genius Man ke jaisa shuit saare-ke-saare againsters ke liye kaise banaya?
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Maine ussi database ko clone banaakar saare againsters ko 1 sun ki energies de diya tha. Aur maine khud 4 solar systems ki energies use kiya.
Signe ne puchha Achha, toe tum yeh bataao ki tumne uon saare insects ko monsters jaisa kaise banaya?
Pino Jobarkar ne Signe se kahaa Usse, maine gutter me baithe hue gande radiation aur chemical ke combination se create kiya tha.
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Ab mai in sabko Avocab ke kheelaf use karunga.
Pino Jobarkar ne Signe se puchha Wah kaise?
Signe ne Pino Jobarkar se kahaa Tumhaare planet par aisa nahi hota ho ga. Magar mere planet par ek alag hi power use hoti hai. Wah hai brain power. Bas samajh jao.
Pino Jobarkar ab sab samajh gaya, ki kyaa kah raha hai Signe.
Yeh kahkar Signe aur Pino Jobarkar dono hasne lage.
आप पढ़ रहे हैं
The Great Genius Man
Ciencia FicciónThere are two superheroes in this book. The name of the first is Avocab and the name of the second is Markelex, which is used by the power of electricity. And in this book, one such business named Pino Jobarkar, who put his whole life to the end of...