Chapter 28: Travelling For Binijo Siniya Main Weapon

5 4 0
                                    

Chapter 28

Ab Avocab aur Signe dono Zulosiya planet pahuche. Yaha Avocab aur Signe ne dekha ki puri-ki-puri planet par aisa koi nahi tha. Jo bol raha ho.

Har ek jeev-jantu, yaha tak-ki waha par insaan bhi bol nahi rahe the. Jo koi bhi ho khade hi rahe magar bole nahi.

Ab Avocab ne ek insaan se puchha Yaha Binijo Siniya kahaa par meelega. Uss insaan ne Avocab ko ghurte hue dekha aur bina kuchh kahe chale gaye.

Phir Avocab ne aisa karte-karte har ek waha ke rahwaasiyo se yahi sawaal kiya, magar jawaab ki jagah har ek rahwaashi bina kuchh bole waha se chalaa gaya. Avocab ko kuchh samajh nahi aaraha tha.

Aur dusri taraf wah Signe logo ko maar-maar kar puchh raha tha. Jo jawaab nahi de raha tha, usse Signe apne special sword se maarkar khatam kar de raha tha.

Avocab ne ab aisa karte-karte pura 2 din khatam ho gaya tha, magar kissi ne bhi Avocab se baat nahi kiya bas bina kuchh kahe chala jaaraha tha.

Aur yaha Earth par Pino Jobarkar ne bas Signe ke aane ka intazaar kar raha tha.

Aur Markelex ne to 4 solar system ki energies ko store karke rakha tha. Ab Markelex ne 100 shuits ko develop kar raha tha. Issliye, taaki usme 1 sun ki energies ko daal sake aur A.I. ke saath activate kar sake.

Markelex ne Avocab ka sabse advance A.I. se saare kaam raha tha. Aur yaha Pino Jobarkar ne bhi robots ko aur Air man aur Water controlling man develop karne ke baad saare Chairmans ko khatam kar diya. Ab waha ke Vazeer jisska naam Sinajo tha. Ussne Mark Robin ko Pino Jobarkar ke saamne laaya, aur Pino Jobarkar ne dekhte hi kahaa Kaise ho Mark Robin. Tumne meri bahut help kiya tha. Issliye, maine abhi tak yaha par jinda rakha hu tumhe.

Mark Robin ne kahaa Tu kyaa mujhe maarega. Iss dusre planet par aakar teri attitude bhi bahut badh gaya hai.

Pino Jobarkar ne Mark Robin se kahaa Achha, to ek baat bataa. Tu mujhe kaise bataayega mai batata hu. Mai tujhe yaha par jinda kyu rakha hu. Kyuki, mai dikhaana chahta hu. Uss puri Earth ko aur tere dost Avocab ko. Kiss tarah uski daulat ko paane ke liye, tune Avocab ko marwaane ka socha. Aur yaha tak ki tune mujhe har baar paise ki bhi help kiya. Yes or no.

Mark Robin ne Pino Jobarkar se kahaa Aisa jiss din hoga. Wah Avocab ki aakhri din hoga. Dusre din ka suraj dekhne ko Avocab ki naseeb nahi hogi.

Pino Jobarkar ne Mark Robin se kahaa Really, waise mujhe tumse ek chiz secret janaana hai. Wah yeh hai tum Avocab se itni nafrat kyu karte ho.

Mark Robin ne Pino Jobarkar se kahaa Kahaa na, jiss din mera such saamne aagayaa. Uss din wah jaanane waala jinda nahi rahega.

Pino Jobarkar ne kahaa Bas bahut hui tujhse baate. Mere paas aur bhi kaam hai. Tere tarah yaha mujhe koi kuchh kar nahi sakta. Aisa kahkar Pino Jobarkar waha se chalaa gaya. Aur Sinajo bhi. Mark Robin wahi Pino Jobarkar! Pino Jobarkar! Chillate rah gaya.

Aur idhar Zulosiya planet par Avocab chalte-chalte ek kuwe ke paas pahucha. Waha par ek aadmi tha. Jo ki Avocab ko dekhte hi kahaa Kaun ho tum? Yaha ke to nahi lagte ho.

Avocab ne uss aadmi ki taraf hairaani se dekha, aur kahaa Aap bol sakte hai? Waise mera naam The Great Genius Man hai.

Uss aadmi ne puchhaa Tum yaha par kyu aaye ho?

Avocab ne uss aadmi se kahaa Mai yaha Yijung Siniya ke bhejne par Binijo Siniya se meelne aaya hu.

Avocab ne uss aadmi se kahaa Mujhe aap sirf itna bataaye ki Binijo Siniya mahal me kahaa par hai. Bas mai aapka bahut badaa ahsaan mand rahunga. Pahle to uss aadmi ne jaane se mana kar diya. Phir Avocab ne uss aadmi ke ghuthno me gir kar kahaa Agar mujhe nahi waha tak pahuchayenge, to mai yahi par apni jaan dedunga.

The Great Genius Manजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें