Chapter 57

425 78 18
                                    

When Sameer was almost ready to leave for airport, he heard the sound of the doorbell ringing. He left the room to see the visitor. He was surprised to see Munna coming with Munshiji.

He immediately came down the stairs and asked Munna. "Munna tu iss wakt yahan, wo bhi Munshi ji ke saath."

"Wo Sameer ek problem ho gai hai." Munna said with a tense face and looked at Munshiji.

But Sameer first said them to sit on the sofa and then asked. "Ab bata kya problem hai."

"Sameer wo maine tujhe Bangalore wale project ke baare me bataya tha.... yaad hai tujhe." Munna said in a serious voice.

"Haan yaad hai aur tu kah raha tha wo company kuch fraud kar rahi hai... ab kya kiya unhone." Sameer asked irritatedly.

"Us time jaisa tune kaha tha unhe warn kar diya tha... uske baad unke side se koi complain nahi aayi... lekin abhi do din pahle Mr. Patel ne hamari company ko legal notice bhejane ki dhamki di hai... ye kah kar ki hamne unhe defective material supply kiya hai...... Aur tu janta hai agar ye mamla court tak pahuch gaya to hamari company fraud list me aa jayegi jisse nanaji ki company jise log ek imandari ka pahchaan mante hai badnam ho jaayegi." Munna told the main problem with that company.

Knowing about the matter, Sameer became worried and asked sternly. "Pahle kyo nahi bataya... aur material defective kaise ho gaya, tune check kiya tha na."

"Haan Sameer beta maine khud check kiya tha... ye us Patel ki saazish hai, tumhare nana ji ke naam ko badnam karne ki." Munshiji said.

"Mai aur Munshiji pichhle do dino se Mr. Patel ko samjhane ki koshish me lage huye the. Unhe sab tarike se convince karne ki koshish ki, unhe settlement ka bhi offer diya lekin wo Patel sunne ko raji hi nahi hai... Wo to bas court jane ki rat lagaye huye hai..." Munna explained their effort to sort out this problem.

"To ab kya karenge... Munna tujhe pahle hi bata dena chahiye tha" And thinking his phone call last day "to isliye tune gandhi nagar ki meeting ka bahana kiya tha ... kal maine kitna puchha tha, par tune bataya hi nahi... kal bata deta to lawyer se baat karke koi option nikal lete... ab aise last moment pe kya hoga." Sameer was frustrated on Munna and felt helplessness.

"Sameer ek ummeed nazar aayi hai...Abhi karib aandhe ghante pahle Mr. Patel ke PA ka call aaya tha aur uski baaton se laga shayad wo settlement karna chahate hai... mai aur munshi ji isi ke baare me baat karne aaye hai." Munna gave him a slight hope.

"To phir problem kya hai... baat karke settlement kar lete hai." Sameer said eagerly.

"Par wo chahate hai ki hum vahan Banglore jaaye unse settlement karne aur kal sham ko milne ke liye bulaya hai...Sameer mai aur Munshiji chale jaate par wo Mr. Patel bahut hi ghatiya insaan hai... kab palti maar de... isliye mai chahata tha... ki tu... bhi..." But Munna stopped.

"Ki mai bhi kya Munna...Bol." Sameer asked impatiently.

"Tu bhi Banglore chale.... janta hun iss wakt tujhe chalne ko bolna galat hai... lekin baat nanaji ke reputation ki hai.. hume laga tha sab sort out kar lenge par... nahi ho paya yaar... mai tujhe pareshan nahi karna chahata tha, isliye kal nahi bataya." Munna was hesitant to ask Sameer to accompany him.

"Kaisi baat kar raha hai Munna... Off course mai jaunga Bangalore... nanaji ne kitni mehanat se ye company khadi ki thi aur unki imandari ke vajah se aaj unka itna naam hai aur unke naam ko koi bhi sirf apne swarth ke liye badnam kare... mai aisa kabhi nahi hone dunga..." Sameer was infuriated at the person who wanted to defame his nanaji reputation.

"Sameer lekin tumhara honeymoon... aur Naina ko kya kahega." Munna worried for their honeymoon.

"Tu chinta mat kar mai Naina ko samjha dunga...wo samjhdaar hai situation ko samajh jayegi...tu ek kaam kar kal ki teri aur meri Bangalore ki do ticket book kar de." Sameer ordered Munna and looking at Munshiji. "Aur aap Munshiji yahan Ahmedabad me hi rukenge, koi bhi important document ki zarurat padi to fax kar dijiyega."

Hamara Pyaarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें