Khidki ke pass khadi hoke wo apane jindgi ke baare mai soch rahi thi, soch rahi thi pichale 3-4 salo mai uski jindgi ne kitane mode liye, kitana kuch badal gaya, kya se kya hogai uski jindgi, sirf ek galati aur sab kuch badal ke rakh diya. Ek galati aur uski itni badi saza usko mil rahi thi. Galati thi uski padhane likhane ke time pe kisi se pyaar kar baithi, pyaar mai itni andhi hogayi kya bura kya acha sab kuch bhul gayi. Amma- papa bol rahe the pahle padhai puri kar baaki sab baad mai dekhenge par pyaar ka bhoot sawar tha bhag aayi uske saath. apane amma- papa bhai ko chod ke , 19 saal mai shaadi jaisa bada faisala liya aur jis ke liye ye sab kiya usne pahle pahle bhoat bade bade sapane dikhye use mai koi koi pure bhi kiye phir khud hi apane aap ko sharab aur juwe ki daldal pe soap diya. Jab pyaar ka bhoot sar se utara tab tak bhoat der ho chuki thi. Sab kuch khatam huwa tha. Abhi jaisi jindgi dikha rahi hai wo except kar rahi hu. Abhi to koi exception rahi nahi jindgi se jaisi kat rahi hai jindgi waise kaat rahi hu.SHENAAZ
Awaz sunte hi usne piche mood ke dekha. Jise wo kabhi apane jaan se bhi jadda pyaar karati wo bed pe baith kar usko awaz de raha tha. Baal bhikhre the, aakhe phul gayi thi, gaal puri taraha ander ja chuke the. Kon bolega ise dekh kar College mai iske piche ladkiya diwani thi.
Shenaaz - khul gayi nind teri, daaru ka nasha utar gaya ki baaki hai abhi.
Rakesh - I am sorry shenaaz , galati hogayi.
Shenaaz - tera to roj ka hai. Raat bhar sharab ke nashe me doob jawo, apani biwi ko pure raste ghuma do , sharab ke dukano ki sidhi chadhane ko majboor karo aur subh hote hi sorry bol ke sab kuch bhul jawo.
Rakesh - kal bhi koi tamasha kiya maine.
Shenaaz - kal bhi matlab ? Rakesh tu her roz tamasha banata hai khud ka bhi aur mera bhi. Kal bhi kuch alag nahi huwa, jaha daru pike pada tha na us baar ke malik ne phone kiya muze aur bolane laga aap ka banda daaru pike yaha pada hai usko aake yaha se leke javo, baar band karane ka time hogaya hai aap agar nahi aaye to isko hum baar ke bahar phek denge.kya karu biwi hu tumhari aagayi tuze lene. Har waqt ke taraha uncle aagye unki gaadi leke meri madat karane. Rakesh uncle 60 saal ke hai par mai akeli kaise mange karungi issliye mere saath agaye itni raat ko unko bhi kitni taklif dete hai hum.
Rakesh - sorry, bhoat galti ki maine.
Shenaaz - galati , teri ek galati kal teri jaan leke jaati.
Rakesh - matlab
Shenaaz - Matlab kal mai uncle ko phone kar ke hum kaha hai wo bata rahi thi, tu thik se chal bhi nahi pa raha tha. Tumhe mai boli tu 5 minutes yaha khada rah mai uncle ko dekhati hu, mai uncle ko dekhane gayi itne mai tu waha se chala gaya, ek speed se car aarahi thi use car ke samane jaake tu khada huwa bhala ho us aadami ka jisne emergency breaks laga ke gaadi rok di, nahi to wo gaadi tuze uda deti. Kitni gaali de raha tha wo aadmi tuze, kitne gusses dekh raha tha tuze. Shayad meri taraha wo bhi pareshan tha.
Rakesh - mai tuze bhoat pareshan karata hu na. Bol na shenaaz please muze se baate kar.
Rakesh uska haath ko apni taraf jor se khichta hai. Shenaaz dard ke maare chikh padati hai.
Rakesh - kya huwa tuze dikha muze. Shenaaz kitni lagi hai tuze. Kaise lagi ye choat tuze.
Shenaaz - siyappa ! Kya kismat payi hai maine khud hi ghav deta hai aur khud hi puchta hai kaise ghav laga.
Rakesh -:ye ghav maine diya hai tuze?
Shenaaz -;nahi to kisne diye. Kal tere kapade badal ne ja rahi thi tu kapade badalane nahi de raha tha. Tuze mai jabardasti karane lagi to muze dhakka mar ke niche gira diya. Choda ye sab aise kitni choate tune di hai muze
आप पढ़ रहे हैं
WAFA SE BEWAFA HO GAYE.
Romancedo insaan jinhone jindgi se sabhi umeed chod di thi tabhi wo do tute insaan ek ho gaye phir se jindgi ki jine ke baare mai socha ne lage tabhi bas ek galat fahmi ke wajah se sab kuch barbaad kar diya aur wahi galat fahmi ko bewafa ka naam diya gaya...