After one month of Nisha' death.At Sidharth office
S S - shenaaz aaj Mr Ahuja ke meeting mai tum bhi aarahi ho mere saath yaad hai na kal bola tha tuze.
Shenaaz - hanji sir, ek request karu aap se
S S - chuti ke liye request kar rahi hai to bilkul nahi milegi.
Shenaaz - nahi sir actually abhi mere yaha two months rah gaye hai baad mai Mahi mam joint karegi. aap ka industry mai naam bhoat hai to aap muze yaha kaam kiya huwa six months ka certificate dege to muze kahi acchi job mil jaayegi.
S S - tumhe yaha kaam kiye four months ho bhi gaye muze to pata bhi nahi chala.
Shenaaz - actually three months ho gaye four months start ho gaya hai
S S -; dekhata hu agar Mahi ne leaves extend kar di to. Itna bore hogayi company se
Shenaaz - nahi sir muze to yaha koi Life time job de to mai kar sakati hu. Par muze pata hai mera qualifications itna nahi hai ki mai aap ke company mai kisi ke post pe rahu.
S S -: baad mai dekhate hai. Abhi half and hour mai nikalana hai. Tiffin nahi laya hai na. Luch time nahi milega tuze aur office aate late ho jaayega.
Shenaaz - ji sir mai ready hu.
______________________________________
After the meeting is over Sidharth takes Shenaaz to an Italian restaurant. Seeing such big restaurant, she becomes a little bit uncomfortable. Sidharth order Lasagna and pasta
S S -; kya huwa uncomfortable feel kar rahi ho.
Shenaaz - yes sir, pahli baar itni badi restaurant mai aayi hu. Muze to menu ke naam bhi padana nahi aaraha the. Issliye aap ko hi order dene ko bola. Yaha ke logo ke kapade aur mere kapade dekho koi match nahi hai. Aap hai issliye mere jaisi ko ander to aane diya nahi to darwaze se hi dhakka mar ke bhaga diya hota
S S - tum khud ko itna low feel mat karo. Mai garentee ke saath bolata hu tuze pure restaurant mai sab se beautiful ladki mere pass baithi hai
Shenaaz - aap mera dil rakhane ke liye bol rahe hai na muze pata hai.
S S - nahi mai sach bol raha hu. Chalo khana aaya bina tension ke food enjoy karo.
Sidharth and shenaaz would have been going together in the car, after having luch in the restaurant. Sidharth ask Shenaaz
S S - shenaaz tumne kabhi shaadi ke baad apane gharwalo se contact rakhane ki koshish nahi ki
Shenaaz - ki thi sir ek baar shaadi ke three months ke baad yahi kahane ke liye hum bhoat khush hai shaadi kar ke batane ke liye unka haal chaal puch ne ke liye.
S S - phir kya huwa?
Shenaaz -; papa ne phone uthaya meri awaz sunte hi wo bole kon shenaaz hum kisi shenaaz ko nahi jaanate. Humari jo beti thi shenaaz wo humare liye mar chuki hai hum ne uska sab kriya karam kar diya hai. Abhi yaha dubara phone mat karana. Phir maine ek baar dophar ko phone kiya tha mere chote bhai ne uthaya bol raha tha muze , papa ne use aur Amma ko unki sar ki kasam deke muze se koi rishta nahi rakhane ke liye kaha hai.
Shenaaz's eyes filled with tears
S S - don't cry sweetheart please. Mai tuze ek baat puch raha hu muze bas sach suna hai tu jis bhgwan ko manati hai uski kasam. You still love him ?
Shenaaz -; kise Rakesh se ? Nahi sir aaj mai aap ko bol sakati hu Rakesh ke saath jo bhi tha wo mera attraction tha. Ek kacchi umar mai ki gayi galati. Pyaar kabhi aisa nahi hota. Jise aap pyaar karate hai use kabhi dukhi nahi dekh sakate. Usko khush rakhane ke liye kuch bhi kar sakate ho tum. Pyaar means trust, loyalty. Sab kuch hota hai.
आप पढ़ रहे हैं
WAFA SE BEWAFA HO GAYE.
Romancedo insaan jinhone jindgi se sabhi umeed chod di thi tabhi wo do tute insaan ek ho gaye phir se jindgi ki jine ke baare mai socha ne lage tabhi bas ek galat fahmi ke wajah se sab kuch barbaad kar diya aur wahi galat fahmi ko bewafa ka naam diya gaya...