chapter 32

1.7K 172 18
                                    


On Sunday, Sid sits on a chair in the garden and sipping a coffee. Ansh sees sid and goes to him

Ansh - uncle

S S - Ansh , tum kab aaye?

Ansh - mai to subha hi aagaya tha aap soye the tab

S S - Sunday hai na aaj issliye. Nashta kiya tune?

Ansh - ha ghar pe Amma ne paratha banaya tha.

S S - ek kaam kar idhar tu khel mai bas breakfast khatam kar ke aata hu tere saath khelane.

Ansh - ok uncle

While having breakfast, Sid looks at Ansh's toy car, one wheel of which is not turning

S S - tere car ko kya ho gaya ?

Ansh - pata nahi uska ek wheel chal nahi raha hai.

S S - mere pass de mai thik kar deta hu

Ansh - aap ko aata hai car thik karana?

S S - ha mai bachpan mai apani gaadiya khude thik karata tha

Sid starts repairing his toy car while listening to His chatting.

Ansh - aap ko pata hai mera next month birthday hai tabhi na meri Amma purab ki purani cycle hai na wo kharid ke muze degi. Wo purab ke papa ne usko nayi cycle di to uski purani cycle muze Amma leke degi.

S S POV - kitna Masum hai ye ek second hand cycle ke milane se bhi kitna khush hai uski ankhe kitni chamak uthi hai. Ek tuti car hai magar uske saath bhi kitni khushi se khel raha hai wo.

Ansh - kya huwa uncle aap chup kyu ho gaye?

S S - kuch nahi, dekh teri car ho gayi ready

Ansh kissing his cheek

Ansh - thank you, Aap to superhero hai. Pata hai aap ko aap dikhte bhi waise hi ho superhero ki taraha.

S S - to tumhe mai super hero lagata hu.

Ansh - ha, mera friend hai nil uske papa bhi aap ki taraha superhero hai. Jab dekho muze bolata rahata hai mere papa aise hai waise hai. Pata hai aap ko ek din muze bol raha tha uske papa ne ek fight se unki ghar ki diwar toad di.

Hearing Ansh's wording, Sid laughs a lot and starts laughing loudly.

Ansh - aap itna has kyu rahe ho?

S S - nahi nahi mai kaha has raha hu mai to mere ek friend ke jok ko yaad kar ke has raha tha. Tum continue karo

Ansh - ha to wo nil muze kya kya bolata hai uske papa ke baare me. Wo nil ko to mai mere ek fight mai rula sakata hu

S S - to tum bhi usko tere Papa ke baare mai batana tere Papa bhi aisa karate hai waise karate hai

Ansh - mai kaise bolu mere papa to hai hi nahi. Aur Amma kahati hai kabhi jhute nahi bolana chhaiye.

S S - tumhare papa nahi hai matlab

Ansh - matlab mai ne kabhi unko dekha nahi hai, unki photo bhi nahi wo dubai mai hai aisa Amma kahati hai aur mai jab bada ho jaunga tab wo aayenge. Abhi unko kaam se chuti nahi milati hai unka boss unko chuti nahi deta

S S - idhar aaja Ansh

Ansh - ha uncle

S S - tuze mai ek hug kar sakata hu.

Ansh - ha

Sidharth hug Ansh tightly. His eyes are wet

Ansh - aap ro kyu rahe ho. Meri Amma bhi aise hi muze gale laga ke roti rahati hai.

WAFA SE BEWAFA HO GAYE.  जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें