Dr. Aliza:- good morning di.....
Zubiya:- good morning......
Dr. Aliza:- breakfast ready hai kya mujhe jaldi hospital jana hai....
Zubiya:- haan beta bas ready hai aaja saath mein kar lete hain.....
Dr. Aliza:- yeah jaldi karo bahut bhook lagi hai aur aap ko pata hai aaj mera jaldi jana zaruri hai.....
Zubiya:- lekin achanak Kyun, tu toh roz 10' baje jaati hai na aur aaj 9' baje jaane ki baat kar rahi hai sab khariyat toh hai na....
Dr. Aliza:- haan di sab theek hai don't worry....
Zubiya:- tu kuchh Pareshan si lag rahi hai bata kya baat hai......
Dr. Aliza:- aisi koi baat nahi hai di......
Zubiya:- kuchh toh hai tere chehre pe saaf saaf dikhai de raha hai koi toh baat hai jo tujhe andar hi andar khaaye ja rahi hai.....
Dr. Aliza:- mai aap ko kya bataun di kal hamare hospital mein ek patient ki death ho gayi.....
Zubiya:- toh usme itna Pareshan hone wali kya baat hai, I mean to say ki maut har kisi ko aani hai aur doctors ka farz hota hai patient ki jaan bachane ki koshish karna aur jaan wapas daalne ki takat hum insano ya doctors ke paas nahi hote.....
Dr. Aliza:- aap ko pata hai ek din aap ne mujhse pucha tha ki mere doctor bann ne ka reason kya hai....
Zubiya:- haan yaad hai lekin tune koi jawab nahi diya tha.....
Dr. Aliza:- Kyunki maine apne mon and dad ko khoya hai aur 11 saal pehle agar mujhe tablets ki sahi pehchan hoti toh aaj mom and dad zinda hote......
Zubiya:- don't worry, jo hua woh hamare haath mein toh nahi hai na agar sab hum insan ke bas mein hota toh Allah talah par koi bharosa nahi karta aur insan ke andar aur bhi zyada attitude aajata ki woh jaan bachane ke saath saath jaan daal bhi sakta hai.....
YOU ARE READING
TUM MERE KYA HO.....
RomanceIss kahani ki shuruaat hoti hai ek buisinessman se jiska naam Nafees tha jo apni family ke saath dubai mein rehta tha... jisko sirf apni parwa thi aur kisi ki nahi.... aur ek ladki thi jiska naam Aliza tha jo ek doctor thi.... jinki aapas mein bant...