Chapter 4

455 33 16
                                    


"Maliha yeh shopping tumne karni thi aur bazaar me dhakke tum mujhe dilwa rahi ho yeh bhi koi baat hui?"

Woh bazaar me ek dukaan se nikal ke chalte hue boli. Uske saath chalti aas paas dukano me dekhti Maliha ne jawaab diya.

"Aur kya main akeli aatii?"

"Naa aati akeli magar 3 ghente ho gaye hain aur ek dress tumhe mushkil se pasand aaya hai main thak gayi hun!"

"Acha meri maa beth ke kuch khaa lete hain phir himmat aa jae gi tumme wapis. Aur mere bhai ki shadi hai yaar ab awein thori le lun gi"

"Haan haan"

"Tumne apne liye nahi liya kuch?"

"Main jaa hi nahi sakti to kya faida lene ka?"

Usne udaas ho ke kaha.

"Main baat kar ke dekhun? Shayad kuch ho jae"

"Classes miss nahi kar sakti tum enjoy karna"

Woh dono bazaar me hi stall ke samne ruke aur plastic ki kursiyon pe beth gaye.

"Order karo kuch!"

"Wait, mera wallet nahi hai!?"

Maliha ne kaha to Safa seedhi hui.

"Kahin gir gaya?"

"Nahi zip band thi I think pichli dukaan me main rakh aayi shayad main dekh ke aati hoon"

"Main chalun?"

"Nahi betho tum yeh saath hi hai"

"Are you sure?"

"Haan"

Aur Maliha uth ke wahan se gayi. Safa ne pehle to kuch na socha magar phir baad me use khayal aaya ke use shayad akele wahan nahi rukna chahiye tha. Magar khud ko normal dikhane ke liye woh confidence ke saath seedhi ho ke wahan bethi rahi.

"Aap yahan?"

Awaaz ke aane pe usne mur ke dekha. Wardi pehne khara woh shaks dheemi muskurahat liye wahan khara tha.

"Aap?"

Usne jese use pehchana aur herat se kaha. Aaj woh wardi me bohat mukhtalif lag raha tha. Amooman use Pakistan ki police kabhi achi nahi lagi thi lekin uski shaksiyat aisi thi ke woh bohat mukhtalif aur acha lagta.

"Aapka akele is tarah bethna safe nahi hai waise"

Woh bolta hua ek do kadam aage aaya.

"Main akeli nahi hoon"

"Aap ki dost saath thin lekin abhi paas nahi hain yaqeenan?"

Woh dheemi muskurahat liye pocket me haath daale bola to honto ko daanto me dabae Safa ek dam has pari.

"Wallet bhool gayi thi apna woh."

Usne sun kar sar ko kham kiya.

"Us din aur aap Kheriyat se ghar ponch gayin thi?"

"Jee. Thank you for helping"

"Agar mind na karen to ek baat puchun?"

Woh samne pari kursi pe beth ta hua bola.

"Pooch to len lekin aap ko koi kaam nahi?"

"Wohi to kar raha hoon. Apne logon ki hifazat?"

Marham e ishqWhere stories live. Discover now