Shaam me jab woh ghar aaya to sofey pe use bethe tv dekhte paaya.
Woh dheere se us tak gaya aur sofey ke peechey khare ho ke jhuk ke uske sar ko chuma. Eyila ne sar utha ke use dekha aur khushgawar herat se use dekhti rahi aur salaam kiya.Jiska jawaab deta woh uske saath aa betha.
"Kesa raha tumhara din?"
Jab Zalaan ne pucha to usne tv pe nazre daal ke kuch sochte hue kaha.
"Busy aur thaka dene wala is liye main jaldi wapis aa gayi thi."
"acha kiya. khud ko thakaya mat karo itna"
Woh narmi se bola to Eyila ab bhi kisi soch me ghuum thi. Kuch lamhe ki khamoshi ke baad Eyila boli.
"Zalaan ek baat puchun?"
Zalaan ne sar ko kham kiya jab ke use ehsaas hua tha ke kuch galat tha.
"Basement me gym ke saath wala kamra locked kyun hai?"
Zalaan thitka tha magar chehre ke tassuraat me ratti barabar farak na aaya tha.
"Wahan mera purana samaan para hai is liye tumhe koi kaam tha?"
Zalaan ne araam se use pucha. Eyila ne usse nazre nahi milain thi ab bhi.
"Nahi bas mujhe laga mujhe wahan se koi awaaz aayi hai to main chali gayi"
Zalaan is baar wazeh tor pe thitka tha. Awaaz? Woh kamra ek waqt me woh interrogation aur logon ko rakhne ke liye istamaal karta tha magar jab se Eyila aur bachey wahan aaye the usne yeh sab apne warehouse tak hi rakha tha. AB wahan pe sirf guns knives aur aisa samaan tha.
"Safai nahi hui kaafi der se shayad koi chuha ho ga. Main dekh lun ga tum fikar mat karo"
Woh bola to Eyila ne is baar uske chehre ko dekha aur sar ko hila ke dubara tv dekhne lagi thi.
"Bachey kidhar hain?"
Zalaan ke sawaal pe woh boli.
"Aaj unhe shouk chara tha ke woh oma ke paas rahen ge kyun ke weekend he"
Woh boli to Zalaan muskura diya magar pareshan bhi hua tha aur phone nikal ke Adam ko message kiya tha ke woh Oma ke apartment ke bahir hi rahe jab tak bachey wapis na aa jayen. EYila jo ke uske paas hi bethi thi uske phone pe uski nazar pari to woh uske chehre ko dekhti rahi kuch lamhe. Kese ho sakta tha ke woh kisi gair ke bacho ke liye is kadar khayal aur jazbaat rakhta tha?
Use kon batata ke woh uska bhi utna hi khoon the jitna Eyila ke. Woh use bhi utne hi pyare the jitna Eyila ko.
"To Mrs Zalaan kya aap mujhe apni biwi ko bahir le ke jaane ka sharf den gi?"
Woh uski taraf jhukta hua kadre achey mood me bola to Eyila muskura di.
"Kahan bahir Mr Zalaan?"
"Ek party hai business related hai but still achi party hai pehle irada tha bacho ke saath waqt guzarun but ab agar woh nahin hain to chalo gi?"
Woh bola to Eyila ne kuch ulajh ke use dekha.
"Lekin main aur party? Tumhe pata hai main kabhi nahi gayi Zalaan"
"Pehle bhi kaha tha tumne aur nahi le ke gaya tha ab to chalo?"
Woh Zalaan ko dekh ke kuch bolne lagi phir ruk gayi. Use jese kuch yaad aaya tha.
"Zalaan? Ek baat batao ge?"
"Haan sab bataun ga agar tum taiyar hone jao gi!"
Eyila ne use ghoora tha.
YOU ARE READING
Marham e ishq
RomanceZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...