"Intezaar, izhaar, ibaadat sab kiya maine, tumhe kya bataun tumse kitna ishq kiya maine..."
-unknown
______
Gari me bethe ek gehri khamoshi chayi hui thi jise woh chahte hue bhi tor nahi paa raha tha. Woh chahta tha ke apne saath bethi us larki ko khench ke khud se lagaye aur khud me kahin chupa le aur usse har ek galati aur jhoot ki maafi maang le lekin uske ehsas e nadamat ne usse yeh himmat bhi cheen rakhi thi.
Woh to kisi se bhi darne wala na tha magar is larki ke aage to woh kabhi humesha wala Zalaan raha hi nahi tha to aaj kese rehta?
Sar ko seat ki back ke saath lagae ankhe bheenche woh gehri thakawat me nazar aati thi. Maathe pe aaye zakahm ke upar ab ek bandaid lagi hui thi. Woh ab tak hospital ki parking me khare the.
"Eyila main...main tumse.."
Eyila ne uski awaaz pe sar usi tarah seat ki back se lagaye ankhe khol ke uski taraf halka sa sar mora tha. Uski ankhe is kadar khaali aur thaki hui thi ke Zalaan uski ankho me dekhte hi apne agle lafz na adaa kar saka tha.
Woh kasoor waar tha. Is sab ka. Uski un khaali ankho ka aur uske maathe pe aaye us zakham har ek cheez ka.
"I'm sorry..!"
Zalaan ne uski ankho me ankhe daale dheemi gehri awaaz me kaha tha. Eyila ke tassuraat usi tarah khaali rahe the. Woh khamoshi se uske chehre ko takti rahi thi.
"Jaanta hun mera ek sorry tumhare dukhon ka azaala nahi kar sakta tumhare dil me mere khilaaf aaye jazbaaton ko bhi badal nahi sakta magar bas yeh jaan lena ke meri wajah se tumhe aayi koi takleef kabhi mere jaan te boojte nahi thi. Tum woh akhri insaan ho jise main kabhi koi takleef dene ka sochun bhi."
Zalaan bolta chala gaya tha. Magar jab woh thera to usne Eyila ki ankho me dubara nahi dekha tha. Jese dar ho ke woh use sach me uske naa kehne bawajood use apne saath le jae ga jahan woh uske paas rahe uske kareeb.
"Mujhe lagta tha ke main tumse itni muhabbat karta hun ke tumhare liye poori duniya ko aag laga sakta hun. Ke mujhse ziyada muhabbat tumse koi nahi kar sakta magar maine yeh to socha hi nahi ke main tumhare kabil hoon bhi ke nahi?"
Zalaan ki ankh ki nami ne uski ankh ke kone ko nam kiya tha magar ab bhi usne Eyila ko na dekha tha.
"Shayad sach to yeh tha ke apni is khoufnaak haqeeqat se bhaagte bhaagte main khud ise bhool hi gaya tha..ke meri haqeeqat kis kadar bhayanak hai.."
Zalaan ne bohat mushkil se nazre uski taraf morin thin jisme uski duniya basti thi jo uske andhere me uski roshni ki taraf jaata wahid raasta thi.
Uska sar jhuka hua tha aur goud me rakhe haath pe musalsal ansuon ke katre gir rahe the jise dekhte hi Zalaan ne ankhe morin thi. Eyila ke ansu uspee aaj bhi wohi asar rakhte the jo pehle din the.
"Bohat dhoke khayen hain maine Zalaan...tum jab meri zindagi me aaye to main khud bohat heran thi ke mujhme ab bhi kisi pe bharosa karne ki salahiyat baaki thi..aur jab tumse muhabbat hui to laga maazi ke har dukh ka azala ho gaya hai..mujhe sab mil gaya tha.."
Eyila ki kamzor awaaz uske dil ke woh hisse kar gayi thi jo usne kabhi soche bhi nahi the ke mumkin the.
"Magar phir pata chala sab jhoot tha...sab fareb tha Zalaan? Ab tak milne wale dhoko me kisi ne bhi mujhse muhabbat ka daawa nahi kiya tha...ab mujhme khud pe bharosa karne ki salahiyat nahi bachi hai main tumpe kese karun..?"
Zalaan ke gaal pe ansu gira tha jisne bohat dheere se uski ankh se gaal ka faasla teh kiye tha. Unhe us shaks ki ankhse behne ki aadat na thi magar us larki ke liye woh rone ko girgirane ko taiyar tha.
YOU ARE READING
Marham e ishq
RomantiekZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...