"Hamish mujhe kamra saaf chahiye 10 minute me nahi to no ice cream!"
Woh kitchen me piyaaz kaat ke ek side pe rakhti hui unchi awaaz me boli thi aur apne kamre me betha Hamish wahin se bola.
"Eyiya maine nahi Hami ne ganda kiya tha kamra!"
"Hamish Hamia tab se Oma ke paas hai woh kese ganda kare gi kamra?"
Eyila ne ankhe ghuma ke kaha to Hamish ne wahin naak sukherke maathe pe haath mara aur chalta hua bahir aaya kitchen me uske samne khare ho ke use ankhe jhapakte hue dekhne laga.
"Jis tarah bhi dekh lo mujhe Hamish kamra main nahi saaf karun gi!"
"Eyiya lekin mere sar me dard hai"
Eyila ne gardan ghuma ke use dekha aur phir besakhta has di.
"Lekin bacho ke sar me dard nahi hota"
Hamish sun ke kuch pareshan hua aur sochon me apni masoom ankhe idhar udhar ghumayin aur phir kuch sochna chaha jispe Eyila phir has pari. Woh aksar kaha karti thi ke uska sar dard hai aur bachey shor mat daalen aur bachey to apne maa baap se hi cheezen seekhte the.
"Le..lekin Eyiya.. mera to ho raha he main bacha nahi hun na"
Eyila ne muskurahat chehre pe chupae hue haath saaf karti uske paas aayi aur uske baalo me haath pherke uske sar ko chuma.
"Haan mera Hamish to big boy hai haina?"
USne kaha to Hamish ne fakhar ke saath seena chora kiya aur bola.
"Yess! Main aapka aur Hami ka khayal rakhun ga jese sab ke papa rakhte hain! Agar aap ko koi tang kare to main lar bhi sakta hun!"
Usne ape chote chote mutthion ko hawa me chalaya aur bola tha jispe Eyila ki hasi hawa me gunji thi.
"Eyiya aap ko pata hai school me bhi us din Hami ko ek larke ne tang kiya tha to maine use rouka tha aur Hami ko chup karwaya tha"
Woh jazbaati sa bola tha aur jab Eyila ke chehre ke tassuraat badle to jese use yaad aaya shayad yeh use nahi batana tha.
"Kya matlab Hamish?"
"um..woh"
"Hamish, no secrets right? Kya Hamia ko humesha tang karte hain bachey?"
Woh boli to Hamish ne kuch sochte hue zuban kholi.
"Humesha to nahi Eyiya lekin kabhi kabar jab class me woh kuch galat keh deti hai ya jab usse koi galati ho jati hai to some kids make fun of her.."
Woh bola tha aur Eyila phir thora pareshan hui thi.
"But Eyiya main khayal karta hun Hami ka humesha..!"
Woh jese apni Eyiya ki pareshani dur karne ke liye foran bola tha aur uska haath apne chote se haath me thaam liya.
"Eyiya ki jaan ho aap. pata hai na aap ko?"
Woh uske samne jhuk ke boli thi aur uske gaal ko chuma tha.
"Aap jao Hami ko kaho Khana banne wala hai wapis aa jaye aur Oma ko bhi bula lena"
Usne use kaha to Hamish sar hila ke bahir ki taraf bhaga jab darwaze pe knock hua tha aur Eyila bahir gayi jahan uska koi letter tha jo usne postman se sign kar ke pakar liya. Jab letter dekha to ek lamhe ko uski sans halak me atak gayi thi. Letter court ki taraf se tha.
Kampte haatho se jab letter khola to ek bejan saans nikli thi. Uska dar sach hua tha.
"Ya Allah..."
Woh wahin zameen pe beth si gayi thi jab darwaze me se bachey aur oma andar aaye jo use wahan dekh ke pareshan ho chuke the.

YOU ARE READING
Marham e ishq
RomanceZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...