Chapter 12

276 24 5
                                    


Kamre me apne bed pe sar neechey pehnke woh najane kab se wahan bethi hui thi. Kisi se kisi kisam ki madad nahi maangi thi usne naa hi kisi se koi shikwa kiya tha usne. Woh to humesha ke tarah bas khamosh thi.

Na use kabhi kisi ne shikwa karne ka haq diya tha na kisi ne kabhi usse yeh pucha tha ke woh kesi thi. Jo puchti thi woh ab wahan nahi thi.

Aaj bhi baap ke diye gaye hukam pe woh kuch na bol payi koi shikwa na kar payi. Uski maa tak ne uska saath na diya tha woh aur kisi se kya kehti?

"Tumhari shadi hai kuch din me sab teh ho gaya he."

"Lekin baba main to abhi par-"

Woh apne difa ke liye boli thi magar uski awaaz ko wahin daba diya gaya.

"Koi bakwas nahi sunni mujhe. Ek ko azaadi dene ka nateeja dekh liya hai. Aur waise bhi bohat mushkil se raazi kiya hai maine Safa ki jagah tumhari shadi ke liye ab ek ehsaan karo aur apne mu ko tala lagao. Kuch to wazan kam ho!"

Apne baap ki talkhi pe woh bas wahan sakid khari reh gayi.

Woh jaanti thi woh Safa ki tarah khubsoorat nahi thi. Woh jaanti thi woh Safa ki tarah intelligent nahi thi. Woh jaanti thi jo thora bohat lagao uske maa baap ko Safa ke saath tha uske saath katan na tha.

Magar, woh bhi to unhi ka khoon thi? Woh bhi to ek beti jesa pyaar ka haq rakhti thi? Kuch na sahi woh use insaan hi samjh lete?

Lekin Eyila 18 saal ki umar tak yeh baat bohat achey se samjh gayi thi ke uske maa baap ko kam az kam usme koi dil chasbi na thi. Unki tawajjah hasil karne ke liye woh bohat achey se parti magar uske aise number na aa pate jisse uske maa baap uspe dihaan dete. Woh apna wazan kam karne ki koshish me dino tak khana khaana chor deti magar uska wazan kam naa hota aur phir ek dam khaane ki wajah se uska thora bohat kam hua wazan bhi dubara wapis bar jaata.

Woh kuch bhi kar leti uske maa baap ka fakhar woh kabhi na ban payi thi unhe kabhi khush na kar payi thi.

Shayad yeh shadi kar ke hi woh apne maa baap ko khush kar leti aur isi soch ne use kisi kisam ki muzhammat karne se kasir kar diya tha.

Kaash woh 18 saala bachi yeh baat samjh leti ke kisi ko bhi khush karne ki khatir liye gaye faisle humesha achey sabit nahi hote...

_________

Laal rang ke kaam wale jore me malboos woh bechain si sofey pe bethi samne sheeshe me nazar aate apne aqs ko dekh rahi thi.

Khud ko lakh rokne ke bawajood woh apni bari behen ko call karne se rouk na paayi thi. Aur ab jese woh yeh baat samjh ke kuch itmenaan me bhi thi ke uski behen khush thi magar woh chah kar bhi apni bechaini ko khatam nahi kar paa rahi thi.

Shayad ab koi khuwaab uska poora nahi ho sakta tha. Woh apne maa baap ke liye sirf shatranj k ek aazi ban ke reh chuki thi. Lekin kahin uske masoon dil ko yeh umeed bhi thi ke shayad uski zindagi me aane wala woh shaks khushiyan laata. Shayad woh uski dhaal banta? Shayad woh use waise hi qabool karta jesi woh thi.

"Eyila?"

Darwaza khula aur fancy kapre pehne taiyar hui uski maa andar aayi thi.

"Jee mama?"

Woh use dekhti kisi bhi tassuraat se paak chehre ke saath aa ke uske saath beth gayin.

"Jaanti hun Safa ki galti ki saza tumhe bhugatni par rahi hai magar yeh rishta tumhe kisi bhi surat nibhana hai okay?"

Apni maa ke un ilfaazon pe na woh sar haan me hila payi na unhe kuch aur keh payi bas unke chehre ko dekhti rahi.

"Aur sab se bar kar yeh yaad rakhna ke mardon ki kuch aadaten hoti hai aisi jo hume shuru me achi nahi lagti magar beta bardash karna hota hai hume. Tumhare dad ki bohat bari deal juri hai is rishte ke saath Eyila pehle hi Safa ki himakaton ki wajah se kaam kharab hota hota bacha hai agar kabhi kuch kharab hua to hum sab barbad ho jaen ge, samjh rahi ho na?"

Marham e ishqWhere stories live. Discover now