Chapter 3

362 34 8
                                    


Bacho ke shor ko sunke uski ankh khuli.
Woh dono haath istemaal kar ke seedhi hui aur kambal hata ke apne paun ko dekha aur ek gehra saans bhara.

Do din pehle hospital me card dene ke baad woh shaks chala gaya to Eyila ne uska card dekha aur pata chala ke us bhoori ankho wale shaks ka naam Zalaan Alamgir tha.

Us din hospital se nikalte hue uska bill pay ho chuka tha aur hospital ke bahir ek bari si mehengi si gaari khari hui thi jike paas khari aurat ne uska naam confirm kiya aur use andar bethne ka kaha. Woh heran si dekhti reh gayi. Usne naa ki aur khud texi dhoondne lagi magar phir us aurat ka israar tha ke uske boss ka hukam tha aur use maan na tha. Phir use pata chala ke Zalaan ne woh gari bheji thi.

Eyila ka gussa kuch thanda hua aur dard ki bhi kuch inteha thi ke woh zid chor ke beth gayi. Aur address bataya to woh aurat jo ke beyhad sweet aur khush ikhlaak thi woh use khud drive kar ke uske apartment tak le kar gayi aur poore raaste usse kuch na kuch baate karti rahi.

"Eyiya?"

Uske khayalo se use dono bacho ne nikala. Hamish choti table mushkil se uthae chalta hua uske bed/sofey ke paas aaya. Uske peechey Hamia ek plate pakre chalti aayi.

"Hamii dihaan se"

Us choti table pe usne plate rakhi to Hamish phir kitchen me bhaaga aur glass dono haatho se pakre hue chalta aaya aur us juice ke glass ko bhi table pe rakh diya. Dono bachey uske paas aaye Hamish uski goud me beth gaya aur Hamia sofey ki khali jagah pe.

"Aap ke liye breakfast! Eyiya aap ko chout lagi hai na"

Hamish bola to Eyila ne plate ko dekha jisme scrambled eggs aur chicken sausages the aur saath me kuch fruits.

"Yeh Zoe Oma ne banaya hai?"

Eyila boli to Hamia aage gui aur usne Hamish ke kaan ke kareeb sargoshi ki.

"Kaha tha na Eyiya ko pata chal jae ga!"

"Oma ne bataya ho ga!"

"Nahi Eyiya to so rahi thi? Oma kese batae gi"

Eyila dono ki saaf saaf sunayi dene wali sargoshion pe has di.

"Eyiya aap has rahi hain?"

"Sorry..!"

Eyila ne dono ko seene se lagaya aur dono ke gaal choome. Jitni bhi tension me ho woh, yeh bachey use kuch lamho ke liye sahi sab bhula dete.

"Thank you so much but aap dono ko late ho jae gi school se jaldi taiyar ho jao"

Usne kaha to woh dono has diye.

"Eyiya! Aaj Sunday hai"

"Oh main bhool gayi thi"

"Silly Eyiya!"

Eyila ne dono ko ghoora to woh dono mu pe haath rakhe hasne lage.

Is hasi ki khatir hi use kuch karna tha. Kyun ke Eyila ek baat jaanti thi agar yeh hasi kabhi bhi khatam hui to woh khud ko nahi maaf kar paye gi.

_________

"Aap yahan kya kar rahe hain?"

Eyila apne darwaze pe khare usi unche kad ke shaks ko dekh ke dekhti reh gayi. Aaj us din ke baraks uske kapre casual the. Jeans aur black shirt pehne woh uske samne khara tha.

"Aur andar kese aaye?"

"Main le kar aayi thi Eyila bichara bahir khara darwaze ko dekh raha tha"

Zoe Oma andar aati hui bolin aur table pe grocery bag rakh ke sofey pe bethi Eyila ki taraf aayin.

Marham e ishqWhere stories live. Discover now