Chapter 20

268 31 8
                                    

Woh us shaam kitni der tak us kitchen me khari kisi robot ki tarah ek cake ke baad dusra phir teesra cake banati rahi thi. Ek side pe bake hue cookies ki tray bhari pari thi ayr dusri taraf alag se brownies pare the. Woh ab bhi fresh cream ko beat kar rahi thi. Bas apne haath hilaye jaati hilaye jaati na woh ruki thi na hi apne phone pe ek bhi nazar daali thi.

Us waqt agar use koi dekh leta to use pagal hi samjhta. Woh is zehni qefiyat me thi ke ab use kuch samjh na aa raha tha. Uska phone kitni baar baj chuka tha aur use baar baar phone karne wala shaks us waqt dining table pe do bacho ke saath bethe unki baat ka jawaab waqtan fawaqtan deta aur saath hi use call milata.

"Eyiya kyun nahi aayi abhi tak Zalaan?"

Hamia ne pasta ki bite mu se khatam karte hue pucha to Zalaan ne tissue se iske mu ke aas paas lagi tomato sauce ko saaf kiya.

"Woh thora busy hain aa jaen gi abhi"

Woh bola to Hamia ne apna dihaan khane pe kiya tha aur Hamish is baar kuch sochta bola.

"Zalaan Eyiya hume chorke to nahi chali gayi na?"

Usne apni pareshani zahir ki to Zalaan ne use bagour dekha aur phir nafi me sar ko jumbish di.

"Woh kyun chor ke jaayen gi aap dono ko? Bohat pyaar karti hain woh aap dono se"

Woh bola to Hamish ka haath is dafa poori tarah ruk chuka tha.

"Lekin...mere friend ki mama ek din wapis nahi aayin thi ghar phir agle din use..use pata chala ke woh Allah tala ke paas chali gayi hain..Agar Eyiya ko bhi Allah tala ne bula liya to??"

Woh ab buri tarah pareshan tha bechain aur uski baat sunti Hamia bhi apna haath rouk chuki thi.

"Main Eyiya ke bagair nahi reh sakti..!"

Hamia nam hoti awaaz me boli to Hamish ki bhi aankhe bhar aayin aur Zalaan ki jaan pe ban aayi thi.

"Kya ho gaya he tum dono ko kahin nahi jaen gi gum dono ki Eyiya main keh raha hun na?"

Usne dono ko bari bari dekhte hue hosla diya aur phir dono ke paas jaa ke unhe khud se lagaya.

"Zalaan hai na? Eyiya ko kuch nahi ho ga ok?"

Woh bola to woh dono uski gardan me baazu hayal kiye roge rote chup ho gaye. Najane kya tha us shaks me ke uske hosla dene pe yaqeen aa jaya karta tha dil ko.

Zalaan ab sach me pareshan uth khara hua tha. Message woh bohat se chor chuka tha Eyila ke phone pe aur ab uska dimaag kuch kharaab hone ki taraf jaa raha tha. Uski location subha se bakery se bahir nahi gayi thi usne Sunny ko call milayi thi.

"2 minute me ghar ponch."

Number uthae jaane pe woh foran bola tha.

"Na koi salaam na koi dua koi adab nahi hai"

"Sunny bakwas abhi nahi Eyila se raabta nahi ho raha bacho ke paas koi hona chahiye is liye ghar ponch."

Woh uski sune bagair phone rakh ke bacho ko sulane ke liye ab unke kamre me le ke jaa raha tha.

Bamushkil 5 minute hue the jab darwaze pe dastak hui aur sunny andar jhanka.

Zalaan bahir ko aaya tha.

"Bacho ka khayal rakhna uth jaen to dekh lena"

"Maine babysitting nahi shuru ki waise"

Woh bola to Zalaan ki use kacha chaba jaane wali nazro pe usne surrender karte hue haath uthae.

"You're the boss"

Zalaan taizi se nikla tha. Gaari usne kis tarha dhorayi thi wohi jaanta tha. Bakery ke bahir ponchte Usne dashboard se apni gun nikal ke peechey ko rakhi aur bakery ke andar aa gaya tha.

Marham e ishqWhere stories live. Discover now