Najane kitne waqt tak usne use apne se laga ke rakha tha. Jese uska har dukh har dard apne andar utaar lena chahta ho.Eyila ki zaati zindagi me hue waqiye use kabhi sahi se maloom na the. Uski zubaan se uska dukh uska dard sunte use apne dil me ek gehri nafrat phelti mehsoos hui har us shaks ke liye jisne Eyila Sarfaraz ko takleef ponchayi thi.
Uske bas me hota woh sab ko ek fehrist me khara kar ke unse use ponchae dukh aur azeeyat ka badla leta. Filhal uski list me do khaas log the jinse use hisaab barabar karna tha aur is baare me Eyila ko kuch batane ka uska koi iraada na tha.
"Itni takleef kese sahi tumne..?"
Woh dheere se bola uske seene se sar lagae woh kuch lamhe khamosh rehne ke baad boli.
"Har din mar ke har din apna gala khud daba ke..."
Woh dheemi kamzor awaaz me boli thi.
"Akele gir ke khare hone ki aadat ho gayi hai ab lekin pata hai Zalaan..? Ab main thak jaati hun aksar..kabhi kabhi bohat mushkil lagta hai sab sehna"
Woh use kya batati kabhi kabar aane wale anxiety attacks use kis kadar thaka dete the.
Zalaan ne use aur kareeb kiya khud se.
"Waada karta hun Eyila ab kabhi tanha nahi raho gi tum..jab tak meri saanse hain tumhe tanhai ka samna nahi karna pare ga..."
Eyila apne taizi se dharakte dil ko sambhal hi na paa rahi thi jese. Woh uski zindagi ka pehla mard jo uski tanhai ko khatam karne uski dhaal banne khara hota. Woh kese khud lo yaqeen dila leti ke woh sach me usi ka tha. Ke woh use beech raaste me dhoka nahi de ga..?
"Aisa wada mat karo jo poora nahi kar sakte..."
"Duniya se lar jaun ga magar waada nahi torun ga."
Dimaag me waswase jo bhi kehte us waqt dil ne itna hukam diya ke uski hayal hui bahon me samayi rahe aur us lamhe ke tahaffuz ko us raat ke liye rehne de. Usne ankhe band kar li thin.
__________
Subha ko jab woh bacho ke liye nashta banane ke liye uthi aur ghari pe nazar gayi to pareshan ho gayi. Aaj uski ankh na khuli thi waqt pe.
Woh jaldi jaldi uth ke bacho ke kamre me gayi aur unhe uthana chaha to kamra khali mila woh neechey aayi to kitchen table pe bacho ko betha dekha Aur cereal khaate hue dekh ke heran hui.
"Good morning Eyiyya!"
Dono bachey use dekh ke ek saath bole. Eyila jawaban unke paas jaati boli.
"Good morning, nashta kisne diya aap dono ko?"
"Zalaan ne!"
Hamish ne kaha to Eyila ki nazre aas paas ghoomi jese use dhoond rahi ho.
"Is tarah poora naam nahi lete beta bare hain"
"To aur kya kahun eyiya?"
Hamish ne pucha to Eyila khud sochne lag gayi ke bachey use bulate bhi to kya bulate bache to khud use nickname se bulate the.
"Bataen na eyiyaa!"
Is dafa Hamia boli to Zalaan ko bahir se phone band karte aate dekha. Uski nazar uspe tiki rahi aur woh seedha aake uske samne khara ho gaya. Usse nazre hataye bagair bacho se pucha.
"Kya batana hai eyiya ne?"
Eyila uski gehri andar tak garti nigahon se khud hi nazre chura gayi.
Woh kahan dekh saki thi uske nazre hatane pe uska zehre lab muskura dena.

YOU ARE READING
Marham e ishq
RomanceZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...