Chapter 26

305 34 8
                                    


Please comment and leave some feedback🥺🤎

—————

Hospital ke corridor me chalte un  dono ke kadam taizi ikhtiyar kiye hue the. Dono ke chehre pe wazeh pareshani aur gabrahat thi. Eyila ki ankhe khouf ke saath nam thin aur Zalaan ki zabt se surkh.

"Kahan hai Hamia??"

Corridor ke ek kone me khare Sunny ko dekh ke Zalaan foran uske samne aa khara hua aur usse pehle Eyila ne Sunny se jaldi se Hamia ke mutallik pucha.

"Doctor use dekh raha hai uske baazu pe fracture aaya hai aur kuch choten aur.."

Fracture ka sunke Eyila ka dil jese dooba tha. Uski choti si bachi thi woh uski jaan uski takleef ki soch hi use dard de rahi thi.

"Kya hua tha"

Zalaan sard awaaz me sirf ek sawaal kiya jispe Sunny ne use sar utha ke dekha aur phir Eyila ko jese usse ijazat maang raha ho ke woh uske samne bataye ya na. Zalaan ke ankhe jhapakne pe woh bolna shuru hua.

"Mrs Zoe bacho ke saath store pe jaane ke liye niklin thi ghar se wapsi per Hamia kuch peechey chal rahi thi aur apartment ki building ki thori doori per hi ek gaari ruki usme Hamia ko uthane ki koshish ki jisko roukne ke liye Mrs Zoe foran aage bhi huin thi unhe dhakka de diya gaya aur Hamish bhi aage hue tha magar Mrs Zoe ne use thaam liya aur humare guards aas paas nahi the woh jab wahan ponche to gari aage jaari thi humne uska peecha kiya gari jab hume jhatak na saki to speed ahista ki aur dheere chalti gari se Hamia ko gira diya..."

Sunny ne us shaam hone wale kisse ko bayaan kiya jispe Eyila sar thaam ke paas deewar ke saath lag gayi. Zalaan ki surkh ankhe ab aag barsane lagi thin.

"Unka peecha kiya?"

Zalaan ki awaaz sunke Sunny ko apne andar tak sard leher si dhorti mehsoos hui thi. Ab uske peechey Adam bhi aa khara hua tha.

"Adam gaya tha"

"Jee boss warehouse tak gaya tha unme se do ko pakar liya hai"

Adam ne Zalaan ke kaan ke paas kaha taake Eyila ko na sunayi de.

Zalaan ke aur kisi rad e amal se pehle doctor bahir aaya aur bachi ke parents ka pucha jispe woh dono foran aage hue.

"K..kesi hai meri beti?"

Eyila ne foran pucha tha.

"She's fine lekin baazu ki chout ke liye hume kuch din dekhna pare ga aur kuch x rays karne hain progress dekhne ke liye agar natural healing start hoti nahi nazar aati to chota sa operation karen ge but nothing to worry about just stay with her and make sure she feels safe."

Unki baat pe Eyila ne sar ko kham kiya tha.

"Khaas tor pe apne father ka woh baar baar zikar kar rahi thi ke woh nahi the is liye use bure logon ne le ke jaane ki koshish ki I think she is very attached to you."

Doctor ne Zalaan ne mukhatib kiya aur Zalaan ko samjh na aaya ke woh agla saans bhi kese le.

"H-hum mil len?"

Zalaan ne bamushkil doctor se pucha tha jispe doctor ne haan me sar ko hila diya Zalaan aage bara aur uske peechey hi Eyila bhi gayi thi. Dono kamre ke andar dakhil hue to bed pe baazu aur sar pe pattti se jakri Hamia ko dekha jiski ankhe band thi aur dayen haath pe drip lagi hui thi aur sar dusri taraf dhalka hua tha. Us lamhe Zalaan aur Eyila dono ka seena jese kisi patthar ne ke dher ne daba diya tha. Un dono ka saans lena dushwar tha us lamhe.

Eyila ki nam ankhe poori tarah bheeg ke ab barasne lagin thi aur woh chalti hui uski baas aa bethi thi aur jhuk ke uske gaal pe haath phera.

"Mera..bachha..."

Marham e ishqWhere stories live. Discover now