Chapter 10

319 27 8
                                    

_______

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

_______

"Qabool hai"

Ek gehri saans le ke woh boli thi aur us lamhe use aise mehsoos hua jese kisi ne uska dil apni mutthi me jakar liya tha. Dil khush tha to saath hi ek bara bhaar tha dil pe jo woh bardash chahte hue bhi na kar paa rahi thi. Use aise mehsoos ho raha tha jese uska dil uspe lanat madamat kar raha ho jese uske faisle pe use galiyan de raha ho.

"Qabool hai"

Jab saath bethe shaks ke labon se nikalte ilfaaz uske kaano tak ponche to usne ankhe bheench li thin.

Masjid ke imam ne dua ke liye haath uthane ko kaha to woh ek lamhe ko sochti rahi ke kya dua maangti woh is rishte ke liye? Jo pehle hi kisi aur maksad ke liye bana gaya tha.

Woh khaali haath uthae bethi rahi thi. Na ameen labon se nikla na hi koi dua.

Jab dua ho gayi to uski nazre apne safaid jore pe rakhe haatho pe jami rahi. Woh safaid pishwas me malboos thi jiske gale pe halka sa kaam hua tha aur safaid khula dupatta tha jo uske sar pe rakha hua tha. Chehre pe halki si lipstick aur ankho me maskara aur halka sa eyeshadow aur gaalo pe blush jo ke sab usne khud nahi kiya tha uske na kehne ke bawajood usse karwaya gaya tha.

"Bohat bohat Mubarak ho Eyila! I'm so so happy for you"

Woh shafkat ke saath bolin aur Eyila ko gale lagaya to woh muskura bhi na saki. Dil is kadar zor se dharak raha tha ke use jese saans lena bhi mushkil lagne laga tha.

Jab oma usse door huin to uske peechey se aa ke woh khara hua tha aur usne ek dafa bhi ankh utha ke use nahi dekha tha. Najane dil ijaazat nahi de raha tha ya apni dil ki barti huidharkan se khouf aa raha tha use?

Jab masjid ke kone me bethe kuch logon ke saath khelte hue Hamia aur Hamish uth ke Eyila ke paas aaye to Hamish ne Eyila ka haath thaama aur Hamia ne uske beyhad nazdeek magar kuch peechey khare shaks ki taraf seeedha bhaagi jise usne goud me bhar liya.

"Ek family photo le len?"

Gawah ke tor pe aaya Sunny muskura ke phone nikalta hua bola.

"Dulha miyan mujhe ankhe mat dikhaen zara bhabi ke paas ho?"

Woh jaanta tha uski haddi pasli baad me ek hone wali thi magar woh kahan darne walo me se tha. maani khez muskurahat labon pe sajayi rakhi aur ankhe nikalte hue use poori tarah nazarandaaz kar diya.

"Zalaan tumhara dost sahi keh raha he chalo apna haath uske paas karo"

Eyila jab ankhe phaare oma ko dekhti rahi aur socha ke woh unhe mana kar de ga nahi sune ga usi lamhe use ek mazboot baazu apni kamar pe aata mehsoos hua aur jese Eyila saans lena bhool gayi. Usne beikhtiyar gardan mor ke use dekha.

Woh use hi dekh raha tha. Woh uski nazro me dekh ke aaj jese nazre churana bhool gayi.

Najane kya tha aaj un nazro me jo humesha sard hoti thi aaj woh use apne andar qaid kar gayi thin.

Marham e ishqWhere stories live. Discover now