Jis waqt uski ankh khuli use kamre me tanhai ka ehsaas hua tha. Uth ke bethti usne apne side pe khali jagah ko dekha. Zalaan ko wahan naa paa kar woh kich heran hui phir bed se nikalti paas hi sofey pe pare Zalaan ki hoodie ko uthaya aur use apni khuli si tshirt ke upar se pehen liya.Ek lamhe me Zalaan ki khushbu ne uspe hamla kiya tha usne apne chehre ko uski hoodie me halka sa chupaya aur halki muskurahat ke saath jese apni us harkat per khudi has pari.
Kamre se nikalti jab woh bahir aayi to bacho ka kamre ka bhi darwala khula hua tha aur andar koi na tha. Usne herat se kuch sochte hue apne kadam neeche ko baraye the.
Jab woh sara ghar chaan ne ke baad basement tak aayi to bacho aur Zalaan ki awaaz pe kuch sakoon mila to saath hi gerat ne use aa ghera. Basement me bane gym me Zalaan dono bacho ke samne khara tha aur dono bachey apne chote chote haatho pe boxing gloves charhae tracksuit me khare the.
Eyila besakhta sochne lagi ke itne chote boxing gloves aaye kahan se the? Phir unke samne jhuke shaks ko dekh ke usne sar jhatka tha. Zalaan ke ilawa kon tha jo unki har baat poori kar ke unhe bigarta?
"Ab Hamia ki turn hai come on!"
Zalaan ne kaha to woh excited si aage aayi aur Zalaan ne uske nanne haatho ke gloves ko sahi se band kiya aur apne haath uske aage rakh ke use kisi trainer ki tarah punch maarne ka tareeka sikhane laga aur Hamia thi jo bohat sanjeedgi se uski baat sun bhi rahi thi.
Zalaan ke kahe tareeke se usne uski mazboot mutthion pe punch maara jo pehli dafa ke hisaab se bohat acha nishane pe laga to Zalaan ne fakhfiya muskurahat se Hamia ko dekha aur muthi ko uske gloves wali nanni muthi se halka sa takraya.
"Good job!"
Hamia khilkhila ke muskurati uske gale lag gayi jise khuli si muskurahat ke saath Zalaan ne thaam liya. Eyila besakhta muskura di thi. Jo bhi tha Zalaan aur Hamia ka rishta humesha Eyila ke labon pe muskurahat saja diya karta tha. Woh unke rishte me woh sab dekhti thi jo uske bachpan me kahin bhi nahi tha.
Kehte the ke aulaad to bure se bure shaks ko bhi jaan se bhi pyari hoti hai, woh jitni bhi buri ho maa baap ke liye bohat pyari hoti hai magar use aaj tak samjh nahi aaya tha ke Sarfaraz ke dil me aisa kya tha ke woh kabhi use apna nahi paaya.
Magar woh yeh nahi jaanti thi ke duniya me do tarhan ke log hote hain ek aise jo kisi andhere ki gehrayi me jaa ke apne nafs ko apna badshah bana ke kahin ke nahi rehte Sarfaraz jese log..
Aur dusre woh jo zulm aur andhere ke beech khud ko khone ke baad bhi zindagi ki taraf wapsi ka raasta dhoond lete aur dubra se muhabbat karna seekh lete jo Zalaan Alamgir jese log the...
"Mama!"
Hamish ne yak dam use pukara to woh apni gehri sochon me se nikli thi. Zalaan jo ke ab zameen pe daraaz tha aur uske upar dono bachey bethe use gudguda rahe the usne wahin se nazre utha ke Eyila ki taraf dekha to nazro me bepannah muhabbat aur narmi thi.
Najane kya tha uski nazro me ke woh jab bhi Eyila ko dekhta tha Eyila ka dil kisi kamumar larki ki tarah dharakne lagta tha. Woh khud ko kahin uski un nigahon me qaid kar lena chahti thi..
"Hamish mama busy hain"
Zalaan ke labon pe ek manikhez muskurahat pheli thi aur dono bacho ko baazuon me utha ke woh wahin zameen pe uth betha tha.
"Busy? woh kese?"
Hamish ne apne samne khari maa ko dekh ke nasamjhi se pucha woh busy kese thi? Zalaan isse pehle jawaab deta Hamia Hamish ke kareeb hui thi.
"You know mama has crush on baba?"
Hamia ne khufiya tor pe Hamish ke kaan me kaha to Zalaan ne dilchasbi se use dekha aur Eyila ka to jese mu hi khul gaya tha.
![](https://img.wattpad.com/cover/231058077-288-k454946.jpg)
YOU ARE READING
Marham e ishq
RomanceZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...