Chapter 5

301 24 4
                                    


"Bedankt!" (Thank you!)

Woh kaafi umar ki aurat kuch pastries ka dabba uthae hue counter pe bethi Eyila ko dekh ke boli thi.

"Graag gedaan"(you're welcome)

Eyila ne muskura ke jawaab diya tha. Phir darwaze se bahir woh khatoon niklin to bahir hi khari usi ki jitni umer ki larki muskura ke unse kuch kehne lagi aur pastries la dabba unke haath se le liya aur apne stroller ke neeche woh rakh ke chalne lagi jisme ek do saal ki bachi thi.

Woh unki ek mukammal family aur teen generations ko dekh ke jese uske andar ke gehre zakhm khuradre the.

Uski zindagi me kitne aise rishte the jo uske paas na the jo kabhi use mile hi nahi the shayad.

"Eyila! Maine kitni baar kaha he tumhe mat kiya karo is tarah magar nahi, tum sab ne thaan rakhi hai mujhe maar ke choro ge!!"

"Ma..ma..maine kuch nahi-"

Woh sehmi si boli to uski maa ne bed ke neeche gire chips ke aur chocolate ke packet uthae.

"Kya he yeh?! Kya he yeh??! Phir kehti ho kuch nahi kiya!!? Apni haalat dekhi hai??"

Woh phir cheekhi thi.

"Is  tarah khaati rahi to koi nahi rahe ga tumhare paas! Koi shadi nahi kare ga koi nahi chahe ga tumhe Eyila!! Samjh kyun nahi aata tumhe!"

Woh cheekhti rahi aur woh 15 saala Eyila bas sar jhukae ankho se behte ansuon ko gaalon se girta hua mehsoos karti rahi.

Har din woh yehi sochti ke kaash woh patli hoti kaash woh bhi baaki larkiyon ki tarah hoti to uske maa baap bhi usse pyaar karte. Har din jab woh khaane ke liye bethti aur ek se dusri dafa khana daalne pe use is tarah na dekha jaata jese woh kitna bara gunah kar rahi ho.

"Rona band karo!!"

Aur woh darwaza zor se maarti wahan se jaa chuki thin.

"Eyila?"

Ek dam awaaz aane per woh chonki aur mur ke peeche khare Zalaan ko dekha.

"Aaj jaana tha na doctor pe?"

"H..haan"

Usne sar hilaya.

"Kuch hua he?"

Zalaan ne uske chehre ko gour se dekhte hue kaha tha.

"Nahi, bas kuch yaad aa gaya tha"

Woh boli aur sar jhatak ke jese sab yaadon se peecha churwana chaha.

"Main nikalti hoon aap closing ke baad chale jauye ga?"

"Main aap ke saath jaa raha hoon"

"Lekin phir yahan kon ruke ga?"

"I called Cathie woh dekh le gi"

Usne part time Eyila ki help karne wali ek lafki ka naam liya jo kabhi kabar shop pe aa jaya karti thi.

Woh use roukna chahti thi magar jab Zalaan ne uski na suni to woh bhi sar jhatak ke bag pakar ke bahir nikal pari thi.

Marham e ishqWhere stories live. Discover now