Chapter 14

295 25 7
                                    


"Eyila? Counter pe kuch customer aaye hain keh rahe hain aap se milna hai"

Eyila jo ke abhi oven me pound cake ka batter rakh ke hati thi ek dam chonki aur haath saaf karti hui boli.

"Fia yeh chocolate melt kar do main dekhti hun"

Woh 18 saala saaf rangat ki Dutch larki ne sar ko kham kiya aur andar aa gayi. Woh Eyila ki hi apartment building me rehne wali larki thi jise kabhi kabar part time job ke tor pe Eyila ke paas kaam kar liya karti. Aisi ek do teenager larkiyan thi jo Zoe Oma ke batane pe uske paas kaam kar rahi thi. Kyun ke Eyila fulltime kisi ko rakhna afford nahi kar sakti thi to in bachion ki parttime job se uski madad ho jaya karti.

Jab woh kitchen se nikal ke bahir counter pe aayi to samne khari Office ke kapro me malboos aurat ko dekh ke aage bari.

"Hi how can I help you?"

Usne naram lehje me pucha tha. Us aurat ke chehre pe ek professional si muskurahat aayi.

"Mera naam Zoya hai actually main apne boss ki behalf pe aayi hun"

Eyila ne thori herat se dekha.

"Sorry main samjhi nahi?"

"Actually kuch din pehle mere boss ki wife yahan aayi thi unho ne aap ka chocolate fudge cake khaya tha jo ke unhe bohat acha laga"

Usne muskura ke kaha aur saath hi menu aur shelf pe nazar dhorayi jese us cake ko dhoond rahi ho.

"Thank you aur agar aap woh khana chahti hain to sorry but woh humara regular menu me nahi hai us din bas try karte hue banaya tha"

Usne kaha to Zoya ne kuch socha aur boli.

"Oh actually mere boss ki beti ki birthday hai unhe yehi cake banwana tha isi liye aaj main aayi thi yaqeen maane agar yeh order aap le leti to meri Zindagi asaan ho jati otherwise pata nahi kese mujhe waisa cake dhoondna pare ga"

Us larki ki pareshan hoti shakal pe Eyila ko jese taras aaya tha. Woh normally apne cafe pe ziyada dihaan deti thi aur order pe cake ka order woh nahi leti thi magar use dekhte hue jese woh kisi faisle pe ponch ke boli.

"Main birthday cake ziyada banati nahi to decoration me koi unch neech ho sakti hai aap ko koi problem to nahi ho gi?"

Zoya kese ankhe khole use dekhti rahi phir excited ho ke ek taali maarti boli.

"Bilkul koi masla nahi hai!! Oh my god aap ko pata nahi aap ne mera itna lamba kaam kitna asaan kar diya hai!"

Eyila use dekh ke muskura di aur ab usse details likhwane lagi. Kitna bara cake chahiye tha decoration kese chahiye thi kitne saal ki bachi ka cake tha aur kab chahiye tha. Woh sab likh ke jab pen rakh ke seedhi hui to Zoya se phir mukhatib hui.

"Aap kuch len gi?"

Zoya ne jese shelf pe pari mazey ki meethi cheezo pe nazre dhorayi aut phir apne pait se aati awaaz pr kuch sharminda hui.

"Cream cheese Brownies aaj achey bane hain"

Eyila boli to Zoya ne muskurahat daba le use ek brownie aur espresso ka order diya aur apna order le ke counter table pe jaa bethi.

Eyila Fia ko bulati wapis anadar jaane lagi to Zoya ki awaaz pe thami.

"Oh god!! Ab samjh aa rahi hai bosss ne mera sar kyun khaya hua tha this is so good!"

Woh Eyila ko dekhti boli to Eyila ne muskura ke thank you kaha aur andar chali gayi.

Zoya apna phone nikal ke ab tasveeren banane lagi thi aur saath hi mu khole khaye jaa rahi thi.

Marham e ishqWhere stories live. Discover now