Jab subha ki kiran khirkion ke zariye andar aana shuru hui to raat se le ke tab tak wahin bethi hui Eyila ke kadam apni jagah se uthe aur woh bathroom me jaa ke apne chehre pe paani daalti sheeshe me apne aqs ko dekhne lagi. Magar woh apne aqs tak ko kuch lamho se ziyada na dekh payi thi aur khud se hi nazar oujhal karti hui woh bathroom se bahir nikal chuki thi. Zindagi ki talkhi jese use apne chehre se tapakti hui nazar aa rahi thi aur is talkhi se woh nazre milane ka hosla us lamhe nahi rakhti thi.Jab tak woh kapre tabdeel kar ke apni white pant ke upar khuli si light blue shirt pehne baalo ko hasb e mamool dheele joore ke tor pe bande kisi bhi makeup se saaf chehre ke saath bahir aayi to Hamia apne kamre se bahir nikal rahi thi jispe Eyila ki nazar pari aur kitchen me jaate hue woh aise ho chuki thi jese sab kuch pehle jesa tha aur kuch hua hi na tha.
Shayad yeh Eyila ka ek woh hunar tha jo zindagi use itne saalo me sikha gayi thi.
"Good mornig Eyiya"
"Good morning Eyiya ki jaan"
Usne naram lehje me kaha magar chahte hue bhi muskura na payi aur frypan nikalti hui woh fridge ki taraf barne lagi thi. Jise kholne ke baad usne apna maatha thaam liya. Woh apni pareshanion me groceries laana hi bhool chuki thi aur us waqt ghar me dood ande kuch bhi mojood na tha aur woh jaanti thi bachey subha kuch bhi bhari na khaate the.
"Eyiya bhook lag rahi haii"
Hamia apni neend ke zehre asar hi jamayi leti hui dheemi awaaz me boli to Eyila ne apne mathe ko chora aur fridge band karte hue boli.
"Hami aaj bahir breakfast karen hum?"
Hamia ki neend jese uri thi aur usne ankhe khol ke Eyila ko dekha tha.
"Sachi Eyiya?! Mujhe woh new pancake wali shop pe jaana hai!"
Hamia excited ho ke boli aur aake Eyila ki tango ke saath lag gayi to Eyila ne apne chehre pe muskurahat laayi aur uske gaal ko jhuk ke chuma aur boli.
"Hamish ko uthao jaa ke aur agar woh bhi kehta hai to wahi chalen ge"
Eyila amooman ghar pe hi khana banaya karti thi kyun ke bahir jaana mehenga para karta tha aur woh fazool kharchi kahan aford kar sakti thi. Lekin bacho ki yeh khuwaishen poori karna bhi use acha lagta tha jo ke woh us hisaab se kar nahi paati thi jis tarah woh karna chahti thi.
Hamia ke jaate hi uske chehre ki muskurahat ek lamhe me gayab hui thi aur jese use ehsaas hua tha ke shayad use koi fesla lene ki zaroorat thi. Koi aisa faisla jisse woh apne bacho ki zindagi ko behtar bana sakti jisse woh unke sar pe mandlate un saayo ko jhutlaa paati.
Ab faisla use apne liye nahi un dono ke liye karna tha jo uske liye uski apni zaat se kahin bhar ke ehem the. Jinki hifazat ka wada usne kiya tha.
___________
Sabiha begam ek bohat samjhdaar aur door ki nazar rakhne wali aurat thin jinho ne shohar ke naa hote hue bhi bohat mehnat se apne bacho ko paala tha. Unki nazro se apne bete ki bechaini chupi na rahi thi. Woh bohat achey se jaanti thi ke unka woh beta jo maa ki dua aur salaam ke bagair ghar se bahir kadam na rakhta tha woh is tarah unhe salaam kiye bagair apne kamre me nahi jaa sakta tha aur agar aisa hua tha to uske peechey koi na koi wajah thi.
Woh jab seeriyan charti hui upar aayin aur samne wale kamre ka band darwaza khola to Hamdaan ko bed pe ondhe muh lete hue dekha to woh uske paas aa bethi aur jab Hamdaan ko maa ki aamad mehsoos hui to woh uth ke betha. Wardi change ab tak nahi ki thi aur chehre pe gehri thakawat saaf zahir thi.
YOU ARE READING
Marham e ishq
RomanceZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...