Chapter 18

254 30 18
                                    

Us bare se office me tang pe tang rakhe najane kitne mard bethe hue the. Magar unme ek shaks jo seena chore kiye betha tha woh apne rawaiyye se saaf zahir karwa raha tha ke woh ohde me un sab se upar tha. Woh un sab ko kaabu me rakhe hue tha.

"Boss mil gaya hai woh."

Labon pe gaye cigar ko door karte us shaks ne apni dayin taraf bethe adher umar bande ko dekha.

"Aap hukam karen to use aap ke paas le aaen?"

Ek gehri khamoshi ke baad Sajid Aleem ne jawaban lab khole.

"Nahi, bohat se hisaab hai abhi aur badla itni asaani se nahi liya jaye ga. Pehle asaan mout di thi maine us police wale ko ab asaan mout nahi mile gi, uske har pyare ko uski ankho ke samne khatam karun ga aur phir uspe aaun ga."

Woh sard ankho se kahin door dekhta hua purani soch me khoya hua bola. Bohat se hisaab the jo chukane the. Use ab woh galatiyan nahi dhorani thi.

__________

Gehri khamoshi ke beech me cheekhen goonjti chali gayi thi.

Woh ghoom ke khoon me latpat us nidhal pare shaks ke samne aaya. Halka sa jhuka aur us shaks ki aadhi band ankho me dekhta hua bola.

"Galti ki gunjaish nahi hoti humare kaam me lekin tumhe yeh baat samjh nahi aayi."

Berehmi us shaks ke har kone se risti thi aur uski ankho ka jaanwar dekhne wale ki jaan atka deta.

Woh is baar uthta peechey mura aur lakri ki kursi per pare alag alag kisam ke chakuon me se ek ko uthaya uske kone se nouk tak ko gour se dekhta mura. Khoon me lat pat shaks khouf se har barane laga.

"M..mujhe..chor..d-do! N-nahi..n-nnahi please..!"

Aur woh berehem shaks zehre lab muskuraya aur chalta aaya aur phir unchi awaaz me hasne laga. Agar koi use dekhta ya sunta to us hasi se khouf ke ilawa kuch na aa ta.

"Rehem ki bheek maangne ka kya faida ab? Duniya rehem nahi karti yaad hai saalo pehle tu ne bhi isi tarah meri rehem ki bheek ko rad kiya tha?"

Chaaku ki nouk uske gaal ko uthane ke andaaz me khuboi gayi aur us shaks ki cheekh poore warehouse me goonj gayi.

"Isi tarah cheekha tha main bhi main to tab bacha tha tujhe ek bachey pe rehem na aaya"

Is baar chaaku uski tang me poori koowat se maara aur wahan se khoon ek dam se nikal ne laga. Woh shaks cheekhne laga aise cheekhne laga jese kisi ki jaan nikalne se pehle woh cheekhta ho. Chaaku ko is baar poori koowat se andar hi ghoma diya gaya.

"Aur teri berehmi ne mujhe janwar bana diya"

Sard awaaz us marte shaks ki samahat se takrane wali shayad akhri awaaz thi.

Woh kam umar larka kahin se larka na lagta tha woh ek behrehmi si unchayi pe khara mard tha jiski zindagi us mare shaks jese kahin logon ne aaj jesi thi waisi ki thi.

Woh uthta hua haath ponchta wahan se bahir ko nikal ne laga tha aur bahir darwaze pe khare bande ko andar ki safai ka hukam deta woh ab ek number apne phone pe mila raha tha.

Kon use dekh ke kehta woh sirf 25 saal ka larka tha. Zindagi ki talkhi ne use kya se kya bana diya tha.

"Pata laga kisne kiya hai?"

Aage se aane wale jawab pe usne ek gaali mu me hi di thi aur gari ko aur taizi se bhagane laga tha. Phone woh rakh chuka tha aur ab apne phat te hue sar ki ragon ko sakoon me karna chaha. Maathe ko masla aur naak se ek gehri saans li lekin kuch bhi us waqt kaam na kar raha tha.

Marham e ishqWhere stories live. Discover now