Comment please!🤍______
Us bare se ghar me nokaron ki ek alag chehel pehel thi. Wahan ghar ke makeeno se ziyada tadaad ghar ke mulazimo ki thi aur aise gharo ko ghar kon keh sakta tha? Woh to sirf bangle hote the.
Agar usi ghar ke bare se shandaar lounge me aaya jaata to wahan Sajid Aleem haath me cigar liye apne PA ki baat sunta nazar aa raha tha.
"Sir maine Aliya bibi ka schedule confirm kiya hai waise to woh free ho chuki hain lekin woh wapis aane ko taiyar nahi hain abhi."
Sajid Aleem ke chehre pe ek rang aake guzra tha. Beech me guzarne wala woh takleef ki leher shadeed thi.
"Mera phone kyun nahi uthati?"
Sard awaaz ne pucha. Samne khara PA ek second ko hichkichaya.
"Woh..sir aaj bhi aap ko hi zimedaar samjhti hain Bilal sahab ka.."
Yeh woh jumla tha jo woh jaanta tha bohat baar sun chuka tha lekin har kuch arse baad jese woh yeh baat khud ko yaad dilate rehna chahta tha.
"Jao tum aur Hassan se pucho kaam hua ke nahi."
PA adab ke saath sar jhukata wahan se jaa chuka tha. Peechey bacha to Sajid Aleem aur uski nafrat aur badle ki aag.
Saalo pehle unke peechey parne wale DSP aur uske case ne unka bohat nuksan kiya tha unki saak ko farak para tha unhe maali nuksan hua tha lekin sab se bara nuksan DSP ki mout ke baad hua tha aur woh thi Bilal Sajid Aleem ki mout.
Hamdaan ke dhoonde hue saboot aur gawah Sajid Aleem ne bari maharat ke saath gayab kiye the lekin woh ek kabil aur hoshiyaar dushman sabit hua is baar dhoonde gaye gawah saboot ki rakhwali usne is tarah ki ke Sajid ko maloom na hua. Sajid ne Hamdaan ki zaati zindagi aur ghar walo pr hamla kiya jo ke is baar kamiyaab waar sabit hua tha.
Hamdaan kuch dino ke liye ruk gaya aur Sajid ko is khushfehmi me daal gaya ke woh peechey hat raha tha magar woh ek imaandaar aur zimedaar officer tha. Usne apne ghar walo ko mehfooz kiya aur phir case ko wahin se shuru kiya jahan rouka tha. Sajid ko court me jaata case sangeen nazar aana shuru hua to is baar uski chaal sakht aur hatmi thi. Hamdaan Ali ki mout hi uski mushkilon ka hal tha. woh baki sab ko khareed sakta tha bas use ek dafa raaste se hatana tha aur Sajid Aleem ne yehi kiya tha.
Hamdaan ke marne ki mout ke baad ek bohat bara protest logon ne social media pe shuru kiya aur yeh protest woh kar gaye jo aur koi na kar paya. Sajid Aleem aur uske ghar walo pe personal attacks hona shuru ho gaye aur akhri waar tab hua jab Sajid ke ik lote bete Bilal Aleem ki mangetar aur uski muhabbat ne use usi case ki wajah se chora. Hamdaan ke haq me hone wale protest ki wajah se woh use chor gayi.
Bilal ne is sab ka zimedar apne baap ko theraya tha aur jab woh use na mana paya to ek dil nashe ki dhun me woh khud ek pool me gir ke doob ke mar gaya aur koi use bacha na paaya. Use khudkushi ka naam diya gaya. Lekin Sajid Aleem ne ise bhi Hamdaan ke khaate me daala aur is baar dhoond ke uski biwi ka qatal kar diya. Safa Hamdaan apne shohar ki nakarda gunah ka khamyaza bharti is duniya se chali gayi thi. Lekin Sajid Aleem ki aziyat na khatam hui thi na uski badle ki aag bhuji thi.
Woh ab bhi apna badla chahta tha. Woh ab bhi Hamdaan ke bacho ki talash me tha aur kitni dafa uske bachey uske hath aate aate bach jaate. Woh bachey aise kisi hifazat me the jese kisi ne unke aage ek saaya kiya ho. Ek andekha muhafiz tha un bacho ka jo use un tak jaane nahi de raha tha.
Magar ab woh muhafiz aur bachey sab use mil chuke the. Ab akhri waar ki taiyari karne ka waqt shuru ho chuka tha.
________
![](https://img.wattpad.com/cover/231058077-288-k454946.jpg)
YOU ARE READING
Marham e ishq
RomanceZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...