Chapter 16

290 31 22
                                    


Airport se ghar ka safar najane usne kaise teh kiya tha. Rote hue chote chote bachey aur dono bacho ko thaame uske liye safar na zehni tor per asaan tha na jismani tor per.

Apne ghar ke bahir taxi se nikalte hue uske dil pe najane kitna bouj tha. Baby carrier ke saath dono bacho ko aage aur peechey daale hue thi aur dono sakoon se so chuke the. Aise jese apni maa pe aate tufaan se waqif hi na hon.

Safa ne bell bajayi to darwaza Sarfaraz sahab ne khola. Apni bari beti ko dekh ke woh dekhte reh gaye chote do bacho ke saath khari woh larki jese unki pehchan me hi nahi aayi thi. Kon thi woh..?

Woh darwaze se kuch side pe hue jese use raasta diya ho. Ek lafz na bole na usne kuch kaha. Na salaam na dua kuch na tha unke beech.

Andar aate hi usne apni maa ko samne khara paaya. Rabia ne bhi apni beti ko najane kitne saalo baad dekha tha. Parne ke liye bheji beti ko aaj do bacho ke saath dekh ke unki ankho se ansu girne lage woh andar wapis kamre me chali gayin.

Safa ke samne dubara Sarfaraz sahab aa khare hue.

Woh najane kab tak unke chehre ko dekhti rahi phir sar ko jhuka liya. Ankhe ek lamhe me bhar aayi aur ansuon ko jese chupana chaha.

"Chor diya tumhare shohar ne?"

Sakht aur bhaari berehmi se bhari awaaz uske samaat se takrayi. Ek lamhe ko aati dil ki umeed tor di gayi thi us ek baat se. Usne beyaqeeni se chehra utha ke apne baap ko dekha.

"Tab meri sun leti aaj is haal me na hoti Safa"

"Dad Hamdaan ne mujhe nahi chora usne aap ko call bhi ki thi"

"Jis mushkil me woh daal chuka hai tumhe aur khud ko ab kya lagta hai tumhe wapis aa jaye ga? Bach jaye ga woh?"

"Please dad aisa mat kahen..sirf shohar nahi hai woh mera mere bacho ka baap hai..!"

"Usi tumhare shohar ne meri minnaten ki thi ke uski aulaad ko apne ghar panah de dun woh do kori ka sarkari mulazim akhir ko minnaton ke ilawa kya kar saka? Kuch nahi! Tumhe kya diya usne? Kuch bhi nahi! Agar apne maa baap ki izzat rakhti tum aaj ek mehel jese ghar aur ek achi hesiyat ke shaks ki biwi hoti raaj karti!"

"Mera shohar sarkari mulazim sahi lekin kisi bhi achi hesiyat ke aadmi se hazaar baar behtar hai! Aap kehte hain usne mujhe kuch nahi diya? Usne mujhe woh diya hai jo na aap ne kabhi mama ko diya naa aap ke us ache hesiyat ke logon ne apni auraton ko diya, izzat muhabbat aur ehtemaad..!"

Woh aaj bhi khamosh hone wali nahi thi baat uski muhabbat pe aayi thi uske shohar pe woh kese khamosh rehti?

"Mere aage ab bhi zubaan chalate hue sharam nahi aayi tumhe?!"

Unka haath utha tha aur uske gaal pe jaa laga. Woh larkhara pari agar deewar ka sahara na hota shayad woh zameen pe jaa girti. Sarfaraz usi lamhe wahan se chala gaya aur Safa apna gaal thame zameen per gir gayi.

Uski beti ki ankh khul gayi thi aur usne uska maatha choomte use chup karwane ki koshish ki woh to kuch der baad chup ho gayi lekin use chup karwane wala aaj uske paas na tha.

Woh choti si Hamia ko thaame najane kab tak roti rahi. Uske paas aaj koi thikana na tha. Woh use yaad karke roti rahi jo uske liye uski dhaal tha.

Raat ke waqt jab uska phone baja to usne lapak ke call attend ki thi.

"Hamdaan..!"

Marham e ishqWhere stories live. Discover now