Apni office building ki chat pe najane woh kitne waqt se khara kahin door sheher ki maddham parti roshniyon ko dekh raha tha. Woh maddham parti roshniyan jese us lamhe use apne dil aur ruh jesi lag rahin thi. Woh bhi in kuch mah me kese jeene laga tha raat ki roshniyon ki tarah jagmagane laga tha magar gehri hoti raat ke saath maddham parti roshniyon ki manind woh bhi ab bujhne laga tha.Uske peechey se sustravi se aata Sunny uski pusht ko dekh ke kuch der ko ruka tha phir chalta hua usse kuch fasle pe uske saath khara ho gaya. Woh use itne saalo se jaanta tha aur aaj usne sahi maano me Zalaan ko thaka thaka sa dekha tha.
"Theek ho tum?"
Uski dheemi awaaz ne Zalaan se pucha to woh waise hi door kahin dekhta bola.
"Pata nahi."
Uske jawaab pe Sunny ne ek gehri saans li.
"Eyila ko tumhara yaqeen karna chahiye tha."
Woh khud nahi jaanta tha woh yeh baat kyun kar raha tha. Bas yeh pata tha uske dost ko kisi ki zaroorat thi is waqt.
"Aaj subha tak mujhe bhi aise hi lag raha tha ke use mera yaqeen karna chahiye tha magar ab soch raha hun ke kyun karti woh mera yaqeen? Maine usse sab to chupaya tha?"
Woh dheemi awaaz me bolta gaya tha.
"Kisi wajah se chupaya tha tumne jaanke nahi kiya tha kuch. Tumne uske liye kiya bhi to itna kuch hai?"
Sunny ne uska difaa kiya.
"Koi ehsaan nahi kiya. Jo kiya khud kiya aur kam kiya.."
"Woh tumhari poori baat sune bagair saza de de gi to tum woh bhi qabool kar lo ge kya?"
"Muhabbat bohat ajeeb cheez hai..woh mujhe bagair wajah ke saza e mout bhi de de woh bhi qabool kar lun ga."
Sunny kitni der beyaqeeni se use dekhta raha.
"Aisi andhi muhabbat se to Allah bachaye"
Sunny ne sar jhatak ke Zalaan se nazre hatayin. Jese uski bewakufi pe afsous kar raha ho magar phir use kon batata koi ke jo log poori zindagi muhabbat se darte rehte hain jab woh muhabbat karte hain to ishq ka janoon sar pe baandh ke apni poori kainaat lutane ke iraade se karte hain. Zalaan Alamgir bhi unhi me se ek tha.
________
Uski aankh tab khuli thi jis waqt usne apne chehre pe un nanne haathon ka lams mehsoos kiya tha. Usne samne ek zeene neechey khare Hamish ko dekha jo bohat pareshan sa use dekh raha tha.
"Eyiya? Aap theek hai..?"
Woh kam umar bacha bara nahi tha baro ki baate nahi samjh sakta tha magar woh us aurat ki takleef to uske chehre se par hi sakta tha jis use maa aur baap ban ke 6 saal paala tha.
"Aap itni jaldi uth gaye?"
Eyila ne uske haath ko thaam ke apne labon se laga ke dheere se pucha tha. Woh khud nahi jaanti thi ke woh theek thi ya nahi woh us bachey ko kya batati? Woh us bachey ko kaise batati ke uski zindagi me uthayi sab takleefo pe woh ek raat use bhaari pari thi.
"Aaj Baba ne kaha tha ke hume amusement park le ke jaen ge aaj sunday haina?"
Usne khush ho ke pucha.
"Baba kahan hain? Woh kamre me bhi nahi the na study me?"
Uske aur sawaal pe na chahte hue bhi Eyila ke tassuraat sakht hue the.
"Main aap ko le jaun gi jahan aap kaho ge magar abhi aap jo Eyiya kahen gi woh karo ge?"
Uske sawaal pe Hamish kuch kehne laga magar Eyila ne uski baat kaati.
YOU ARE READING
Marham e ishq
RomanceZalaan Alamgir & Eyila Sarfaraz Eyila was alone she always had been alone but one day her fate decided to bump her into someone who could hold her hand and make her believe she was not alone anymore but that was not everything that was waiting for...