𝔸𝕟𝕦𝕓𝕙𝕒𝕧 𝕁𝕚𝕚 💜

612 68 53
                                    


"Chalo yeh ho gaya" karishma said setting the table for dinner.

"Abhi tak aai kyu nahi yeh. Dupehar mein call kiya tha to keh rahi thi jaldi free ho jaegi" she thought to herself and picked up her phone.

"Itne missed call. Uncle ke" karishma looked at the calls haseena's father had made to her, she immediately called him back.

"Hello uncle, namaste. So sorry vo phone shayad silent pe tha" she said.

"Beta haseena phone nahi utha rahi hai. Tumko pata hai kya vo kaha hai" he asked.

"Meri baat to dupehar mein hui thi, tab keh rahi thi jaldi aa jaongi. Par abhi tak aai nahi hai" karishma said.

"Tum lucknow mein ho" he asked.

"Jii uncle."karishma replied.

"Acha hum log bhi aa rahe. Haseena ko dundne, kal uski mummy aur uski kuch behas ho gayi thi. Aaj subah main usse yehi bolne ke liye phone kiya tha ki main avinash ke ghar vaalo ko mana kar diya agar usse pasand nahi hai to. Par usne phone hi nahi uthaya." He said.

"Acha uncle, aap log aa jaeiye. Tab tak mai uske office pahucti hone." Karishma said and disconnected the call.

She quickly took her purse and left. Standing in front of the lift, she was hell scared for her best friend. Almost on the verge of crying, continuously calling her.

"Are karishma ji" Anubhav who was in the lift said.

Karishma smiled at him.

"Kya hua aap pareshan lag rahi hai. Sab thik to hai" he asked.

"Vo haseena phone nahi utha rahi hai. Na mera na apne papa ka, mai uske office jaa rahi hone" karishma said.

"Kya haseena ji phone nahi utha rahi. Ek min, hum bhi chalte hai apke sath" he said.

"Are nahi, aap abhi abhi aaye hai.

"Karishma ji, hum sath chalte hai sahayta ho jaegi" he said and closed the lift door as karishma came inside.

"Kaha chalna hai" he asked ingniting his car engine.

"Police headquarters" karishma said.

"Par esa kya hua jo haseena ji phone nahi utha rahi" anubhav asked.

"Vo.." karishma was hesitant in telling him.

"Thik hai agar aap batane mein sahaj nahi hai to" anubhav replied. He was looking tensed driving as fast as he could.

"Vo..uski aur aunty ka jagra hua tha subah. Isly shayad vo sad thi, main din mein call karke baat karne ki kosis ki, par haseena jaldi se apne dil ki baat kissiko batati nahi hai" karishma said.

Anubhav just hummed. Soon they reached the headquarters.

"D.S.P. Haseena Mallik kaha hai apko kuch idea hai" anubhav asked the guard.

"Aap kaun" the guard asked.

"Hum unke..mitr hai"he said.

"Hume nahi pata vo kaha hai"

"Amma, tum bata rahe ho ki nahi" karishma went near him and the next minute he was in the air, karishma holding his collar.

"Aree yeh kya batamizi hai." Guard said.

"Are karishma ji aram se. Aap shant ho jaiye hum baat lar rahe hai." Anubhav asked her to keep the guard down.

"Shriman aap batanege ya phir karishma ji ka chatta khaane ko taiyar hai" anubhav asked.

"Cctv mein dekhte hai" the guard was on his way to the cctv room.

Both were looking at the screen, when at around 5 pm they saw haseena going towards the left direction, that too without her official driver.

𝓦𝓲𝓽𝓱 𝓨𝓸𝓾, 𝓕𝓸𝓻 𝓨𝓸𝓾 𝓕𝓸𝓻𝓮𝓿𝓮𝓻 💜Where stories live. Discover now