safar zindagi ka 🍁part 3

22 4 0
                                    

Rizwan Apni Aankhon Mein Aansu Liye airport Chala Gaya......

Use samajh Nahi a raha tha kahan Jaaye FIR us ne jo bhi Pahli flight thi usmein Jaane Ka Faisla Kiya......

use Pata Chala wo flight Punjab ja rahi hai to usne Punjab Jaane Ka Faisla kar liya......

aur flight ki ticket Le li flight take off Hui to......

Uske Ashu na Ruke wo Rone Lag Gaya Rote Hue Kolkata ko Alvida kah diya.....

Ab wo Punjab airport ke bahar ruka tha Punjab Mein Kisi Ko Nahi Jaanta tha isliye use samajh Nahi a raha tha Ke Kahan Jaaye

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ab wo Punjab airport ke bahar ruka tha Punjab Mein Kisi Ko Nahi Jaanta tha isliye use samajh Nahi a raha tha Ke Kahan Jaaye......

Usne Airport se taxi Li aur taxi wale Se Kaha ki mujhe Kisi restaurant le chalo....

taxi wala restaurant Le Gaya vahan jaane ke bad usne Kuchh khaya aur sochne Laga......

FIR usne Socha Ki Koi kam dhunde aur Rahane Ka Thikana......

aur vo kam dhundhne Nikal Gaya......

Rizwan ko Kai bhashaen Aati Thi Aur UN bhashaon Me Ek bhasha Punjabi bhi thi.....

Punjabi Bhasha Aane Ki vajah se use Jyada Mushkil Nahi Hui Logon se baat karne me......

Rizwan jab Kolkata Me Tha to kapde ke dukaan mein salesman tha......

isliye wo Punjab mein bhi kapde ki dukaan Mein Gaya kam dhundhne Lekin Kahin Bhi vecancy Na Thi Jis vajah Se kam Na Mila.....

Raat Hone Wali thi isliye wo Kisi Hotel Jake ruk gaya aur Socha agale Din FIR kam dhundhega.....

Agali Subah wo FIR kam dhundhne Nikal Gaya is bar usne Socha kapde ki dukaan Nahi Kahin aur Jahan Bhi use kam mile waha kam Karega.....

Isliye wo Ek TV ki dukaan Chala Gaya kam Ki Talash Me Yahan uski Kismat ne uska Sath Diya aur use kam Mil Gaya....

Bahut khush tha usne Allah ka shukr Ada Kiya aur Usi din se kam Shuru kar diya........

Kuchh Dino Tak wo Hotel Me hi ruka aur Roj kam per jata tha Jis vajah Se dukaan Mein Kam Karne Wale aur Logon se uski Dosti Ho Gai......

Dosti hone Ki Baat usne UN sab se baat ki aur Kaha Mujhe Rahane ke liye ek ghar chahie.......

itne Dino Se Hotel Mein Ruka hun yaha Jyada Kisi Ko Jaanta Nahi Hu Sivay Tum Logon ke........

isliye kya Koi Mujhe acchi jagah Rahane ke liye kirae ka ghar bta sakta hai........

Uske jitne bhi dost bane the usmein ek dost uska best friend banaa tha.......

Uska naam Anas tha Anas Ek Achcha Ladka tha usne Rizwan ko Apne Sath Rahane ke liye Kaha........

Anas na Rizwan ko bataya ki Uske ghar ka ek Kamra Khali Hai Jahan Rizwan aaram se Rah sakta hai.......

Rizwan khush ho gaya ki use Rahane ke liye Ghar mil gaya wo bhi Uske best friend kya Yahan........

Usne anas ke ghar rhene ke liye haa kah diya.......

Anas ne bhi ghar jaa kar apne ghar walo se baat ki Rizwan ko kamra dene ke liye.........

Anas ke ghar me sirf anas or uske ammi abba Rahte the wo log Rizwan se pahle bhi Kai bar mil Chuke the Isliye wo log maan gaye Rizwan ko kamra dene ke liye........

Agali Subah Rizwan Hotel Se Apna Saman Lekar Nikal Gaya.......

Dukaan per pahunchne ke bad usne Anas Ka Shukriya Ada Kiya.......

Kaam se Rizwan Siddha Anas ke ghar jaane wala tha isliye wo Apna Hotel se Saman Lekar Aaya Tha.......

Kaam ki chhutti hone ke bad wo donon Sath hi Anas ke ghar gaye.......

Ghar Jaate Hi Rizwan Assalamu Alaikum Ammi Abba kaha Walaikum Assalam Anas ke Ammi Abbu ne salam Ka Jawab dete Hue Kaha.......

Anas Rizwan ka Achcha dost tha isliye Rizwan bhi Anas ke ammi Abba ko Ammi Abba Kahta tha.......

Anas ke Ammi Abba bhi Rizwan ko bahut Pasand Karte The Isliye Rizwan Ke Aane per wo log bahut khush ho gaye.......

Rizwan ko Anas ke ghar Rehte Hue 6 mahine hone wale the Rizwan UN Sabke Sath Khush rahata tha......

ya Yun Kaho wo Hamesha UN Sab Ko dikhata tha wo khush hai.......

lekin Sach to yah tha wo Dil Hi Dil Mein bahut Udaas tha apni Maa Ko Yad Karke........

Aisa Ek Din Na Gaya Jab usne apni Maa Ko Yad na kiya ho lekin usne kabhi kisi ko bataya Nahi........

uski Ammi ke pass phone nahi tha Aur wo Kisi Aur Ko contact nahi kar sakta tha........

isliye wo Pareshan rahata tha ki Maa ke bare mein kahan se Maloom Karen......

Udhar Kolkata mein Rizwan ki Ammi bhi Hamesha Rizwan ko Yad Karte The Aur Dua Karte The ki Rizwan Jahan Bhi Rahe khush rahe Salamat Rahe.......

unhin ki duaon Ka Asar tha Jo Rizwan ko Itna Achcha Parivar mila tha.......

Apni Ammi ki Yad mein Rizwan ne Faisla Kiya ki wo apni Ammi se milane jaega Chahe kaise bhi ho wo ek bar To Apn Ammi se Jarur milega......

Isliye usne mauka Dekhkar Anas aur uske Ammi Abba Unse baat ki Wapas Apne Shahar Jaane Ki........

Main aap teenon ka Jitna Shukriya Ada Karun utna kam hai aap Logon Ne Mujhe Bahut Pyar Diya.......

aap Logon ke sath Hamesha Apne Parivar Jaisa mahsus hua........

Isliye main aap teenon ka Dil Se Shukriya Ada karta hun aur yahan se jaane ki ijaajat chahta hun........

mauka Mile To aap Logon se FIR milane aaunga.......

Wo teeno Rizwan se pyar karte the or use samajhte bhi the Isliye unhone Rizwan ko Ijazat de di......

aur Rizwan Se Kaha ki Humse milane Jarur Aana Hamesha Apna Khyal Rakhna........

Rizwan or Anas dono bhai ki tarha Rahte the Isliye Anas Udaas tha Rizwan ko bhi Bura lag raha tha.......

lekin Kya Karta use apni Maa ki fikra ho rahi thi bus ek bar Unse Milana Chahta tha isliye wo vahan se UN Sab Ko Alvida kah kar agli Subah Punjab Se Nikal gaya........

Safar zindagi ka part 3 yhi kahtam hota hai Rizwan ki Aage Ki Kahani next part me🙏

safar zindagi ka 🍁Where stories live. Discover now