Rida ke pregnancy ke Waqt Farhan Rida ki bahut care karta hai use Kisi bhi chij ke liye Pareshan hone Nahi deta......
Hamesha khush rakhne ki koshish karta hai Farhan ki care Dekh Kar Rida Hamesha khush Rehti aur aise hi Hansi Khushi Rida ke pregnancy ke 6 mahine pure Ho gaye 7 Mahina lag gaya tha.....
Ek Din Rida ne Farhan Se pucha aapki kya Khwaish hai beta ya beti to Farhan Ne Muskura Kar Kaha beta ho yah beti bus sehatmand Ho.......
Haa wo Baat To Hai beta ho ya beti sehatmand honi chahie lekin Fir Bhi aapki kya Khwahish hai pahle beta ya beti......
Meri Khwahish Beti Hai aur maine uska naam bhi Soch Rakha Hai apni maa ke naam se milta hua naam rakhunga.....
Achcha Kya Baat Hai Kya Naam soche aapane Hamari beti ka Mujhe Bhi To Batao......
Meri Maa ka naam Zainab Hai Z se shuru Hota Hai to maine Meri beti ka naam bhi Z Se Hi Socha Hai......
Han lekin naam kya hai wo To Batao.....
Zeenat*** Zeenat naam Socha Hai main ne hamari beti ka......
Bahut Achcha naam hai Mashallah mujhe bhi Pasand Aaya.......
Farhan Rida ka pura Khyal Rakhta tha lekin wo din bhar kam per jata tha aur Rida din Bhar Akele rahti thi......
Rida ki Ammi Solapur se I Thi Heena aur Rida ko Solapur Le jaane ke liye Kyunki Un donon Ka 7 vaa Mahina chal raha tha.......
Rida ki Ammi ne Farhan Se Kaha ki wo Rida ko Solapur Le Jaane I hai Rida din bhar Akele rahti hai ghar mein Solapur Mein Rahegi Hamare sath to Achcha rahega........
Farah Ne Rida ke Ammi Se Kaha Achcha hai agar Rida Solapur mein rahegi aap Logo ke sath to mujhe bhi Thodi fikra kam Hogi.......
main din bhar kam per rahata Hun To Mujhe Rida ke Fikar Lage rahti hai.......
Rida Ne Solapur jaane ki puri packing kar li aur Farhan bhi Kuch naye kapde Rida ki jarurat ka saman khareed kar rida ko La Kar Diya........
Dekho Rida Apna pura Khyal Rakhna Kuch Bhi jarurat ho to mujhe Jarur batana Tum vahan ja rahi ho......
mujhe Yaad to Tumhari bahut Aaegi lekin Main Jaanta hun Tum vahan Rahoge To Achcha Rahega Tumhare Liye isliye to main bhej raha hun........
Yah Lo Kuch paise Hain apne pass rakho Kuchh Bhi Tumhen jarurat padegi To Kaam aaenge.......
Haa theek hai aap Fikar na Karen main apna Khyal rakhungi......
Farhan Rida ko station chhodane Gaya vahan zufar Bhi Aaya Tha Heena ko Lekar donon Bahane Khush Thi Apne mayke jaane ke liye......
Jab Solapur ki train Chale gai to zufar aur Farhan Bhi Apne Apne Ghar Chale Gaye Agali Subah Heena aur Rida Apne mayke pahunch gai......
Rida ke ghar wale Sab bahut khush the Kyunki donon bahanon ki shaadi Sath hui thi aur ab delivery bhi Sath Hone Wali thi pure Ghar wale Un donon Ka bahut acche se Khyal rakhte the......
Farhan aur Rida Ek dusre ko bahut miss Karte The......
Farhan Hamesha Rida ko voice message Karta aur voice message mein gana Gaya Karta Tha.......
lekin Rida ke Ghar wale Hanste the Jab Bhi Farhan ka gana sunte the lekin Rida ko Achcha lagta........
Aise hi Hansi Khushi Heena Aur Rida Ke 9 mahine pure Hone Ko Aaye The......
Ek din Heena ko labour pain shuru ho gaya Heena ke ammi Abba Heena ko Lekar Hospital Chale Gaye.........
Use Din date thi 18 November Hina Ki normal delivery Hui thi Heena ko beta hua Heena ke husband zufar ko bhi bataya Gaya to zufar agale Hi Din Solapur aa Gaya tha..........
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
General FictionSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁