Rizwan ab Kolkata pahunch chuka tha wo airport ke bahar Khada tha us ne Ek taxi Li aur Sidha Apne Ghar Chala Gaya......
Ghar mein Rizwan ki Ammi kitchen Mein Kuchh kam kar rahi thi Rizwan Jaise Hi Ghar Ke Andar Aaya Assalamu Alaikum Ammi......
Rizwan ki Ammi fauran kitchen se bahar aagi Walaikum Assalam......
wo Badi hairani se num Aankhon Se Rizwan ko dekh rahi thi.......
Rizwan ki bhi Aankhen Bhar I apni Ammi Ko Dekhkar donon fauran Ek dusre ke Gale Lag Gaye aur Rone Lag Gaye.......
Kyunki Rizwan pure 6 mahinon ke bad Unse mil raha tha..........
Aisa Kabhi Nahi hua tha ki Rizwan Unse Bina Mile itne din tak Dur raha ho isliye Apne bete Ko Dekhkar wo Khush Hui......
Tu kahan gaya tha Kaisa tha Tujhe Kisi Anjan shahar Mein Rahane Mein Koi pareshani To Nahi aai na.......
Nahi Ammi Mujhe Koi pareshani Nahi aai Main Punjab gaya tha........
vahan TV ki dukaan Mein kaam Kiya aur ek acche dost ke ghar mein rahata tha......
Mera Dost aur uske Parivar wale bahut acche the main bhi unke Parivar ke sadasya Jaisa unke saat rahata tha......
Mujhe Hamesha aap ki yaad aati thi isliye Mera vahan Dil Na Laga aur main aap se milane a Gaya.......
Mujhe bhi Hamesha Tumhari Yaad Aati Thi Aur fikra rahti thi Ki Tum n Jaane Kahan Honge kaise honge.......
Aaj Tumhen Dekh Kar bahut sukun mil raha hai Allah ka shukr hai tum theek ho........
Haa ammi main theek hun aur aapko Dekhkar bahut khush bhi........
Per beta Tumhen Yahan nahi aana chahie tha Yahan Ab Bhi Bank Chori ke baat hoti hai........
UN logon ko Agar Maloom Pad Gaya to Tum mushkil mein a jaaoge........
Lekin main kya karta ammi mujhe aapki bahut fikra ho rahi thi Yaad a rahi thi isliye apne aap ko rok Nahi Paya aur yah aapse milane a Gaya.........
Haa Lekin Tumhen yahan se Jana Hoga Tum Yahan Nahi Rah Sakte Main Nahi chahti Tum Kisi bhi pareshani Mein fanso........
Lekin Main Kya Karun Ammi Mujhe Kahin aur Achcha Nahin Lagta Mujhe Yahin Rahana hai........
Han main Janti hun beta samajhti bhi hu mujhe bhi bahut fikra Hoti Hai Tumhari........
Isliye kah rahi hun ki tum Yahan Nahin Rah Sakte........
Aise hi Rizwan ki Ammi aur Rizwan ki baten do teen din Tak Chalti Rahi......
Rizwan ki Ammi bahut khush Thi Apne bete Ko Dekhkar Aur wo Bhi chahti thi ki Rizwan Yahan Se Kahin Na Jaaye......
Lekin bete ki fikra bhi bahut thi unhen isliye na Chahte Hue bhi unhen Rizwan ko apne aap Se Dur Rakhna pad raha tha......
Rizwan ko Kolkata Aaye do teen din ho gaye the lekin Rizwan ki Ammi Ne Rizwan ko Ghar Se Bahar Nahi Jaane Diya........
Ine do teen Dinon Mein unhone Rizwan ke Pasand ka khana Banaya aur use Khilaya.......
ine do teen Dinon mein wo donon ne ek dusre se kai baten ki.......
Uske baad Rizwan ki Ammi ne Rizwan ko bahut acche se samjhaya ki wo Kahin aur jakar Rahe aur Unki fikra na Karen.......
Is bar bhi Na Chahte Hue bhi Rizwan apni Ammi Ki Baat maan Gaya aur vahan Se Chala Gaya.......
Donon bahut Udaas the Lekin Fir Bhi na Chahte hue Ek dusre Se Dur ho rahe the.......
Rizwan phir se Kolkata Se Nikal Gaya lekin is bar wo Punjab Nahi Gaya......
Jharkhand Gaya Jharkhand jakar usne kaam dhundha aur use garage Mein kaam Mila........
Vahi khana vahin Rahana vah bahut Udaas rahata tha uska Dil Nahi Lagta tha Fir Bhi kaise bhi usne 6-7 mahine Jharkhand Mein nikal Diye........
Uske bad wo vahan bhi nahi Rah Paya Wapas Kolkata a Gaya apni Ammi ke pass.........
Rizwan ki Ammi Rizwan ko dekh kar bahut khush thi uska bahut Khyal bhi rakhte the.........
bank ke hadse ko Hue Ek Sal ho chuka tha Ab Bank Ki Chori ke bare mein utani Baat Nahi Hoti thi.......
isliye Rizwan Ne Socha Tha Ki Ab wo Kolkata se nahi jaega......
Kolkata Aaye Hue use Kuchh din ho gaye the FIR use Pata Chala Ki uska bachpan ka ek Achcha dost Kolkata Aaya Hai........
Rizwan usse milane Gaya uska naam Faizan tha Faizan Mumbai mein rahata tha........
Rizwan ke Kuchh bure doston ke sath sath Kuchh acche dost bhi the aur UN acche doston mein Faizan uska sabse Achcha dost tha........
usne Faizan ko sari Baat batai Faizan wo sab sunkar hairan ho gaya tha aur Pareshan bhi ki Kaise Koi dost Aise Apne dost ko fansa sakta hai.......
Wo donon Kai Dinon tak aise hi Milte baten karte Rizwan ki Ammi Ne Faizan ko ghar khane ke liye Bulaya.......
Faizan Rizwan ke ghar Gaya assalam walekum Khala walaikum assalam Faizan kaise ho beta.......
main Achcha hun Khala aap kaise ho main bhi Alhamdulillah theek hun....
aur Rizwan kya socha Hai Tumne ab Aage ke bare me........
Kuch bhi nahi bus Soch Raha Hun kaam dhundh lo.......
Main Ek baat kahun Rizwan Tum Mere Sath chalo Mumbai bahut Achcha Shahar hai Aur kaam bhi achcha Milega vahan Tumhen.......
Tumhare Liye Achcha sabit hoga Yahan vaise bhi log Tumhare bare mein baat karte Honge.........
Tum Anjan shahar jaaoge to Tumhari Aage Ki life mein koi pareshani nahi Hogi........
lekin Faizan Main Yahan Se Nahin Jana Chahta Yahi Mera Parivar hai aur Main Inke Bina Nahi Rah Sakta........
Main ne Tumhen bataya tha na main Punjab Jharkhand alag alag Shahar Gaya lekin Nahi Rah Paya........
Rizwan tum chalo mere sath Tum Koshish karo Tumne accha lagega aur Puri Tarah settle ho jao Apne Ammi ko bhi Mumbai Bula lena........
Rizwan beta Faizan bilkul theek Kah Raha Hai Yahan Ab Bhi Tumhare Peeth Piche baten hoti hai jo Mujhe acchi Nahi lagti.......
Tum iske sath jao ho sakta hai vahan jaane ke bad Tumhari Jindagi Mein Koi pareshani Na Ho Aur Tum tarkki karo...
Mujhe Iske alava aur Kuchh Nahin chahie.......
lekin Ammi aapko pata hai na main aapke Bina Nahin Rah Sakta....
Janti hun beta Mujhe Khud Ko Achcha Nahi Lagta Tumhen Aisa Kisi Aur Shahar bhejne.......
Lekin tum Yahan Rahoge To Mujhe Hamesha Dar Laga rahega ki Kahin Tum Kisi pareshani Mein Na Pad jao......
isase Achcha To Yahi hoga Ki Tum Faizan Ki Baat maan lo aur uske sath chale jao.........
Faizan aur Rizwan ki Ammi ke Samjhane ke bad Rizwan maan Gaya aur usne Faisla kar liya Faizan ke sath Mumbai jaane ka........
Safar zindagi ka part 4 yahi khatm Hota Hai Rizwan ki zindagi ke aage ki kahani next part me 🙏
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
Ficção GeralSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁