Bank ke piche se bhaagane ke bad wo log Ek Jagah jakar ruk Gaye rukne ke bad.......
Main ne Tum Logon Se Kaha tha na Chori Nahi karni hai FIR Kyon Kiya Tum Logon Ne Aisa.......
Rizwan ne Apne Doston Se bahut naraj Hote Hue Unse Kaha......
Dekho ab Kaisi musibat mein pad gaye ho aur agar tum Logon Ko yahi sab karna tha to mujhe vahan Kyon Bulaya..
Rizwan ke doston Ne usse Kaha ki unhen Laga Rizwan Ka Irada Badal jaega aur wo Unka Sath Dega.......
Rizwan bahut naraz hua Jis vajah Se wo unhen Chilla raha tha Jis vajah Se UN sab ki aapas mein Ladai Hogi......
Rizwan ne UN sabse Apne Dosti Tod le aur vahan Se Chala Gaya......
usne Kuchh Nahin kiya tha Uske pass chori ka ek rupya nahi tha isliye wo Apne Ghar Ke Taraf Gaya.......
lekin use kya pata tha Uske doston ke sath police use bhi dhundh rahi hai.....
usne Kuchh galat nahin kiya tha lekin Fir Bhi use chhupte Fir Na pad raha tha Kyunki police ne Uske doston ke sath use Bhi Dekha Tha......
Ek Din mauka milane per wo apni maa se milane gaya aur Maa Ko Sab Sach bataya......
Maa ne us Se Kaha ki wo ye Shahar Chhod Kar chala jaaye......
Rizwan hairan Ho Gaya usne apni Maa Se Kaha Ammi Main ne Kuchh Nahi Kiya Main ne Chori Nahi Ki......
Main Bus unke bulane per Unse milane gaya tha FIR main kyon jaaun Apna Shahar Chhod Kar.......
to uski Ammi Ne usse Kaha beta Hamara Koi yakin Nahin Karega Ham Sidhe Sadhe log Hain wo Tumhen fansa Denge.......
Ham sacchai sabit nahi kar Payenge isliye Tumhen yah Shahar Chhod Kar Jana Hoga......
Meri Baat Mano aur yahan se Chale jao..
Nahi Ammi Main Nahin Jaunga Kahin Nahi Jaunga........
main aap sab ke bina Nahi Rah Sakta
usne Apne Ammi Se Kaha.......uski Ammi ro rahi thi Apne bete ke liye Pareshan ho rahi thi......
Kyunki Jitna Rizwan apni Ammi se Pyar Karta Tha usse Kai Jyada wo Rizwan se pyar karti thi.......
isliye wo chahti thi Rizwan Hamesha Sahi Salamat Rahe......
Rizwan ke Inkar karne ke bad bhi wo nahi Maani aur use manate Rahi Shahar Chhod Kar jaane ke liye.......
Aakhir Rizwan karta hi kya Maa ke Aansu To Nahi dekh sakta tha......
wo samajh gaya tha Agar wo Yahan rahega to Uske saat saat Uske Ammi aur Bahane bhi Pareshan hongi......
Jo wo Nahi Chahta tha isliye Majburi mein usne apni Ammi Ki Baat maan Li..
Lekin wo Shahar Se Nahin Gaya Uska Dil Nahi man raha tha......
uski bahan madeeha ki shaadi thi wo use dekhna chahta tha lekin mil Nahi Sakta tha......
isliye Shaadi Ke Din usne Sardar ka bhesh banaa liya aur apni bahan ki shaadi Mein pahunch gaya.......
Use ne apni bahan ko Dekha uski Aankhen Bhar I thi......
Uska Dil chah raha tha Apne Maa Aur bahan ke Gale Lage Roe lekin Kya Karta bahut majbur tha......
bahan ki zindagi ka itna Bada Din tha use kharab nahi karna chahta tha....
isliye usne Dur Se Hi Apne bahan Ko Dekha......
aur Jaate Waqt apni Maa Se Milta Huwa Chala Gaya.......
uski maa aur uski Aankhon Mein Aansu bhare hue the🥺
Ek dusre ko Alvida kah rahe the......
Apne Aankhon Mein Aansu Liye Apne Parivar aur apne Shahar ko chhodkar Rizwan vahan Se Chala Gaya........
Safar Zindagi Ka part 2 yahi khatm Hota Hai Rizwan ki zindagi ki aage ki kahani next part me🙏
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
Genel KurguSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁